Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
kamlesh Parihar
Hello sir maine YouTube par ek channel banaya hai aur uspe 4-5 video upload kiya hai. per day almost 15-20 views aate hai. mein aapki YouTube se relates all post ko padha. lekin phir bhi mere kuch sawal.
1. kitne views par AdSense ke liye apply kar sakte hai.
2. sir aapne jo video monetize karne ki proccess batayi un process ko follow karne par Monetize ka option show nahi hota hai. hai setup AdSense likha aata hai. to main usko kaise monetize karun.
3. kya YouTube videos par adesnse account hone par hi ads show hote hai.
4. Youtube video upload karne ke baad kya karein. plz replay sir
Jumedeen Khan
1. Nahi abhi or views badhao.
2. set up AdSense par click karke apply karna hai.
3. yes bina AdSense ke video monetize nahi hoga.
4. Youtube par video upload karne ke bad use social media and other method se promote karo.
shubham verma
mere sabhi video pr monetization ho gya h or green dollar bhi ban gaya hai per payment ka option kaise aayega?
please help me
Jumedeen Khan
Payment aapko YouTube nahi AdSense karenga. Aapke YouTube channel ki earning ek month me 1 tarikh ke bad AdSense me add hogi fir AdSense aapko pay karegai. Iski jankari ke liye humari AdSense wali post padha karo.
shubham verma
Dollar ke aage 1- 2 kuchh likhna to chahiye dollar badh hi nahi rha hai bs views badh rahe h
Or maine AdSense ka form bharte samay business ke jagah per indivisual bhar diya tha
wo change kaise hoga?
Jumedeen Khan
Earning tabhi hogi jab koi aapke ads par click karega. no problem
shubham vermas
Sir view monetization setting pr click karne par “How will I be paid ” wala option nahi aa rha hai
Jumedeen Khan
Ab option badal chuke hai ab aap adsesne set up option par click kar AdSense set up karo. Ya fir thoda wait karo main is post ko update kar new step add karunga.
Yash kaushik
Sir mere 10750 views ho gye he me ab kiya kru Jo add chl jaye kiya muje YouTube ko kuch bejna pdega kiya pliz sir help me
Jumedeen Khan
Aap apne videos ko monetize karo ad show hone lag jayenge.
shubham verma
Sir,
AdSense ka form bharte samay mujhse kahi bhi mere bank account ke baare me nahi puchha gya or maine apne bank accoutn ki koi bhi jaankari nhi bhari to paisa kaha aayega or kab aayega?
or channel per click karne ke baad view monetisation setting per click karne per “How will be I paid” wala option bhi nahi aa raha hai
please help me sir
Jumedeen Khan
Bank account details aap bad me add kar sakte ho abhi aap $10 earning karo uske bad address verify karo.
shubham verma
Sir,
mere sabhi videos ko mila ke 5000 views hai par mere account me 1 bhi dollar kyo nahi aaya sir
mere dollar kab badhenge?
Jumedeen Khan
First aap check karo ki aapki videos monetize hai or earning sirf ad par click karne se hogi user ad par click nahi karega to earning nahi hogi.
shubham verma
sir,
aap mujhe apna Email Id bataye mai apko mere documents send karunga jis se aap meri problem solve kar sakenge.
Please help me Sir
Jumedeen Khan
Contact form me send karo.
Sulman Javed
Maine successfully channel verified and monetize k bad AdSense k sath approve b kr lia hai
ab aage kya krun main?
Jumedeen Khan
Bas ab ek bar video manager me ja kar check kar lo ki sabhi video monetize hai ya nahi koi video monetize na ho to use kar lo.
Sulman Javed
Kya ab earning start hojayegi
muje earning k kitne paise milenge or earning kaise hogi
sab btao detail se
Jumedeen Khan
Yes ho jayegi jitne milenge report check kar lena.
Sulman Javed
Monetized ka option or how will bd paid ka opion nhi a rha
channel ko monetize krme k liye kitni video ka hona zruri hah?
Jumedeen Khan
First aap YouTube channel option par ja kar monetization ko enable karo uske bad option show hoga. Bina video upload kare bhi option show hota hai check carefully.
Akshay
Changes to your YouTube payment details isa mail muze aya hain payment details kaha update kare
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki AdSense me aapki payment details sahi se add hai ya nahi check kar lo.
naresh parmar
bhai mene AdSense account to bana liya hai lekin usme account number to nhi pucha to mere paise kaise aayenge
Jumedeen Khan
Aapke account me $10 earning hone ke bad aapko AdSense post send karega usme code hoga usse aapko address verify karna hai uske bad bank address add karna.
Sulman Javed
Maine apna YouTube channel bana lia hai or usko verify b kr lia h
main pakistan se hun
masla ye a rha hai k mere channel pe monetize ka option nhi a rha
Jumedeen Khan
Video manager par jao or sabhi video ko select kar action par click kar monetize option choose karo or sabhi video ko monetize karo.
Mohammad Ali Sayyad
sir mai ne mail dobara kya hai plz aap dekh le aur mujhe bataye ab aage kya karna hai plz sir
Jumedeen Khan
Ok main mail check karke aapko reply kar dunga.
santu kumar
Hum AdSense ads ko jodte samay sabse last me sahi nishan ka option jo hota hai usko chhod diye the kyuki wha pe 4 sahi ke nishan karne the par aap jo btaye hain usme 3 hi nishan ko sahi karne ke liye btaye hain..isliye maine us last vale kko nishan nhi kiy tha usme kkuchh mail ke baare me llikha hua tha .kya usi wjah se mera mail av tak nhi aaya hai..par hum apne pe jate hai to likhta hai ki your AdSense ads approved.you can monetise your video…mail nhi aaya fir v kaise ho gya..kya mai use fir se edit karke sahi ka nishan lga ssakta hu…
Jumedeen Khan
4 optino ka matlab tha ki aapko mail kiya jayega. Jis time ye post likhi thi us time wo option nahi tha. Don’t worry aap videos ko monetize kar sakte ho.
santu kumar
Mai YouTube mobile se chlata hu.my name is santu kumar.video ko monetize v kiya hai aur AdSense ads se v connect kiy hai..kya mobile se paise kama sakte hain ya lapttop hi jarroori hai.meree cchannel pe 350+ subscribers hain aur 70,000+ views hain…kya karu par video ke samne doller ka nishan green nhi hai..kya mera video monetize nahi hua hai..to fir se video ko monetize kaise karu..
Jumedeen Khan
Mobile se bhi kama sakte ho. aap video manager par jao or check karo ki koi video copyright to nahi hai. Agar hai to use delete karo or sabhi videos ko fir se moentize karo.
santu kumar
Mobile se monetize kase karu sir…..video manager me jane ke bad videos ki list rahti hai..upar me action likha hua hota hai aur sabhi video ko select karne ka option hota hai..select to kar leta hu par next koi option nahi hota..aap apne help center me likhe hain ki go it ka option hota hai..par vaisa koi option nahi aa rha hai..plz help me sir..aapke help ke bina mai aage nahi badh saktta..vaisa koi idea hai jisse mai apna channel dikha saku aur aap use thik kar sako…
aur ha sir possible hai to mere channel ko dekh sakte hain isme sara video mera khud ka song gaya hua hai par 2-3 video me coppyright show karta hai kaise sir….
Jumedeen Khan
Ok aap mujhe main send karo main check kar lunga.
Mohammad Ali Sayyad
As salamu Alekum .. sir mai ne copyright ka screen short aap ko bheja hai us ka koi rply nhi aaya plz aap dekh kar bataye . ab mujhe kya karna hai plz
Jumedeen Khan
W/a aap ek bar fir se send karo. H osakta hai jyada message me mujhse delete ho gaya ho.
Jalaj pandey
Hello sir mera YouTube AdSense approve ho gya h.email bhi aa gya h. Aage mujhe kya krna hoga
Jumedeen Khan
Ab aap video manager me ja kar sabhi videos ko monetize karo.
shubham verma
sir,
mera videos monetiezed ho gya hai per
per mere account me
“How will I paid” ka option nahi aa rha h?
Jumedeen Khan
Channel AdSense se connect hone ke badye option nahi aata. Aap monetization par AdSense settings par click karo AdSense par pahuch jaoge.
shorab
Hello sir, Mena videos monetized ker liya hai. Muje Adsense mai , fill information mai problem aa rhai hai.
1. Mai AdSense mai ” individual or business ” select kru only blog or YouTube ke Liya banaya hai.
2. Mai village mai rhta hu or ye
Address line 1……..
Address line 2………
City………… Mang rha hi too mai in subhi jangha village name fill kru ya kuch or.
3. mera YouTube videos per 1300 se jyga views hai to Adsense ke tk approved hoga.
Thanks you sir,,,,,,,,,,,,
Jumedeen Khan
1. individual choose karo.
2. sirf apna village address add karo baki lines ko leave karo. Agar karna chaho to village ke alawa jry etc. likh sakte ho.
3. Ho jayega.
shivender singh pathania
sr mai apka blog padta hu bahut achhi jankari milty hai …. aaj maine apna YouTube chanal ke liye AdSense acount bnaya hai … mujhe ek email .. mili jisme likha tha ke apka acount fully aprove ho gya hai — lekin jb mai video ko monetize ke liye jata hu to …. waha pr video monetoze nahi ho rahi .. us pr likha hai ke apka acount abhi approve nahi hua hai …
Jumedeen Khan
Kuch time wiat karo fir video manager par ja kar sabhi videos ko monetize karo ho jayega.
mohammad ali sayyad
sir mai ne copyright videos dilet kar diye hai fir bhi $ green nhi ho taha hai aap kuch batayenge is ke baare me
Jumedeen Khan
Ali YouTube par 3 bar se jyada copyright issue nahi hona chahiye. Aapke copyright ka jo message mila hai wo mujhe dikhao.
kiran panda
sir mene monetisation adsenes active kardiya hai but …avi pending likha aaraha hai.or mera bank detalis kab dena hai.plz sir mujhe bataiye…kabtak pending rehega adsense.or mera how
Jumedeen Khan
1-2 din me ho jayega.
Sumit nath
Hello Brother Mera Name
Sumit nath hai
Main YouTube main singing ka video
upload karna chahata hoon
Jumedeen Khan
Bilkul kar sakte ho ye post padho YouTube Par Video Upload Kaise Kare
mohammad ali sayyad
sir mai producer hun aur mai ne saare video khud hi banaye hai aur apne channle per upload kya hai fir bhi copy right aa raha hai aap batayenge wo aisa kiu ho raha hai
Jumedeen Khan
Bro background song to bollywood ka hai. Apna banaya song hi use karo ya fir songs company se partnership karo.
Mostafa sk
Mene adsene a.c to banaya hu apke comment porke muje or help chaye apse
Jumedeen Khan
Why not aapko jo help chahiye bta sakte ho.
shubham verma
Sir, maine account type me individual select kar diya h
use edit kaise karu?
help me !!
Jumedeen Khan
No problem individual hi rahne do.
Noman ali
Agar hamara bank account na bana ho tu kisi or ka bank account google AdSense mein d aal saktay hain jaisay Bhai ya ghar mein say kisi baray
Jumedeen Khan
Nahi aap sirf usi ka bank account number dal sakte ho jiske name se AdSense account hai.
mohammad ali sayyad
sir hamare video copy right kiu hote hai
Jumedeen Khan
Iske bare me ye post check karo. video copyright kyu hote hai.
Gopal ji
Thank you Sir.
Mujhe apke guideline se kafi madad mili.
agar aage koi mushkil hui to main apse jaroor madad lunga.
Happy New Year.
sanjit
mera chenal monitaize hai lekin koi bhe video upload karne se monitaze ka option he nahi aa raha hai 2 weak pahle mane jo video upload kiya tha oo monitaiz hai lekin usme se bhe 2,3 video pe monitaze option nahi hai video copyrite bhe nahi hai
Jumedeen Khan
Maine YouTube ki setting ke bare me kuch post ki hai wo check karo or sabhi setting sahi se karo.
amit
Sr maine YouTube par puri step puri kar li hai par ad sense account bnata hu to 3 step aati h 1.gmail id 2.webside 3.information to sr main 1 step to puri karli par 2 step me webside bhi dal di aur language bhi chun li aur continue par click bhi karliya par step puri hoti hi nhi hai bus page vhan ki vhan rahta hai 3 step khulti hi nhi sr koi upay btaiye
Jumedeen Khan
Aap kisi or computer ya mobile me try karo.
sahadev
hello sir video monetize kiya to $ icon aaya pr black color Ka aaya to mai fir se monetize karne gaya to
enable monetize ki jaga
set up AdSense likha aaya
esa kyu sir
or black color ka $ icon par click karta hu to
not monetize aata hai
sir please kuch solution btao
Jumedeen Khan
Iska matlab hai ki aap AdSense account ke apply karo AdSense account approved hone ke bad video monetize hoga.
mohammad ali sayyad
Sir mai ne mail chack kya hai … Aap ne link manga thaa wo diya hai us ke baad koi jawab nhi hai sir . link dekh kar bataye sir ab mujhe kya karna hai plz sir
Jumedeen Khan
Ok main aapko fir se mail send karta hu.