Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Mukesh
Dear sir mene AdSense account to banaya par mene Jo name dala hai vo mere benk account ke name se thoda alge hai to kaya name badl skta hu yadi yes to kese ,please meri help karo sir
Jumedeen Khan
yes aap name spelling bad me change kar sakte ho.
Seema ali
How can connect my bank account where I could get money?
Jumedeen Khan
Check this post Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Hasan ali khan
Bhai sign in par click karte hi bhasha select karne ke baad save and continue par click karte hi koi page nahi khulta vahi par atak jata hai aage kuchh process nahi hota kai din se try kar raha hoon aage kuchh ata hi nahi jaha mai apni details bhar saku… Kya karu bhai… Meri website bhi hai… Thescfilms.com ke nam se lekin feer bhi nahi ho raha
Jumedeen Khan
Please try with different connections and browsers
Hasan ali khan
I m waiting bro… Aur mere account me monetization karne ke baad dollar ka nishan green color ka nahi black color ka aa raha hai
Jumedeen Khan
Iska matlab aapke channel par koi copyright video hai aap video manager me jaye or check kare ki konse video par copyright strike show ho rahi hai us video ko delete karo.
Lakshya Narbariya
Jab hum Enable Monetizetion par click karte hai to ek whate patti dikhayi deti hai aur koi bhi progress nahi hoti hai.Batatiye ki mujhe kya karna chahiye ?
Jumedeen Khan
Kisi or browser me try karo.
Ganpat
Sir, mera youtube chennal ek band ho gaya hai….. Lakin usi email id se total 2 chennal banai hue the…….. To ab dusra chennal us id se kab khulne lagega…… Help me poor boy please…… Sir
Jumedeen Khan
Abih khul raha hoga. Agar nahi to aapka channel nahi youtube account band hua hai.
Ganpat
Sir, kya new id wale youtube chennal ko mere purane google adsense se connect kar sakta hu……. Yes ya No….
….yes ho to kese…. Sir… Help me
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho. Aap browser me apne adsense se log in karo uske bad youtube par log in kar monetize option par jao or adsense settings par click kar channel ko adsense se connect karo.
Md Ashfak
sir app YouTube channel chalayte ho chalate ho to muchhe 1 information chahiye
jb mai YouTube par koi help lekar video download karta hu to
jb play karta hu sbse pahle channel ka effect achhi desing mai aata hai to sir kese banate hai
place sir bataye
Jumedeen Khan
Kisi bhi video editor se bana sakte ho.
Nanu rajput (A lover)
salam walekum bro acchi jankari di aapne but mere fir bhi kuch questions the .
Top 10 questions my…
1) kiya AdSense account YouTube channel se tabhi judega jab vo apporv hoga?
2) YouTube channel k liye AdSense acount apporve karwane k liye kiya karna jaruri hai?
3) YouTube channel ko AdSense se jodne se pehle channel pr kitni video dalna jaruri h?
4) agr video YouTube pr dal di or usko 200-300 vivr hi mile to kiya vo AdSense se nhi judega?
5) agar humne YouTube pr koyi video dali or uspr 4k vivr aa gye or uske baad AdSense bhi usey jod diya to kiya inh 4k vivr k paise bhi AdSense account mai aayege?
6) kiya AdSense ko YouTube k liye apporv karwana bhi utna hi muskil h jitna blog k liye??
8)video Hd mai dalne mai jyada accha rahega ya mp4 ya 3gp mai?
9) kiya video ki lenth mayne rakhti hain? i mean ki 1 min ki video pr example 5k vivr hue or 10 ad clicl hui or wahi 10 min ki video pr bhi 5k vivr or 10 ad click hui to kiya uska result brabar hoga i mean ki ek video 1 min ki or 1 video 10 min k hone k baad dono pr same action hota h to kiya earning same hogi?
10) agar video ko koyi like karta h to usey kiya fayda hoga hamara ? or agar koyi dislike karta h to kiya nuksaan hoga hamara?
Jumedeen Khan
W/a
1. Yes aap YouTube se hi approve kara sakte ho.
2. kuch nahi bas 5-10 video upload karo 2000-3000 views banao or AdSense ke liye apply karo.
3. check second answer.
4. mushkil hai. Second answer wale steps follow karo.
5. nahi AdSense se jodne ke bad jo views honge or ad par click minegne unki earning milegi.
6. Nahi kyuki YouTube par aap khudki video bana kar easily approve kara sakte ho.
7. HD, baki ko log kam dekhte hai. HD 720p ki video best hogi.
8. Yes minimum 3-5 minutes ki video honi chahiye kyuki isse kam time ki video ko log kam dekhte hai or ads sah ise show nahi hote. Lenth video par click jyada honge or aap 10 minute se jyada time ki video par ek se jyada ad bhi laga sakte ho. So lenth is better the nshort video.
9. Yes hoga like karne se aapki video ki rating badhegi or video top search me aayegi dislike karne se nuksan hoga.
kuber rajpoot
hello sir me kuber rajpoot mene apna google adsens account bnaya he use pura compliet hene ke bad Connect your site to AdSense likh kr a rahahe usme kuchh code copy karne ke liye a rha he kya karu me ab sir pleas helpe me
Jumedeen Khan
Is codek o copy kar blog sidebar widget me add karo uske bad google aapki site ka revie karega or ad show hone lag jayegne.
vikash meena
sir mare 2nd no ki step your website me save and continue per click karte he to aage kuch show hi nhi karta 1 jagh hi ruka rahta he please help me
Jumedeen Khan
Ye problem kafi logo ko hai pata nahi google ise kab fix karega. Aap kisi or ke PC ya browser ko update karke try kar sakte ho.
saeed
Bhai Aap se kuch bat krna chata hun digital business start krne ke liye kya aap mere no. msg krke aap ka mobile no. msg kr sakte hei.
Jumedeen Khan
Aap contact form me mail send karo.
sudarshan
sir mera how will i paid ka option nahi aa raha hai
Jumedeen Khan
Aap YouTube >> channels par jao or monetization par click kar mujhe uska screenshot dikhao.
sudarshan
sir maine motivaction ka screen shot aapke admin@supportmeindia.com per bhej diya hai aap chek kar ligiye
Jumedeen Khan
Ok main check karke aapko reply kar dunga.
kuldeep thoryy
sir
mene kisi ki help se monetize start krvaya…….
but ab off ho gya…
or jo apne info di…isse kru to vaps ban nhi rha….
so sir btaiye…restrt kese kru
Jumedeen Khan
Iska solution is post me hai. YouTube Par Sabhi Videos Ko Ek Sath Monetize Kaise Kare
Sarwar Alam
SIR
Mai Janna chahta hu ki Blogs & Website kaise banai jai.. Use paisa kaise kama sakte hai…..
Jumedeen Khan
Check this post WordPress Par Site Kaise Banaye – Complete Information in Hindi
jay prakash
sai kaise malum padega ki mera u tube account AdSense se connect ho chuka hai
Jumedeen Khan
Youtube channel >> monetization par ja kar dekh sakte ho AdSense ka option show hota hai.
Sabrin
As Salam walikum
Mujhe ye puchna tha k YouTube par show hone wale ad par click karne se earning hoti hai ya koi uss ad ko dekhe le bhi to earning hogi…
Jumedeen Khan
W/a
ad par click karne se earning hoti hai.
javed rabbani
bhai mai new website banana chahta hoon blogger ka id bana chuka abhi aap jaisa website banake mai padhai ka knoledge post karna chahta hoon bhai jaise aap post likhte hain YouTube video ko monetize kaise kare waisa website banana chahta hoon bhai taki mai kuchh biology wagaira ke bare me post likh sakun aur wah post jab koi search kare to wah padh sake jaise koi google par search kia dna kya hai to use mera likha hua post mil jaaye net par please bhai email par bataye aap jaise website banaye hai uske bare me plllllllzzzzzzzzzzzzzzzz bhai ha jaruuuuuuuuuuuurrrrrrrr bhaaaiiiiiiii plz mera emai hai bhai rabbanijaved4@gmail.com
Jumedeen Khan
Ok main aako mail kar dunga.
manish pareek
sir is me kolkta ka 5:30 aa rha h kya use chun skte h us se koi problam to nhi hogi na
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho no problem.
Nadeem Khan
salaam alekum wr wb
bhai maine apna account AdSense se add kar liya hai jaisa aap ne samjhaya thik waisa hi kiya hai
mai kai saalo se you tube per videos upload kar raha hoon to kya wo video bhi monetize ho sakte hain ya nahi
aaj maine ak film upload ki hai lakin wo monetize nahi ho raha hai
ye likha aa raha hai
(Your video matched copyrighted third party content and you have disputed the claim. We’ll continue to monetize your video during the dispute process and pay out the earnings to the appropriate party after the dispute is resolved.)
aur baki ke video per bhi yahi aa raha hai
mujhe iske liye kya karna hoga
Jumedeen Khan
W/a
Nadeem aap YouTube par kisi or ka video upload nahi kar sakte. Aap ek bar YouTube ki policy read kar lo ye post padho Youtube Par Copyrighted Videos, Movies Ko Monetize Kaise Kare
विनोद
इस ब्लॉग से मुझे बहुत हेल्प मिली इसकी मदद से मैंने अपना YouTube AdSense अप्लाई कर दिया है , बहुत आसानी से
punit khatri
Sir video motrize mobile se ho ga ya nahi
Jumedeen Khan
Mobile se bhi same isi tarah hoga.
raja sharma
sir mujhe ye batao ki AdSense a/c kaam kya aata h?
Jumedeen Khan
Adsense hi hume pay karta hai or humari video par ad bhi AdSense hi show kata hai.
sunny
Bhai jab ads adsense dalta hai to monitize ka kya kaam hota hai or ha jab monitize on kerne ke baad adsense connect hone me kaafi din lag sakte hai to kya tab tak jo monitize se add aenge unke paise milenge ya nahi plzz plzz anserwer
….
Jumedeen Khan
Monetize youtube ko adsense se jodne ki process hai nahi adsense approve hone ke bad earning shuru hogi.
Dinesh singh
Hi sir….mene 1 blog banaya tha or us blog ko AdSense acount se conect kiya. But mene kisi vajah se blog delete kar diya he…or wo AdSense acount me apne yutube chenal ke liye use karna chahta hu…or muje AdSense acount setting show nahi ho rahi he…kya karu
Jumedeen Khan
Youtube account par jao or channels >> monetization option par ja kar AdSense setiing ya adsesne set up option par click karo or AdSense se YouTube ko connect karo. Bas oh gaya or kcuh nahi karna hai.