Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Abu Salim Khan
Sir mere do (2) you tube channel hai ek (1) to monetize kiya hua hai. Lekin New channel monetize nahi ho Raha uske views 10.000 ++ hai. Plzzz sir help me
dev
thanks for sharing
Anwar khan
Sir mera 1 youtube channel h uspe
mere 10000 viws h or ab me adsance add krna cahta hu but mere pss koi bloggs ya site nahi h to me adsance kese add mr sakta hu
Jumedeen Khan
Uski jarurat nahi hai aap youtube dashboard >> channel option par jao or monetize wale option ko enable karo.
SHIVANK
Sir mai janta hu ye question apke topic se related nahi hai lekin phuch raha hu
Sir animated videos bnane aur character banane ke kaun se simple aur best softwares hote hai sir pLz sir bta dijeye
Jumedeen khan
Look here GIF Animation Image kaise banate hai
rajan sharma
sir mene youtube channel bnaya h apne name se rajan sharma or montelize karne par yani google adsence se jodne par 4th step h jo 10000 viewers pending h kaise shuru hogi earning
Jumedeen Khan
First aap video upload kar 10,000 views kamao uske bad videos ko monetize kar earning shuru kar sakte ho.
Jeet Saini
Hello sir
Mera ek bloghai usme adsense juda hai
Sath me YouTube ko jod sakta hun kya
Jumedeen Khan
Yes jod sakte ho.
suraj vishwakarma
sir ji mere channel ka name a to z tube hai jisame pahale green icon aa raha tha but abhi 3 din huye hai blue ho gaya hai aur ek problem hua hai create studio bhi kam karna bad kar diya hai please help me
thanks
Jumedeen Khan
Youtube ne warning show ki hogi ya mail send kiya hoga wo dikhao.
mukesh
Application submitted and in review.monetization ki jagh likha
araha hai 2din ho gaye hai 10000se jada wiv ko
sir ab monetizion kese hoga
Jumedeen Khan
Review complete hone do uske bad aap video manager par ja kar video select karke monetize kar sakte ho.
vijay
Kya har baar video daalne par monetize karna padega ya ek hi baar enable karna hai jaisa aapne upper image me dikhaya
Aur haa sir kya AdSense account banane ke liye mere paas koi website ya blog hona jaruri hai
Jumedeen Khan
Ek hi bar me bih kar sakte ho. Ye check karo YouTube Par Sabhi Videos Ko Ek Sath Monetize Kaise Kare
Zuhaib
Sir Channel Par To 10k se jyada views hai jisme se 2 video par 20k hai view or baaki ke 1k bhi nahi hai to kya vo sirf 2 hi videos par adds aaenge…
Jumedeen Khan
Nahi aapki sabhi videos par ad aayenge.
md yaseen
Hello sir jee ye step 3 me 1 to ok ho jata h but jaha website & language select karne ko kaha h vaha website option par click nhi hota h youtube url h aur dusra language English select karne ke baad continue par click karte h to koi prosecc nhi hota h aur vhi ruk jata h 3 no. Ki prosecc adress wala option nhi khulta h bataiye sir jee aesa kyu
Jumedeen Khan
Aap dusre device ya dusre internet connection se try karo ho jayega.
Ritik
Bhai video ko monetize kitna views pa kiya jata ha
Jumedeen Khan
10,000 views par.
घनश्याम
सर जी मेने एकदम सही एडसेंस accuont बनाया है सिर्फ वेबसाइट की जगह गलत वेबसाइट लग गई थी तो उसकी बजह से monetization desableदिखा रहा है ,तो सर जी मेरी इतनी हेल्प कर दो प्लीज़ की मेरा यूट्यूब चैनेल सही काम कर सके.
Jumedeen Khan
Youtube par ad lagane ke liye aapko blog ki jarurat nahi hai. Aap direct youtube se adsense ke liye apply karo.
Akshay
Mera ek youtube channel hai usme 12000 se uper view ho gya hai fir bhi monetization deseble aa rha hai.
Jumedeen Khan
Aapne youtube policy violation kiya hoga. Fir se monetize karke dekho.
Madhav Netam
Blog aur youtube ko ek adsense se jod sakte hai kya
Jumedeen Khan
yes jod sakte ho.
om
Sir agar ham screen recorder se apni mobile ki screen se kisi earning topic par video banaye to usko edit karte samay agar ham video me koi download kiya hua image lagaye jaise background image, subscribe image etc.
to kya Hamare video par copyright stick aayenge kya to video se adsens se earning nahi hogi kya?
Please reply.
Jumedeen Khan
Nahi, aap aesa kar sakte ho. Isse koi problem nahi hai.
Santoshkumar
Please help me sir
Mera channel Hosted account kyo likhta hai
Jumedeen Khan
Kyuki aap abhi sirf youtube par ad dikha rahe ho. None hosted account ke liye aapko website ki jarurat padegi or usme ad lagane honge. Isse koi problem nahi hai sabke me yahi dikhata hai ise avoid karo.
MUKUL KUMAR JAWA
Sir ye bataiye ki you tube channel me videos offline save mode disable kese kare
Please answer fast
pardeep narayan
मेरे 25000 view hai par monisetion nahi हुआ है क्या करें सर 3 महीने हो गए हैं 4 अगस्त को शो कर रहा है मोनी स्टेशन एंड में क्या 4 अगस्त को मॉनिटर चैनल हो जाएगा
Jumedeen Khan
Yes ho jayega.
pardeep
भाई मेरा 30,000 view hai par monietiozation नहीं हुआ है 30,000 view के पैसे मिलेंगे
Jumedeen Khan
Nahi views ke paise nahi milte.
pardeep
YouTube में किस चीज के पैसे मिलते हैं अगर ऐड से पैसे मिलते हैं अगर कोई ऐड ना देखे तो क्या होगा पैसे जो हैं किस चीज के मिलते हैं और कैसे मिलते हैं किस तरह मिलते हैं टाइम से पैसे मिलते हैं टाइमर से किसी और से ही पैसा मिलता है और किसी चीज से भी नहीं सिर्फ ऐड
Jumedeen Khan
Is sabki jankari ke liye aap humari adsense wali posts read karo.
bhavik maru
Agar ak insan ak hi video ko do bar dekhega to use 1view milega ya 2
Jumedeen Khan
2
Alam Khan
sir
mene YouTube account banaya tha or us pr foran hi Google adsense bhi lagay
jb adsense account banaya tha to adress k alawa account details bhi nahi mangi thi
3 4 din k bad mene adsense YouTube se lagaya to message to aa gya but jb mene YouTube check kiya to monetization wala option not enabled aa raha he
or video pr wo icon ja apne btaye the nahi aa re he
Pllzzz sir
help me
Jumedeen Khan
Aap video ko monetize karke dekhiye or pata kijiye ki koi video copyright to nahi hai. Adsense ne iska aapko mail bheja hoga wo check karo. Bank account details bad me add karni hoti hai.
Alan Khan Atin
Hnn sir
kuch videos copyright thi
jin videos pr includes copyright content likh kr aa raha tha wo mene delete krdi sir
or mere channel pr video ko monetization krne ka option nahi aa raha he
or sir
2bara monetize krne ka option bhi ni aa raha he sirf not enabled likh kr raha he
or me jb adsense account kholta hu to wo direct waha khulta he jaha pr code hota he iske alawa kuch ni hota wo website ke html pr paste krne ko bolta he me jb krta hu to kuch ni hota
Jumedeen Khan
Youtube kai bar aapk owarning deta hai uske bad bhi aap policy violation karoge to monetizatino disable hoga hi. Aap google adsense forum me iske bare me questino karo ho sakta hai wo monetizatino enable kar de.
Mohd Amir
sir bht hi pele mene apna account bnaya tha you tube but wo ab show nhi ho rha tha kya ab muje fir se apna account create krna pdega…
Jumedeen Khan
Agar aapko wo ID yaad hai to us Id se log in karke dekho wanra new account banao.
ganesh mourya
sir maira chahnel ko maine monetization kar diya hai but $ ni green ni hua nhi slow kar rha hai
Jumedeen Khan
Wo 10k views ke bad hoga.