Youtube se online kamayi karna bahut acha tarika hai bhaut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai. Kuch log to crordo se bhi jyada paise kamate hai. Youtube se earning karna koi mushkil kam nahi hai aap bhi YouTube par video upload kar ke paisa kama sakte hai. Iske liye bas aapko apni gmail ID se YouTube par sign in karna hai or videos create karke YouTube par upload karni hai. Apni videos ko monetize kar Google Adsense se connect karna hai. Uske bad jab bhi koi aapki video par show hone wale ads par click karega aapki earning hogi.
Maine iski jankari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post me already di huyi hai aap chahe to ye post pad sakte hai isme aapko YouTube se paise kamane ki puri jankari details me milegi. In this post, yaha main aapko YouTube videos ko monetize karne or YouTube channel ko AdSense se connect karne ke bare me step by step bta raha hu.
Agar aapko pas gmail account hai to aap usi ID se YouTube par log in kar sakte hai. Iske liye aap humari Youtube Partner Kaise Bane post follow kare. Now, main man leta hu ki aapne YouTube par account bana liya hai or us par 2-5 videos bhi upload kar di hai. Ab bas aapko vdieso ko monetize or AdSense se joidna baki hai.
Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Chalo ab aapne video upload kar liye hai to mai aapko bta du ke is video se kamayi kaise hoti hai or iske liye aapko 2 kaam karne hai.
Set up your channel to earn money:
- Enable your channel for monetization
- Connect your channel an AdSense account
Mai aapko dono ke bare me vistar se btaunga aap chahe to aap abhi mere sath sath apne videos ko monetize or AdSense se connect kar sakte ho.
1. Youtube Videos Ko Monetize Kaise Kare?
Actually, YouTube ke features me kafi changes ho gaye hai. So main yaha aapko old and new dono step bta raha hu. Aap duable tarike se YouTube channel ko monetize kar sakte ho.
New Method:
Go to YouTube.com par jaye or top sidebar me apne photo icon par click kare.
- Top sidebar me right side me apne account wale icon par click kare.
- Account icon ke bad Creator Studio par click kare.
- Ab left sidebar me Channel par click kare.
- Channel ke bad Status and features par click kare.
- Under monetization, Enable par click kare. (Ye option aapko tabhi dikhayi dekha jab aapka aacount pahle se monetize nahi hoga.)
Old Method:
Old method me aapko kuch jyada step follow karne honge.
Step 1:
Sabse pahle aap www.YouTube.com par jaye or apne gmail account se log in kare.
- Left side me menu icon par click kare.
- My channel par click kare.
- Ab video manager par click kare.
Step 2:
Video Manager par click karte hi ek new windows khulegi jisme aapke videos ki list hogi par isme video monetize ka nishan nahi hoga. Ye screenshot dekh sakte hai. Yaha par ek green color me dollar ka icon show hota hai jo video monetize karne ke bad showhoga.
Step 3:
- Ab aap left sidebar me account ke Channel option par click kare.
- Monetization option par select kare.
- Ab Enable moetization par click kare.
Step 4:
Ab ek new pop up window khulegi usme YouTube policy ke bare me btayajayega. Policy padh kar sabhi terms par tick karke I accept par click kare.
Step 5:
Ab ek dusri windows khilegi usme Monetize par click kare fir Go it par click kare. Aap jaise hi Go it par click karenge to aap direct apne account ke video manager me pahuch jayenge. Yaha par aap dekhenge ke aapki video ke samne dollar ka green nishan hai. Iska matlab aapka video monetize ho gaya hai.
Ab aap jab chaho video manager par ja kar apne video ko select kar ke action par click kar monetize kar sakte ho. Abhi aapke video par ads to show honge par aapki income nahi hogi uske liye aapko apna YouTube account google AdSense account se jodna hoga. I mean YouTube channel ko AdSense se connect karna hoga. So chaliye ab iske bare me bat karte hai ki how to connect your YouTube channel with an AdSense account?
2. Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jodte Hai?
Youtube channel ko AdSense account se connect karne ke liye aapke pas pahle se AdSense account hona jaruri nahi hai. Aap jab YouTube ko AdSense se connect karoge to aapka hosted AdSense account ban jayega. Jis se aap sirf apne YouTube videos par hi ads laga sakte ho.
Note: YouTube Channel ko monetize karne ke liye aapke channel par lifetime 10,000 views hone jaruri hai. 10k views ke bad hi aap youtube ko adsense se connect kar sakte ho.
How to connect your YouTube channel with an AdSense account:
Agar aapke pas already approved AdSense account hai to bahut achhi bat hai or agar aap AdSense account banana chahate ho to iske liye aapke pas apni koi website ya blog hona chahiye usse aap direct AdSense account bana sakte ho or apne YouTube channel ke sath sabhi sites par bhi ad laga sakte ho.Iske liye aap humari Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari post padhe.
Step 1:
- Ab fir se apne Account me Channel selection par jaye.
- monetization option ke samne View monetization settings par click kare.
Step 2:
- How will i be paid? par click kare.
- Fir associate an Adsense Account par click kare.
- Ab Next button par click kare.
Step 3:
Ab jo window khule usme Sign in par click kare.
- Apni bhasha language select kare.
- Continue button par click kare.
Ab aapke samne AdSense account ke ek information window khulegi jisme aapke address ke bare me pucha jayega. Isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai kyuki aapke btaye address par ek post aati hai usme aapke address verify ke code honge jo aapko google AdSense account me dal kar apna pata verify karna hai. Address verify hone ke bad hi aapko payment milegi.
Agar aap AdSense PIN ke bare me or janna chahate hai to Adsense Par Address (PIN) Verify Kaise Karte Hai post pade.
Step 4:
Ab jo page khulega wo AdSense sign up forum hoga isme aapko sari jankari sahi sahi bharni hai.
- Yaha par aap apni country select kare.
- Apne country ka time zone set kare, India ka time zone +05:30 hai.
- Apne kaam ka option select kare. aap business karna chahate hai to Business select kare or agar aap sirf apne liye AdSense account banana chaahte ho to Individual select kare.
- Agar aapne business select kiya hai to yaha apni company ka naam likhe.
- Apna sahi pata yaha par enter kare. Dhyan rahe ye sahi sahi bharna hai.
- City ka sahi naam bhare.
- State konsa hai wo select kare. Jaise:- Rajasthan
- Apne pin code enter kare. (pin code aapko usi jagah ke bharne hai jaha aap rahte hai agar aapko nahi pata to aaspas kisi jankar person ya post office se pata kar sakte ho.)
- Yaha par aapko apna pura naam bharna hai. Aapka name bank account name se match hona chahiye.
- Apne mobile number enter kare. (agar aapke number verify nahi hai to aap jaise hi 12 no. par click karenge to aapko apne mobile no. verify karne hai. No. verify karne ke liye aap message ya voice call koi-sa bhi option choose kar sakte hai. Ab aapke pas ek message ya call aayegi usme aapke verify password honge unhe enter karke account verify kar le.)
- Aap AdSense aacount kis liye bana rahe hai wo select kare.
- Yaha par sabhi jagah yes par tik kar de.
- Ab ek bar apni sari jankari check kar le taki koi galti ho gayi ho to use theek kar sako. Sabkuch theek se bharne ke bad Submit My Application par click kare.
Ab aap jaise hi Submit My Application par click karenge to kuch second me aap wapis apne YouTube account par pahuch jaoge or aapke samne same aysi window khulegi.
Yaha par ek message show hoga jisme likha hoga “Your AdSenseapplication has been sumitted and is being reviewed. You will recive an email egarding the status of your application within about a week.” mean aapka AdSense aaccount application submit ho gaya hai ab google aapke account ka review karega or review complete ho jane par aapka AdSense account approved hoga ya nahi, iske bare me aapke email address par AdSense ka ek mail aa jayega. Isme ek week ka time tak lag sakta hai.
Ab aapka YouTube account AdSense account se jud chuka hai. Ab jab bhi koi aapke video ko dekhega to us video par AdSense le ads show honge or jab koi un ads par click karega to aapki income hogi.
- Internet Se Ghar Baithe Online Paise Kaise Kamaye
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
Agar aapne mere sath apna YouTube account AdSense se connect nahi kiya hai to der mat kijiye or jaldi se apne account ko AdSense se jod lijiye or paise kamane shuru kar dijiye. Agar aapko is process ko follow karne me kahi par koi problem aaye to aap humse comment me is bare me apne sawal puch sakte hai.
I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko YouTube se paise money earn karne ke bare me achhi jankari milegi. So plz ise socila media par apne dosto ke sath share jarur kare.
Kuldeep khandelwal
Maine Abhi apne channel pe ek bhi video upload nai ki h or Adsense account bana diaa h to mujhe Google approved karega Adsense k liye
Jumedeen khan
Mushkil hai.
Jane alam
Sir mera frnd singer hai. Aur aksar apni video mere chenal se dalta hai.. Month me 13000 viwes ho jati hai.. Lekin sir wo meri id se video dalta hai. Agar me paise kamana chahun.. To kya uski video used kr sakta hun.. Koi problm to nhi hogi na?
Jumedeen khan
Agar apni video kisi or channel par upload nahi karta hai to koi problem nahi hai.
Sulman Javed
Main har gaane par alag alag slideshow lga earning kr skta hun
Jumedeen khan
Nahi songs par ad google apen hisab se show karta hai.
khurshid Khan
Bhai AdSense se jodne ke login karta hu to save and continue ka options aata jab iss pe click karta hu to to bas is ke aage nahi badhta koi solution btao kai bar try kiya lekin nahi ho paa rha hai please help me
Aur Han 1 view par kitne paise milte hain aur ye dollar me hote hain ya rupee me?
Jumedeen khan
Khan, aap kisi or browser me try karo or apaka browser update hona chahiye, paise views ke nahi click ke milte hai.
Sarfaraz
Hello sir, mera pehle se hi ek AdSense account hai, lekin problem hai jis gmail id se mene AdSense liya hai us se mene YouTube channel nehi banaya hai, abhi kya me mera AdSense ko YouTube par use kar sakunga ya fir mujhe firse AdSense ke liye apply karna hoga….?
Jumedeen khan
Aap AdSense me YouTube wali email ID add kar kar usme AdSense connect kar sakte ho. Main iske bare me post karne wala hu wo follow kar lena.
Sarfaraz
Jald post kare bhai…. bhai…
RAM LAL
Sir mene 01 tarikh ko AdSense par i’d banai h. Uske baad usko YouTube se connect kar diya h. Aur aaj mere videos ki earning 5 dollar ho gayi h esa YouTube me show kar raha h lekin AdSense me 0.00 dollar hi show kar raha h.
Jumedeen Khan
Adsense me aapki earning mahine me ek bar hi show hoti hai.
govind
sir maine bahut se channal me same to same video dhekhe hai aur vo bhi monitize kiye hue sir ye to copyright hua ye kaise ho jata hai
Jumedeen Khan
Main iska jawab aapko yes and no dono me dunga, Kyuki YouTube ise allow nahi karta hai but aap video ke background, sound, music, pictures quality me changes karke or video ki language badal kar aesa akr sakte ho but ye risky hota hai. So main aapko iske liye suggest nahi karunga.
PRADIP
bhai maine YouTube par AdSense jode he wo 30 din hue maine ajj income dekhi to 30 din ki$ 0.04 hai or 1304 views 30 din ka hai to aisa kyu hua muje isse nirasha milti hai
Jumedeen Khan
incoem tabhi hogi jab koi ad par click akrega or aapko 30 day me sirf 1300 views mile hai itne roj mile to bhi kam hai. traffic badhao.
RUBY SINGH
kitana video dalane ke bad ya ak video banane ke bad adsenes a/c kholana ya adsenes a/c ko jodana chahiye aur yah a/c ak hi bar khola jata ya bar bar har video ke sath confirm karna padata hai
Jumedeen Khan
Aap 5-10 video upload karne ke bad jab un par 3000 to 5000 views ho jaye tab AdSense ke liye apply kare.
RUBY SINGH
Sir maine ruby singh ke nam se channel banaya hai usme verify likh kar a raha hai yah kis kar se aa raha muje kaya karna chahia sath hi yah batai ki deffolt sete karege to apane har video ki detail batane ke liye kaya karna hoga man lijiye ki mai ak subject per video nahi banau defrent subjet ho kaya hoga
Jumedeen Khan
Verify ka matlab hai ki apane apna gmail account verify kar liya hai. Its good. YouTube ki default setting ke liye ye post read karo. Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
RUBY SINGH
Sir apne jo prosses is post me bataya hai wo prosses har video ke sath karna hoga ya ek bar shuru me karne ke bad shirf video dalana hoga pls mujhe bataye
Jumedeen Khan
Ek bar karni hogi. Agar aap dubara ye setting nahi karna chahate ho to ye step follow karo YouTube ki sari setting ek sath kaise kare.
prateek
kya without website ke AdSense account bana sakte hai ? kya without site ke AdSense approve ho jayega ? or me baad me kuch din baad site add karna chata hu to kya y ho sakta h
Jumedeen Khan
Ha bana sakte ho. Isi post me btayi method se.
Arun
sir mere blog par 100 posts hai or perday 500 page views hai. to kya me AdSense ke liye apply kar du? but mujhe abhi apna blog bnaye hue 6 month nhi hue hai. only 3 month hue hai. to kya abhi rqst apprv hogi?
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho. but aapke blog par 100 post hone par sirf 500 traffic bahut kam hai.
Prakash
Kya baaat h bro….
Aaj bahut achhi jaankaari di aapne….
Ravi
hi sir,
in my AdSense account paypee profile name and bank holder name is not same so what i can do for wire transfer payment my bank account??
Jumedeen Khan
You can change your AdSense account payee profile address
Ravi
I am also chane payee name,
But mera name secondary name show ho raha hai,
Jumedeen Khan
Aapne duable address add kiya hai. Aap mujhe contact form me iska screenshot send karo.
Sunil Kumar Ghaswan
Monetize ko enable krne ka option nhi aa rha
mera abhi new account hi h
konsi country select kru taki option aa jaye
plz tell me
Jumedeen Khan
India select karo.
rakesh
mere bhi site banne theen mahina hoga.
meri site par day 550 pagview bhi aa re . par mere google AdSense apper nhi hu. site me bhi kya kmee h pls tell.
Jumedeen Khan
Aapko google se koi mail mila ho to wo btao. blog me koi kami nahi hai.
Sameer Shrivastava
Agr mai monetize + AdSense se jod leta hu toh payment mujhe kaise milega :/ aur kaise milega ? par Like aur views peh milenge ya koi limit hogi eski ? Ya fir monthly basis peh aate hai ?
Jumedeen Khan
Is sabke liye aap humari AdSense se related post read karo.
naveen
mene YouTube pr video dala or monitization and AdSense se bhi connect kr diya…….or video me $ sign bhi a gya h…pr mere video me kbhi add show hota h or kbhi add show ni hota h…..or video daily view ho rhe h pr income ni ho rhi h
Jumedeen Khan
Koi bat nahi ek video ko bar bar dekhne par usme har bar ad show nahi hota or kei bar khud ki video dekhne par bhi ad show nahi hote.
Sumeet SK
Agar Maine Kisi Or Ka Video Upload Kr diya Toh Kya.. HOGA..
Jumedeen Khan
Aapka account ban ho jayega.