YouTube paise kamane ka sabse achha way hai par YouTube se paise kamane ke liye aapko YouTube ki achhi jankari hona bahut important hai. Aaj main aapko YouTube par video upload karne ka sahi tarika bata raha hu. Kyuki bahut se new youtubers ko YouTube par video upload karne ki puri jankari nahi hoti. Agar aapko bhi YouTube par video upload karne ki jankari nahi hai to is post ko last tak padhe.
YouTube Par Video Upload Kaise Karni Chahiye
Sabse pahale YouTube.com website par jaye or agar login nahi hai to apne gmail account ki ID se login kare.
Agar aapne gmail account nahi banaya hai to ye Gmail Account Kaise Banaye post padhe or gmail par account bana le.
YouTube site ke home page par pahuchne par upar right side upload button par click kare.
Upload button par click karne par ek new video upload window open hogi. Jaise humne niche screenshot me dikhai hai.
- Yaha par click karke apne computer me se video ko select kare. (Aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha patak sakte hai. Video upload hona start ho jayegi.)
- Isse aap apne google+ videos ko direct upload kar sakte hai.
- Yaha par click karke aap direct apne camera se video create karke upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne photos ka slide show create karke bhi upload kar sakte hai.
- Google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne pahale se upload kiye gaye video ko edit kar sakte hai.
Jab aap apne video ko select karoge or jaise hi video upload hona shuru ho jayegi to ek new window open hogi. Jaisi humne niche screenshot me dikhai hai.
- Aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha se pata chal jayega.
- Yaha par aapko apne video ka title dalna hai.
- Yaha par aapko apne video se related jankari fill karni hai. Jaise aapke video me kya hai or is video ka sambandh kis kis se hai.
- Yaha se aap apne video me tag add kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video me ye set kar sakte hai ki aapke video ko kon kon dekh sakta hai.
- Yaha se aap message ke sath apne video ko google+ or twitter par share kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video ke sath koi message bhi bhej sakte hai.
- Yaha se aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai.
- Jab aapka video upload ho jayega to yaha 3 thumbnail hogi aap inme se kisi ek ya apne computer me se kisi or thumbnail apni video me set kar sakte hai.
- Video upload karne ki puri settings karne ke bad publish button par click kare.
- Yaha se aap us video ko dekh sakte hai jo aapne abhi upload kiya tha ki ye video aapke baki videos me aaya hai ya nahi aaya hai.
- Yaha se aap or video upload kar sakte hai.
To is tarah aap apni video ko puri settings ke sath upload kar sakte hai or agar aapko video upload karne me abhi bhi koi problem aa rahi hai to comment me bataye.
Ab aapne YouTube par video upload karna to sikh liya hai par ab aapko ye janna hai ki apne video se paise kaise kamaye jate hai.
Uske liye ye post padhe:- Apni Videos Se Paise Kaise Kamaye
Agar aapko koi or jankari chahiye to aap hamari site ko subscribe kar sakte hai sath hi aap chahe to humese social media Facebook, Twitter, Google Plus, par jud sakte hai.
- Also Read:- YouTube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Hindi Me
Sath hi agar aapko YouTube par video upload kaise or kis tarah se karni chahiye ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
Nisar shah
sir mn ak wabsite banwna chahta hn jis par video upload karo ap plz bata dy kis tarah banani h
Jumedeen Khan
Aap ye post padho blog kaise banaye
kapil pal
bhai apki site par “follo on socil site” in sab par apko id banani padi hogi jese main apni site bana lu to mujhe in sab par id banani hogi post share karne ke liye plezz batao
Jumedeen Khan
Ha banaoge to aapko iska benefit milega.
suresh
sir kya main YouTube se 3- 4 alag alag video download kare ke unko add or edit kareke ek video banakar upload kare ke paise kamaye ja sakte h kya?
Jumedeen Khan
nahi aap ayse video upload nahi kar sakte.
manish
Mujhe ek website banani he.. Jispe se log mp3 songs Download kar sake video’s Download kar sake… So wo banane ke liye mujhe kya kya karna padega.. Please tell me in details
Jumedeen Khan
ap wapka.mobi par blg banao.
manish
Ohhhk…. But uspe mai paise kama sakunga kya..
Jumedeen Khan
Ha kama sakte ho. try karke dekh sakte ho.
sana
a.o.a sir m ni apna channel tu benya h y
outube m views be a rhy h but m you tube se video ly kr edit kr rhi ho
ky mje earning ho gei k ni plz tel me sir g
Jumedeen Khan
w/a sana,
nahi aap kisi or ki video edit karke upload nahi kar sakte. khud ki banayi video upload karke paise kama sakte ho.
renu parmar
kya YouTube se pese mb.k through b kmae ja skte he?
Jumedeen Khan
YouTube Se Paise Kaise Kamaye
Irshad
aap jo jankari likh kar dete ho mai wahi jankari Utube par dena chahta hu kya aisa kar sakta hu jaldi bataye
Jumedeen Khan
Nahi nahi kar sakte.
DILEEP KUMAR VISHWAKARMA
SIR I AM DILEEP KUMAR VISHWAKARMA
MAI TO FILHAL LAVA SERVICE CENTRE ME KAAM KARTA HU. BUT JAB MAI KHAALI TIME ME RAHTA HU TO YOUTUBE SE PAISA KAISE KAMAYE YE MAI BHI NET PR DEKHTA RAHTA HU LEKIN KUCHH SAMAJH ME NAHI AATA HA
AAJ MAINE AAPKI POST PADHA AUR JUST HI MERE MIND ME AAPKA POST AA GAYA PR PBLM ISS BAAT KA HAI KI MAI KOI EK WEBSITE BANANA CHAHATA HU (www.Dileep54.com) jo ki banta hi nahi hai SIR AAP MUJHE KOI ESY TARIKA BATAYE JISSE MAI BHI KOI WEBSITE BANA SAKU
SIR EK BAAT AUR JYAADA COMMENT KARNE PR AAP ANGRY TO NAHI HONGE SIR BECAUSE MERE ANDAR ANEKO QSTN UTHTE RAHTE HAI TO MAI AAP SE COMMENT JAROOR KARUNGA
TO SABSE PAHLE YE BATAYE KI MAI 1 WBSITE KAISE BANAYE KI MAI US PR KUCHH DAAL SAKU
BLOGGER PR CHECK KIYE THA SIR LIKIN KUCHH SAMAJH ME NAHI AAYA
PLEASE JUST REPLY I AM WAIT YOU.
Jumedeen Khan
Dillep aap kitni bhi comment karo koi problem ahi hai. But next time capital characters me comment mat karna. chote akshro me karna. Aap supportmeindia ki abhi or post padho sabkuch samajh aa jayega. Agar samajh na aaye to comment me puch lena.
aslamkhan
sir mai ak singer hu mai apna gaana net pe upload karna chata hu konsi webside h jo easy h
Jumedeen Khan
Youtbue par karo.
kashif
sir, paypal par account banane ke liye pan card ki jarurat parti hai agar parti hai to ko aisi online payment size bataye jisse bina pan card ke id ban jaye
Jumedeen Khan
Ha padti hai. aap payoneer se payment recieve kar sakte ho. ye post padho Payoneer Kya Hai or Payoneer Par Account Kaise Banate Hai
SATIS
hum tag me kuch nahi likhte to chalega ne seo me koi fark padta hai ke nahi
Jumedeen Khan
Aap tag na bhi karo to koi problem nahi hai. Satis ek hi sawal ko bar bar repeat mat karo.
SATIS
bhai muje sab samaj aagaya lekin tag me kya likhna wo samaj nahi aya or koi video pe click karte jo shabd dikhata hai wo descrapation hai hota hai….
Jumedeen Khan
Satis tag me aapko dusre channel karne hai jaise aap facebook par photo me friends ko tag karte ho. Jaise aapko tag me salman khan ke channel ko tag karna hai to aap salman likhoge or salman ka channel aa jayega. Ha description hi hoti hai.
SATIS
video ko seo fraindly kaise banate hai you tube me 1 step pe lane ke liye
Jumedeen Khan
Youtube ke title me top level keywords use karo. it’s only one tips
SATIS
bhai YouTube me aapne website ki link dali hai wo kaise dalte hai koi uspe click karke hamari site par aashake wo descrapation me dalni hai ya tag me
Jumedeen Khan
Nahi uski edit video me ja kar setting karni padti hai.
SATIS
TAG me kya likhma muje samaj nahi aaya aapne bataya 4-5 CHANNEL ME ADD KARO JARA SAHI SE BATAO
Jumedeen Khan
Satis,
Maine jo reply kiya hai use pura padho. Maine kaha hai ki apni video se related yani aapki video me jaisi janakri hai us type ke YouTube par bahut sare channel hai. aapko unme se 4-5 tag karne hai jaise aap facebook par friends ko tag karte ho.
SATIS
TAG me kya likhna hai
Jumedeen Khan
Apne video se related 4-5 channel tag me add karo.
Ahmad khan
sir jb mai YouTube pr gya or maine apni I’d or psswrd kar login kya to mujhe video upload ka optione khi nhi dikha mai abhi mobile Samsung galaxy tab 2 7.0 use kr rha ho or mujhe logout kabhi optione nhi mil rha hai kya app mujhe btoge yh dono options kaha show krte hai…….???
Jumedeen Khan
Aap YouTube ka mobile version use kar rahe ho. Desktop version use karo.
Abhishek kumar
songs download karne wala websites kaise banta hai
Jumedeen Khan
official site banane ke liye aapko 4-5 lakh ki jarurat padegi. mere hisab se aap free ste banaye ye post pade Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
mohd anas saifi
Sir mene appni video upload ki hai par wo searck karne par nahi aa rahi……..please help me…..aur ….me apne channel ko search karta hu to aata hai aur usme likha hua aata ….this channel does not have any content
Jumedeen Khan
Wait kuch time search me aa jayegi.
Grace Pullman
Fantastic goods from you, man. I have understand your stuff previous to and you are just too wonderful. I actually like what you’ve acquired here, certainly like what you are saying and the way in which you say it. You make it entertaining and you still take care of to keep it smart. I can not wait to read much more from you. This is actually a wonderful site.
muzammil
Email se you tube per login kaise kare
Jumedeen Khan
Youtube.com par jao or gmail id or password se log in karo.