YouTube paise kamane ka sabse achha way hai par YouTube se paise kamane ke liye aapko YouTube ki achhi jankari hona bahut important hai. Aaj main aapko YouTube par video upload karne ka sahi tarika bata raha hu. Kyuki bahut se new youtubers ko YouTube par video upload karne ki puri jankari nahi hoti. Agar aapko bhi YouTube par video upload karne ki jankari nahi hai to is post ko last tak padhe.
YouTube Par Video Upload Kaise Karni Chahiye
Sabse pahale YouTube.com website par jaye or agar login nahi hai to apne gmail account ki ID se login kare.
Agar aapne gmail account nahi banaya hai to ye Gmail Account Kaise Banaye post padhe or gmail par account bana le.
YouTube site ke home page par pahuchne par upar right side upload button par click kare.
Upload button par click karne par ek new video upload window open hogi. Jaise humne niche screenshot me dikhai hai.
- Yaha par click karke apne computer me se video ko select kare. (Aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha patak sakte hai. Video upload hona start ho jayegi.)
- Isse aap apne google+ videos ko direct upload kar sakte hai.
- Yaha par click karke aap direct apne camera se video create karke upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne photos ka slide show create karke bhi upload kar sakte hai.
- Google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne pahale se upload kiye gaye video ko edit kar sakte hai.
Jab aap apne video ko select karoge or jaise hi video upload hona shuru ho jayegi to ek new window open hogi. Jaisi humne niche screenshot me dikhai hai.
- Aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha se pata chal jayega.
- Yaha par aapko apne video ka title dalna hai.
- Yaha par aapko apne video se related jankari fill karni hai. Jaise aapke video me kya hai or is video ka sambandh kis kis se hai.
- Yaha se aap apne video me tag add kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video me ye set kar sakte hai ki aapke video ko kon kon dekh sakta hai.
- Yaha se aap message ke sath apne video ko google+ or twitter par share kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video ke sath koi message bhi bhej sakte hai.
- Yaha se aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai.
- Jab aapka video upload ho jayega to yaha 3 thumbnail hogi aap inme se kisi ek ya apne computer me se kisi or thumbnail apni video me set kar sakte hai.
- Video upload karne ki puri settings karne ke bad publish button par click kare.
- Yaha se aap us video ko dekh sakte hai jo aapne abhi upload kiya tha ki ye video aapke baki videos me aaya hai ya nahi aaya hai.
- Yaha se aap or video upload kar sakte hai.
To is tarah aap apni video ko puri settings ke sath upload kar sakte hai or agar aapko video upload karne me abhi bhi koi problem aa rahi hai to comment me bataye.
Ab aapne YouTube par video upload karna to sikh liya hai par ab aapko ye janna hai ki apne video se paise kaise kamaye jate hai.
Uske liye ye post padhe:- Apni Videos Se Paise Kaise Kamaye
Agar aapko koi or jankari chahiye to aap hamari site ko subscribe kar sakte hai sath hi aap chahe to humese social media Facebook, Twitter, Google Plus, par jud sakte hai.
- Also Read:- YouTube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Hindi Me
Sath hi agar aapko YouTube par video upload kaise or kis tarah se karni chahiye ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
Rohit kumar
Sir YouTube channel ko approval krne ke liye YouTube channel kitne month porana hona chahiye
Jumedeen Khan
Aap kabhi bhi YouTube ke through kabhi bhi apply kar sakte ho channel chahe kal hi bana ho bas 1000 to 2000 views hone chahiye.
gulam mustafa
Sir mera mane gulam mustafa
sir mai YouTube per vedio upload karna chahta
sir vedio ko YouTube per kaise upload karo
plz sir bataye
Jumedeen Khan
ye post check kare YouTube Par Video Upload Kaise or Kis Tarah Se Karna Chahiye
Sabrin
Hi, Sab se pehle to Mai aapko tariff karna chahugi, u r great Jume Deen Khan… Or Mera samal ye Hai ki kya Mai website or YouTube done pe 1 hi Mai I’d se AdSense se paise kama sakti hu ya alag alag Gmail I’d Banana hoga ya YouTube or website dono me se 1 hi ko AdSense se job sakti hu, kiw k Mai website b Bana rahi hu or YouTube ka b channel banana hu… Dono Kar sakti Hai ya 1 hi karna hoga….
Jumedeen Khan
Thank you sabrin its my pleasure.
Ek hi AdSense ID se aap sabhi websites or YouTube channes ko connect kar sakti ho google bhi yahi kahta hai.
Ankit singh
sir JI Maine apni video you tube par upload ki hai to vo saaf nhi hai mujhe vo saaf HD karni hai sir kar sakta Hun kar sakta Hun to kaise sir plzzz tell me fast plzzz sir
Jumedeen Khan
Aap HD video hi upload karoge to hi HD jaisi dikhegi.
Name :raj
haii brother mera aek yotube channel he lekin mene ise abhi tak AdSense se nahi joda he to please mujhe bataye ki mere channel par kam se kam kitne view and subscriber chahiye jisse mera channel bina problam ke AdSense se conect ho jaye
Jumedeen Khan
subscribe kitne bhi views 3000+ ho jaye tab AdSense ke liye apply karna.
Gulab khan
Sar you tube pe paisa kaise kamaye aap ye to bta de
Jumedeen Khan
aap please YouTube wali baki post check kare
Nc sedavi
hello bro meara name nc sedavi hai meara ek you tube a/c hai mai usme aapne mob.ya ceamra se koi bhi video bna kar uplod kar shakta hu na…jaise ki kahi par kisi songs par koi dance kar rha ho …uska video bna kar uplod kar shakta hu na..yesa karne se coyright to nhi hoga ….plz telll me bro
Jumedeen Khan
Haa kar sakte ho par pahle ye jan lo ki aap YouTube par kis type ke video upload kar sakte ho check this post Youtube Par Aap Kis Tarah Ke Videos Upload Nahi Kar Sakte
MD SHAHID Afridee
Sir, Mai appki ye post already pahle hi padh chuka hu Aur Maine Az Screen Recorder Name Ka Apps download kar liya hai Lekin Mai aapse Ye Puchh Raha Hu ki Jis Tarah You Tube Ke Video Me Aero ( Teer ) Ka Icon Dekar Samjhaya jata hai Usi Tarah Mai Video Me Aero ( Teer ) Ka Icon Dekar Samjhana Chahta hu Isliye Mujhe Aap Koi Aisa Apps Ka Name Bataye Jisse Hum video Ko Edit Kar Sake Yani Aero Ka Icon Video Par Laga Sake
Jumedeen Khan
Iske liye aapko desktop ki jarurat padegi. Desktop me aap camtasia studio jo ki ek best video editer software hai use kar sakte ho.
MD SHAHID Afridee
Hello Sir, Mai YouTube Ke Liye Video Record Karta Hu Aur Mai Use YouTube Par Dalna Chahte Hai Lekin Meri Ek Problem Hai Mujhe Ye Nahi Pata Hai Ki Video Ko Edit Kaise Kare Video Par Aero Ka Icon Or Image Kaise Lagaye Sir Please Mujhe Koi Aisa Apps Ka Name Bataye Jisse Hum Android Mobile Se Video Ko Achha Aur Aasani Se Edit Kar Sake
Jumedeen Khan
Iski jankari ke liye yaha click karo.
Rakesh
sir mujhe ye bhi bataye ki me mobile se bhi video upload kar sakta hu kya.
sir mere pass computer/laptop nahi.
our mobile ki screen recording ki ak se adihk video jo ki alag alag jankari par aadharit hogi asi video dalne par copyright to nahi hoga na.
sorry sir agar mere dwara aapko comment me jyada thaklif hui ho to.
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho,
Rakesh mujhe kisi ko galat advice dena bilkul nahi aata. Aap online work karna chahate hona to desktop ya laptop le lo boecoz mobile par aapko bahut itme lagega or mehanat jyada hogi. Bahut se kaam adhure honge. I mean jo aap computer me 3 day me kar sakte ho use mobile se karne me 10+ day lagenge. So plz apna keemati time sahi kaam me lagao.
Rakesh
sir kya me mobile screen recorder ki video dal sakta hu jisme ki kishi ke bhi chij ke baare me batana game internet aadi apps aadi ki jankari dena
or mobile ke dwara ki hui recording ko bhi dal sakta hun
or aap bataye ki kis tarah ki video think rahegi jisse mujhe monetization karne me koi problem na Aa sake
Jumedeen Khan
Ha aap kisi bhi topic ke bare me samajhane wali video upload kar sakte oh. Techniqal video jyada better hai.
Rakesh
sir pahle channel ko monetization karna padta he tabhi jakar use AdSense se jod sakte he lekin sir mera channel to monetization hi nahi ho pa raha he
mera channal Funny and latest
is par only ak 22 second ki video upload he
aap mujhe ye bataye ki or video dalu ya phir
lagbhag kitne time ki video dalu
or kamse kam kitni video dalu please sir help
Jumedeen Khan
Aap first apne channel me 4-5 minutes ke 5-10 videos upload karo to hi aapka channel monetize hoga.
Rakesh
sir mujhe YouTube channal ko monetization karne ke liye thro AdSense ko approved karna padega kya or pahle monetization karte he ya YouTube account se jodte he
or thro AdSense ko approved kese karte he our approved karne par kya hoga
Jumedeen Khan
Aap ye post padho Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Rakesh
sir mera YouTube channel approved kese.
matlab monetization se pahle approved kese karte he
Jumedeen Khan
Aap jab YouTube ke throw AdSense ke liye apply karoge to aapko google ka ek message milega.
Rakesh
sir mene YouTube par ek video jo ki mere dwara banaya gaya he upload kiya lekin mujhe sabse badi problem monetization karne me Aa rahi he mujhe lagbhag 2 mahine YouTube account ko banaye ho gaya he lekin har bar jab aap ke dwara monetization karne ki bat batai jab use follow karta hun to vaha likha aata he ki aap monetization karne ke liye saksam nahi he
sir meri video puri tarha se mere mobile se record ki gai he.
is me koi bhi cheez kisi bhi prakar se copyright nahi to sir please mujhe bataye ki me monetization kyo nahi kar pa raha hun.
please sir heLP me.
Jumedeen Khan
Aap mujhe apne YouTube channel ka link btao or kya aapka YouTube wala AdSense account approved ho gaya hai.
Dinesh kartik
Sir mobile se video ki thumbnail set kaise karte hai…
Jumedeen Khan
Mobile me aap YouTube ka desktop version use karke same computer ki tarah kar sakte ho.
sachin insan
sir computer me YouTube ka home page nhi khul rha mne ik video upad karna hai to plee,,,, help me
Jumedeen Khan
Youtube.com ko open karne par kya error show hota hai.
krishnachandra baghel
sir mere laptop me windows 7 dala hua hi jisme windows movie maker nahi hai maine bahut kosis kiya online microsoft ke official website se phir bhi instal nhi ho paya . plz mujhe koi doosra achha software batayenge maine awr bhi kai software downlode kiye par unka keval trayal versio hi milta hai .ap koi aisa jisme easly achhe video edit or creat kiya jaa sake awr jo free me downlode kiya ja sake bataiye .
Jumedeen Khan
Aap camtasia software use karo. Sabse better hai.
krishnachandra baghel
ese trail verson use karne ke baad kharidna padega ki totally free hai sir
Jumedeen Khan
Aap iska free version to use karo. Kharidne ke bare me bad me sochna.
Shashi ranjan kumar
Sir mai website banane chahata hu kaise banega
Jumedeen Khan
Uske liye aap ye post padho website kaise banaye
Narendra singh
Sir ye mobail se ho jayega kya or wabesite kese banegi sir my watsapp no. please sir contect me
Jumedeen Khan
Mobile me aap chrome browser me desktop version me kar sakte ho. site banane ke liye aap hindi.supportmeindia.com par post padhe.
maan
sir muje chat site banani h,plz tell me kya me usse earning kar sakta hu
Jumedeen Khan
Ha kar sakte ho.