YouTube paise kamane ka sabse achha way hai par YouTube se paise kamane ke liye aapko YouTube ki achhi jankari hona bahut important hai. Aaj main aapko YouTube par video upload karne ka sahi tarika bata raha hu. Kyuki bahut se new youtubers ko YouTube par video upload karne ki puri jankari nahi hoti. Agar aapko bhi YouTube par video upload karne ki jankari nahi hai to is post ko last tak padhe.
YouTube Par Video Upload Kaise Karni Chahiye
Sabse pahale YouTube.com website par jaye or agar login nahi hai to apne gmail account ki ID se login kare.
Agar aapne gmail account nahi banaya hai to ye Gmail Account Kaise Banaye post padhe or gmail par account bana le.
YouTube site ke home page par pahuchne par upar right side upload button par click kare.
Upload button par click karne par ek new video upload window open hogi. Jaise humne niche screenshot me dikhai hai.
- Yaha par click karke apne computer me se video ko select kare. (Aap apne computer me se video ko mouse se utha kar yaha patak sakte hai. Video upload hona start ho jayegi.)
- Isse aap apne google+ videos ko direct upload kar sakte hai.
- Yaha par click karke aap direct apne camera se video create karke upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne photos ka slide show create karke bhi upload kar sakte hai.
- Google+ par chat karte huye video bana kar bhi upload kar sakte hai.
- Yaha se aap apne pahale se upload kiye gaye video ko edit kar sakte hai.
Jab aap apne video ko select karoge or jaise hi video upload hona shuru ho jayegi to ek new window open hogi. Jaisi humne niche screenshot me dikhai hai.
- Aapka video kitne parsent upload ho chuka hai wo yaha se pata chal jayega.
- Yaha par aapko apne video ka title dalna hai.
- Yaha par aapko apne video se related jankari fill karni hai. Jaise aapke video me kya hai or is video ka sambandh kis kis se hai.
- Yaha se aap apne video me tag add kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video me ye set kar sakte hai ki aapke video ko kon kon dekh sakta hai.
- Yaha se aap message ke sath apne video ko google+ or twitter par share kar sakte hai.
- Yaha se aap apne video ke sath koi message bhi bhej sakte hai.
- Yaha se aap apne video ko apni playlist me add kar sakte hai.
- Jab aapka video upload ho jayega to yaha 3 thumbnail hogi aap inme se kisi ek ya apne computer me se kisi or thumbnail apni video me set kar sakte hai.
- Video upload karne ki puri settings karne ke bad publish button par click kare.
- Yaha se aap us video ko dekh sakte hai jo aapne abhi upload kiya tha ki ye video aapke baki videos me aaya hai ya nahi aaya hai.
- Yaha se aap or video upload kar sakte hai.
To is tarah aap apni video ko puri settings ke sath upload kar sakte hai or agar aapko video upload karne me abhi bhi koi problem aa rahi hai to comment me bataye.
Ab aapne YouTube par video upload karna to sikh liya hai par ab aapko ye janna hai ki apne video se paise kaise kamaye jate hai.
Uske liye ye post padhe:- Apni Videos Se Paise Kaise Kamaye
Agar aapko koi or jankari chahiye to aap hamari site ko subscribe kar sakte hai sath hi aap chahe to humese social media Facebook, Twitter, Google Plus, par jud sakte hai.
- Also Read:- YouTube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Hindi Me
Sath hi agar aapko YouTube par video upload kaise or kis tarah se karni chahiye ki jankari achhi lage to is post ko social media par share kare.
Ratnesh kumar sahu
Mera video 1 minute aur 26 second ka hai kintu 86 mb ka hai mb kam kaise karu. pls help sir
Jumedeen Khan
Audacity software se video size kam kar sakte ho.
prince
sir maine 7 video upload ki lekin mera ek bhi view nhi mila hai jabki maine sb kuch sahi likha hai uske baad public kiya kya kru taki mera view mile
Jumedeen Khan
Promotion karo.
ManMohan Singh
Hello sir M apne YouTube Channel pr Movies Upload krna chahta hu to uske liye sahi tarika kya hai jisse Copyright issue na bane.
Please Help me…!!
Jumedeen Khan
Movies upload karne se copyrighting problem hogi. Iska sahi tarika nahi hai.
abhishek raj
hello sir G
youtube par video upload krne se phle edit krne ke liye koun sa software best rhega
kyuki edit to ho jata hai par video quality km ho jati hai 720 resulation ,
viva se esse jyada nhi ho pata h koi aur software hai to plz btayiye
Jumedeen Khan
I like camtasia
Deepanshu Saxena
Sir youtube se income krne k liye mene ek channel bnaya h…
kya me apne mobile ki youtube app use kr sakta hu is business k liye..yaa fir browser se kru..??
pls suggest
Jumedeen Khan
app bhi use kar sakte ho isme koi problem nahi hai.
krishna
भाई मैंने एक नया चैंनल बनाया है और उसमे एक वेदिओ अपलोड की है पर जब मैंने यू tube सर्च बॉक्स पैर अपना वेडीओ सर्च किया तो वह शो नहीं होता ऐसा क्न्यो
Jumedeen Khan
Video par tohde views aayenge to kuch time bad wo search me aayega.
Naresh Sahani
Sir meri channel pe subscriber badh kyu nahi rahe hai pls sir meri problem ka solution bataye…
Jumedeen Khan
Look here Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips
malkhan singh yadav
sir paise kone se hisav se milte hai matlav ki jaise ek 4 min ke vidiyo ko logo ne 100 baar dekha to esme jitnee mb kharch hoti hogi usee ke hishav se paise milte hoge
Jumedeen Khan
Paise aapko tabhi milenge jab koi aapki video par show hone wale ad par click karega.
Juhi Rani
Sir agar apne channel par video upload kar rahe hain. To video public me rakhe ya private me ? Kyuki YouTube ke ek video me hamne private video setting dekhi thi. Or ap yahan video public rakhne ki baat kar rahe hain. To YouTube channel ke liye. Kounsi setting sahi hai. Private ya public ?
Jumedeen Khan
Agar aap chahate ho ki aapke video ko sirf aap dekhe to private or agar aap chahate ho ki aapke video ko puri duniya dekhe to video ko public karo.
shubham mishra
Sir video upload karnay kay Samay tittle and disprection aata hay to us may Kya Dalna hoga please sir bataey
Jumedeen Khan
Usme video ka title or description me video kis bare me hai ye likhna hai.
Himanshu
Sir
Mai video upload kar raha hu toh pending show ho raha hai
Jumedeen Khan
Aap video kis device se kar rahe ho mobile ya desktop. Mobile se kar rahe ho to usme only wifi wala option enable hai use disable karo upload ho jayega.
RAMJEET YADAV
sir
kya hame apna hi banaya huwa video upload karna chaiye koi dusra video jaise songs ya other company ka banaya huwa videonhi
Jumedeen Khan
Yes sirf apna bana video hi upload karo warna copyrighting issue hoga.
Anas Ansar
What can i do upload videos from mobile
Jumedeen Khan
Yes you can do.
Neha vaishnav
Sir muje ek mail aaya hai ” your you tube has been approved ” iske aage kya process hogi sir aap pls.btaye
Jumedeen Khan
Ab aap video maanger par jaye or check kare ki sabhi video monetize hai ya nahi hai jo na ho use monetize kar lo uske bnad bas video banao.
rakesh kumar
khan ji kripya ye batana ka prayas karenge – ki youtube ko google adsense se to jod diya our youtube par add nahi lagaye ya lagaye bhi hai to koi uspar click nahi karte our us video ki view 10000 hai to paisa nahi kama sakte kya bina add ke place bhai jaldi reply dena ?
Jumedeen Khan
Kama sakte ho kisi product ka promote karke.
Sk verma
Sir mai jab video upload karta hu to mera video double ho jata hai
Matlab ki agar mere video ki duration 5 minut ki hai to wo wahi video repeat hokar 10 minut ki ho jati hai ..
Sir pls sokution batayen…
Jumedeen Khan
MP4 format me ye problem hoti hai. Aap video ko WMV format me convert kar upload karo ya HD video upload karo.
sk verma
Sir bahut bahut dhanyvaad.
arif khan
Sir main video upload kar raha hun mera video upload nahi ho raha hai
Jumedeen Khan
Kya error aata hai.
jalaj pandey
1- Bhai plz btao koi free video editing software jise use krne pr watermark video pr Na aaye
2- mujhe video monetize kitne viewers pr kru
mtlb 1 video pr 2000 h or dusre m kam h to ho jayega kya..??
Jumedeen Khan
1. Abhi jo tumhe post btayi thi usme se hitFilim software use karo watermark anhi hai.
2. Sabhi video par 200 hone par kar sakte ho. Yes ho jayega.
jalaj pandey
Bhai mujhe ek best free video editor k bare m btao.
jisse m apni YouTube video ko edit kr saku.
or Bhai mujhe ye btao ki meri website m kya kami h.
plzzzzzzzzzzz
Jumedeen Khan
Ye post padho http://filmora.wondershare.com/video-editor/free-video-editing-software-windows.html
Vinod
Sir mera video complete ho chuka hai or ab muje isee upload krna hai.
to muze aap puri jankari full detail me btaye…jse ad kese lgani hai,thumbnails or bhi bhut..
thanks
Jumedeen Khan
Is sabke bare me main post likh chuka hu aap wo post padhe search box me apna sawal search kare post mil jayegi.