Hy friends aaj hum bat karenge YouTub ke bare me ki YouTub se paise kaise kamaye jate hai video upload kar ke. Agar aap bhi internet par yahi search kar rahe ho ki YouTube se paise kaise kamaye to ye post aapke bahut kam ki hai. Is post ko pura read karne ke bad aaj aapki searching puri ho jayegi. Actually YouTub ke bare me aaj har koi kuch na kuch janta hi hai par unme se bahut se new users ko ye pata nahi rahata ki YouTub se hum paise bhi kama sakte hai aap bhi new users hai to ye post jarur read kijiye kyuki is post me aaj hum yahi janenge ki YouTube se paise kaise kamate hai video upload kar ke.
YouTube se karodo log ghar baithe aasani se lakho rupye kama rahe hai agar aap ye sochte hai ki aesa nahi ho sakta to aap bilkul galat hai kyoki aap bhi aesa kar sakte hai. Uske liye aapko youtub ke kuch rules follow karne honge jinhe follow kar ke aap bhi youtube par apna channel bana kar video upload kar ke paise kama sakte ho. Agar aap apna channel banana chahate hai or paise kamana chahate hai to aap padhte rahiye ye post or janiye youtube se paise kamane ke tarike.
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
- Youtube Ke Top 5 Important Features Jo Har User Ke Liye Useful Hai
YouTube duniya ki sabse badi video website hai jis par roj karodo log video dekhte hai hajaro logo ne YouTube channel banaya hua hai. Sayad aapne bhi apna channel bana rakkha hoga or us par video bhi upload kiye honge or agar aapne abhi tak channel nahi banaya hai to koi bat nahi kyoki aaj main is post me aapko yahi bata raha hu.
Table of Contents
YouTube Se Paise Kaise Kamaye 2024
Agar aapne pahle se hi apna YouTube channel banaya hua hai to shayad ye post aapko pasand na aaye lekin ek bar puri post jarur read kijiye. To chaliye start karte hai ki YouTube channel kaise banate hai.
YouTube channel banane ke liye aapko apni gmail id ki jarurat hogi agar aapne apna gmail account nahi banaya hai to pahle ye post read kar apna gmail account bana lijiye Gmail Account Kaise uske bad aap apna channel bana sakte ho.
How to Make Your Channel on Youtube
YouTube par channel banana simple hai aap is post ke step follow kar 2 minute me apna channel create kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle apne browser me YouTube.com type kar YouTube website par jaye. YouTube Open hone ke bad Right Side upar People icon par click kare.
People icon par click karne ke bad ek dabba open hoga jaise humne screenshot me bataya hai. Isme setting ke option par click kijiye.
- Profile picture par click kare.
- Settings par click kare.
Step 2:
Ab jo page open ho usme See all my channels or create a new channel par click kare.
- See all my channels or create a new channel option par click kare.
Step 3:
Ab Create a new channel par click kijiye.
Step 4:
Create A New Channel par click karne ke bad ek new page open hoga usme google aapse new channel banane ke liye kahega yaha aapko jis name se apna channel banana hai wo name fill kare or create option par click kare
- Channel ka name dale
- Uske bad Create ke button par click kare.
Step 5:
Create par click karte hi YouTube par aapka channel ban jayega. Ab google aapko channel verify karne ke liye mobile number mangenga.
- Apna mobile number add kare.
- Verification method choose kare, aap OTP code text message ya call se pana chahate hai.
- Continue par click kare.
Step 6:
Ab jo page khulega usme aapko verify code add karna hai.Aapke phone number par ek code aayega wohi code yaha add karna hai. Code add karke channel verify kar le.
- OTP password add kare.
- Continue par click kare.
Step 7:
Ab aap apne banaye channel ke homepage par pahuch jaoge, jiska look kuch is tarah ka hoga. Ab bas aapko apne channel par video upload karna hai jiski jankari niche de raha hu.
Add channel art par click kar ke aap apne channel par koi bhi image photo add kar sate hai aap ye bad me bhi kar sakte ho. To is tarah aap bhi YouTube par apna channel bana sakte ho.
Ab YouTube par aapka channel to ban gaya hai par ab aapko ye janna hai ki YouTube par video upload kaise karte hai to aaiye jante hai ki YouTube par video upload kaise karte hai.
How to Upload Video to Youtube
Step 1:
Video Upload karne ke liye Right Side me upar Upload icon par click kare.
- Top right me Upload icon par click kare.
Uske bad aapke samne ek aesi popup window open hogi yaha se aap apni video ko channel par aasani se upload kar sakte ho.
- Select files to upload: Yaha par click kar aap apne computer se apni video ko select kar ke ya fir mouse se utha kar yaha patak sakte ho. Jaise hi aap apni video select karoge to video upload honi start ho jayega.
- Import:Agar aapki video google photos me hai to aap apni video ko yaha par click kar direct upload kar sakte ho.
- Get Started: Get started ke option par click kar ke aap apne cemera se video bana kar upload kar sakte ho.
- Aap chahe to mouse cursor se apne PC se video ko utha kar yaha move kar sakte hai.
Generally, aap Select files to upload ka option choose kar sakte hai. Ab jaise hi aap vaha click karoge or computer se apni video select karoge to uske turant bad aapki video upload honi shuru ho jayegi jise aap niche page me dekh sakte ho.
Yaha par aap apni video upload hoti huye dekh sakte hai yaha se aap apni video ke bare me likh sakte ho ki aapki video kis tarah ki hai or usme kya hai.
- Yaha se aap ye dekh sakte hgai ki aapki video kitne parsent upload ho chuki is page me 4% upload ho chuki hai.
- Is option me aap apni video ka name fill kar sakte hai.
- Is option me aapko apni video ke bare me 150 words me likhna hai ki aapki ye video kis bare me hai or is video me kya hai.
- Yaha par se aap apni video se related tag add kar sakte ho.
- Public option me jakar aapko ye set karna hai aapki video ko koun koun dekh sakta hai koun nahi dekh sakta agar aapne ye video sabhi ke liye banai hai public hi rahane dijiye.
- Agar aap apni video ke sath koi massage chodna chahate hai to yaha wo massage add kar sakte ho.
- Is option me aap apni video ko playlist me add kar sakte ho.
- Video upload hone ke bad apni video ke liye niche 3 Thumbnail me se ek ko chun sakte ho.
- Apni video ki complete jankari fill karne ke bad publish ke button par click kar dijiye.
- Yaha video manager ke option par click kar ke aap ye dekh sakte hai ki aapki video aapke channel par hai ya nahi hai.
- Agar aap abhi ek or video upload karna chahate hai to add more videos ke option par click kar ke aesa kar sakte ho.
Video uploading ki adhik jankari ke lyie ye post padhe, YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari.
Jaise hi aap publish ke button par click karoge to video aapke channel par aa jayegai. To friends is tarah aap bhi apne channel par video bana kar use upload bhi kar sakte ho badi aasani se agar fir bhi aapko kuch samajh nahi aaya hai comment me bataye.
To friends ab aapne YouTube channel banana bhi sikh liya hai or us par video upload kaise karte hai ye bhi jan liya hai par aapko ek bat or janni hai ki YouTube par ham jo video upload karte hai unse hamari income kaise hoti hai aaiye jante hai.
How to Earn Money from Uploaded Videos on Youtube?
YouTue videos se earning karne ke liye aapko apna youtube channel monetize karna hoga. Videos ko mnetize karne ke bad aapki video par adsense ads show honge, Inhi advertisement se aapki income hongi.
Youtube channel ko monetize karne ke liye ye post padhe,
Ab aapko ye to pata chal gaya ki kamai kisse hogi but ab sawal ye hai ki hamari income kaise hogi. Actually aapki income YouTube par video se 2 tarah se income hogi.
- Jab koi user aapki video par show ho rahe ads par click karta hai.
- Ya fir aapki kamai jab hogi jab aap apni video par kisi affiliate product ka promote karte ho.
YouTube se paise kamane ki jankari ke bare me main already kai articles likh chuka hu jinme se 2 ke link yaha de raha hu, Aapko inme youtube video se paise kamane ki a to z guide mil jayegi.
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
- YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike – Top 10 Ways
To friends is tarah aap youtube par video upload karke income kar sakte ho or agar fir bhi aapko Youtube se paise kamane me koi problem ho rahi hai to aap comment me bata sakte hai.
Agar aapka youtube me interest nahi hai or aap youtube se paise kamana nahi chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi is post me free website blog banane ki details se jankari di gayi hai aap apna blog bana kar usse paise kama sakte ho adhik jankari ke liye comment kare.
I hope aapko YouTube se paise kaise kamaye video upload karne ki jankari achhi lagi hogi agar ha to social media par apne friends ke sath share jarur kare
Ramniwas Kirdoliya
Bahut sunder jankari share kiya sir
BAKHTIYAR KHAN
sir me dusro ki comedy copy karke edit karke daal rha hu meri video pe views nahi aa rahe he kya karu me
Zahra
Thanks Sir
Ahmed Kamal
Very helpful article
Adnan Khan
Sir main ne to Suna Hy k pesy wives pe milti Hy Kia ye such Hy???
About 10000 wives pory krny hongy ?
Apna address kesy dekhangy YouTube channel main??
Jumedeen
Wrong, paise ad click se milte hai views se nahi.
Sapana saini
Sir inhi tariko se youtube par paise kamate h?
Thanks sir
Deepak
Happy new year sir ! Ham sabhi visitors ki or se apko new year 2018 ki dher sari shubhkamnaye!
Deepak
Q1-Sir agar Maine kisi topic par Hindi language me koi video upload Kiya fir usi topic par English language me alag- channel Bana Kar video upload Kiya to kya English language wala video copyright ho jayega kya? Please samjhaiye!
Jumedeen Khan
Nahi hoga bas video same nahi hona chahiye.
Deepak
Sir mera comment yaha show nahi kar Raha hai isliye dubara puchha Raha Hun kripya jawab senw ki kripa kare sir! Q1- kya mai video recording ke liye third party camera app ka use Kar Sakta Hun kyunki external microphone support ke liye mujhe Google play store se app download karna pada hai to mai aise video upload karke YouTube me upload Kar Sakta Hun ya nahi please samjhaiye! Q2- sir mai “deepak Kumar” ke Naam se domain Lena chahta Hun kyunki website banana hai mujhe please kaise pata karu ki ye domain free hai ya nahi aur domain kaise lun samjhaiye. Q-3 ek domain se kitne website + kitne YouTube channel chala sakte hain please samjhaiye!
Jumedeen Khan
1. Yes kar sakte ho.
2. kisi bhi domain site par check karo.
3. Youtube channel banane ke liye domain ki jarurat nahi padti.
vashad
Sir kiya hum kisi film ya video ko 30 second tak ka video cut karke YouTube par upload kar sakte h copyright to nahi hoga
Jumedeen Khan
Nahi.
knojha
sir video upload karne se kaise paise milte hai useke liye account ya other karna hota hoga
Jumedeen Khan
Read this post YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Akanksha
Sir मैं status video,life quotes आदि पर blog बनाने की सोंच रही हूँ क्या इससे income हो सकती हैं मुझे
जुमेदीन खान
हां, बिल्कुल हो सकती हैं
Mahipal
Me 3 video bnaye h whatsapp status 30 sec k nam se jisme se 1 video 115k tk chala gya h but ab me apna chanal open nhi kr oa rha hu likha aata h “Your account has been permanently disabled” ab me kya kru mera chanal mahipal dabhi nam se h ap video dekh kr btaho konsi galti ki h mene.
Jumedeen khan
Aapne konsi galti hai hai uska google ne aapko mail send kar diya hoga. Mail check karo.
hany
Kia sirf like krne,subcribe krne aor video daykhne se income nhe hoti?
Jumedeen khan
Nahi.
mohammed asim
Sir jab hum you tube account se bank account ku add karenge to bank account hack ho sakta hai kya.
Jumedeen Khan
Nahi.
Bakil kumar
Sir paisa kaha ata hai aur kamane ke liye bank account me paisa at a hai kya sir sir puri jankari de sir please
help me sir
Jumedeen Khan
Puri jankari yaha hai YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Utsav
Sir maine channel pe ek vdo upload kiya song ka lekin jb sirf mai us song ka nam dalta hu to search me nhi ata lekin uske sath apne channel ka nam dalta hu to mera song search hota hai.uspe koi vew nhi kya kru sir
Jumedeen Khan
Videos ko sahi se promote karo search me aane lag jayega.
Akash hedau
sir mera ek sawal hi jese mene video upload kiya to sir usme ads kese ayenge help me sir
Jumedeen Khan
Video ko monetize karna hoga. Aap humari youtube wali post padho sab sikh jaoge.
rohit
Sir jaise mera bank account hai but mujhe ye samjh nahi aaya ki jab mai video upload karunga
To mere account pe paisa kaise aayega kyoki aapne Jo account create karna sikhaya hai uspe kahi bhi account no to manga hi nahi….
Jumedeen Khan
Paise aapko youtube nahi google dega jo aapki video par ads show karke earning karega or uska 70% aapko milega. Aapko bank account adsense me add karna hai. Aap humari adsense wali post padho sabki jankari mil jayegi.
shan
asalamailekum bhai
mere current address or bank ka address different h mujhe payment address kya dena chahiye???
Jumedeen Khan
Dono address same hone chahiye.
harish
Upload karne k baad paise kisme jayenge
Jumedeen Khan
Paise direct aapke account me aayenge. Ye check kare Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
PrimaDerm Cream
Excellent information once again. I am looking forward for more updates:)
RAMESH
Sir main ek news channel banana chahta hu, Jo news TV par aati hai usko mein apne andaz se apni voice se bol kar us video ki jagah image dalkr agar upload karu to copyright to nahi hoga.
Jumedeen Khan
No problem.
sunil Kumar
Sir mujhe iska pata kese lagega ki mujhe Kitna paisa aaya h and Mai uss paise ka use kese karunga.
Jumedeen khan
Aap apne bank account me payment le sakte hai. check this post.
Youtube Account Ki Kamai Earning Report Kaise Check Kare
Zuhaib
Bhai jo aapne income ke do tareeke batae hai ek jo add per click kerne vala or dusra product promotion vala ye dusra tareeka mai kaise use ker sakta hu product promote vala
Jumedeen Khan
Dsura tarika tab use kar sakoge jab aapke channel par bahut jyada traffic ho kyuki abhi koi bhi company aapko apne products ka promotion karne ke liye razi nahi hogi.
shubham verma
sir mera youtube channel log in nahi ho rha hai kya karu
jab mai apne youtube per log in karta hu to “unable to access” likh kar aata hai
help me !!
Jumedeen Khan
browser caches and cookies delete kar try karo ho jayega.
aqin
sir direct google adsense pe aply kar do? video upload kar k ya phr kuch views kar k then apply karo ??
Jumedeen Khan
Direct karoge to approve hone me problem hogi kuch views hone ke bad karoge to easily approve ho jayega.
Pawan Kumar
Sir Main Ab Tk 22 Videos Mere Youtube Chnle Pr Dal Chuka Hu
Meri Income Kb Hogi
Total View 2685 Ho Chuke H
AdSense Se Bhi M Jur Chuka Hu
Videos K Samne Dolor Ke Nishan Bhi Aa Rhe h
Lekin Abhi Tk Income Ni Ho Rhi
Jumedeen Khan
Browser abh iviews or badha jab aapke users ad par click karenge to earning hogi.
Hasan ali khan
Bhai me apne channel me apni website kaise add karu kyoki jab bhi mai AdSense ke option me jata hoon to Adsense me website ke option se aage hi nahi ja pata hoon
Jumedeen Khan
ye aapka browser issue hai kisi or browser me try karo.
sanjit
kya ham WordPresse ke trah google blog ko nahi sja sakte hai
Jumedeen Khan
Bilkul but aapko coding aani chahiye.
sanjit
mere chenal ko YouTube se temprolye saspent kar diya gya hai recovar kaise kare
Jumedeen Khan
Youtube team ko report send karo ho sakta hai channel renable kar de.
sanjit
sair kya ham blogar se comement box hta sakte hai
Jumedeen Khan
Yes
adil
Sir kiya youtube ko mai mobile se use krke earn kr skta hu aur hljo step aap ne btae hai kiya ho mobile se youtube channal bn skta hai.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho same computer ke jaisi process hai video banao or upload karo.
sanjit
mere frinde ka YouTube chenal mere adseane se juda hai,…..frinde ka chenal copyrite ya or koi wajh se band hoga, ……… to mere account me koi problm nahi n hoga
Jumedeen Khan
Aapke channe lar nahi but AdSense account par bad effect pad sakta hai.
shaan tanha
Sir jb him video upload krty hei to hum ko 2 option milty hei video publish key ya private ap batay kye use kry
Jumedeen Khan
Publish option par click karo taki apaki video public tak pahuch sake or sabhi dekh sake.
Jaypal singh
Adsense account kese banate he hepl me
Jumedeen Khan
Check this post Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
niroj
Sir maine vi youtube channel banaya hu lekin mere koi bank account nahi hai me erning money k lia mere paisa kaha jamma hoga? U pais jamma karneke liya kya honi chahiya
Jumedeen Khan
Aapko account khulwana padega.
sanjit
YouTube chenal ko monitaze karte time hamse hamra cuntry puchha jata hai agar ham india ke jgah usa dalgne to kya hmari kamai usa ke hisab se hogi
Jumedeen Khan
Tab aapka AdSense approved hi nahi hoga.
sanjit
mere video pe 126,877 views mila hai fir v $0.76 hi hai.
Jumedeen Khan
Video ki description me apane ek bhi words nahi likha CPC kaha se milegi.
sanjit
mere video pe 107000 view mile hai fir bhi $0.73 hi hai video monitaze v hai
Jumedeen Khan
Iski wajah main aapka video dekh kar hi bta sakta hu.
Sukhsagar
Sir mera name sukhsagar hai mai poochhna chahta hoon ki mai kise tarah ke video upload karun ke mujhe zyada se zyada views mile.
Thankyou sir
Jumedeen Khan
Kisi bhi matter par karo aapko kitne views milenge wo aapka talent btayega. Wese abhi smartphone ke bare me bani videos ko log jayda dekhte hai.
Imran
Sir one click pr kitne pese milte h
Jumedeen Khan
Ye aapki CPC par depend karega. Aapko $0.10 to $5 per click mil sakte hai.
sanjit
two Google account ko ek adseane me jod sakte hai
ha to kaise.
Jumedeen Khan
Jab hum YouTube channel ko AdSense se connect karte hai to wo humse puchta hai ki hume isi gmail id se AdSense par jana hai ya kisi or se aap another email id par click karke apne AdSense wali id se log in kar sakte ho.
sanjit
adseane me nam kaise cheng kare
Jumedeen Khan
Check this post Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
sanjit
adseane me mera umar 18 se jayda hai
or bank me 16 hai
to koi dikat nahi n hoga
Jumedeen Khan
Yes bank me aapki age 18 year honi chahiye. But aapke pas bank account hai to aap bana sakte ho.
sanjit shah
mera adsean me nam sanjit shah hai
or bank me sanjit kumar shah to koi problm nahi n hoga
Jumedeen Khan
Blikul hogi aap AdSense me apna bank wala name add karo.
hanuman
sir mere ko blog banne ke liye address nahi mil raha h.
so please koi address batai sir.
Jumedeen Khan
Ye post check karo Website or Blog Kaise Banaye Online Paisa Kamane Ke Liye
Jalin
Sir mene YouTube par log in kya tha par bank a c kese dalte hai kuch samaj nahi paye please sir mujhe bank ac kese dalte hai batayi ye
Jumedeen Khan
Iske liye ye post padho Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
sangram ghule
agar hamne YouTube par video monetize kiye aur add show hone lagi par kisine uspe click nhi kiya to kya YouTube hame paise dega
Jumedeen Khan
Nahi.
sangram ghule
matlab YouTube ke add impression ke paise nhi milte kya sirf click karne par hi milte hain
Jumedeen Khan
kitni bar btau ki sirf ad click ke paise milte hai.
Pankaj sahu
Sir me bhi online paisa kamana chahta hu my dream h
Jumedeen Khan
mari make money wali post padho.
Tarun Dagar
Mujha Kuch Khas Samjh Ma Nahi Aya Aap Pic Ka Saath Guide Kar Sakta Ho
Jumedeen Khan
check this post YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Rajeev
monetize account kese banta he plz photo send
Kitne view karne he
Jumedeen Khan
ye post padho Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
vikejl
hi mera naam Vikejl hai aur mera sawal hai ki ye AdSense account kya hai? aur monitize kya hai?
Jumedeen Khan
read our AdSense related articles.
Akshay
Kya ham YouTube ke paise paytm yaa freecharge me nhy daal sakte aur agar daal sakte h to please btaye me kamaye hue paise freecharge yaa paytm m kaise daalu kiu ki muje ghar baide prepaid aur internet recharge kernaa h.
Jumedeen Khan
Nahi YouTube earning google aapke bank account me send karta hai.
altaf hussain
sir video uplode karke kitni inncome huyi ye kese pata kare thank you
Jumedeen Khan
ye post check karo Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare
piyush saini
nice article dear can you tell me please how to upload videos which are under 3 party licence. please reply thanks in advance
Jumedeen Khan
Aap video setting me ja kar licence proof option me licence ID dal sakte ho.
shivam
bhai mene YouTube pr vedio uplod bhi kr di monotize bhi kr di mgr merko ye smj m nhi aya ki mujhe pese kese milenge
Jumedeen Khan
Adsense direct aapke bank account me paise send karnega. Ye post padho Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Raj
Hello sir my name is raj and I have a question mene YouTube par account bana Liya h and videos bhi upload Kar Di h or us par 25 thousands views bhi ho chuke h OK and ab paise kaise or kab milege
Jumedeen Khan
Ye post padho Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
babar ansari
sir mera email adress mere name pe hai or mera bank acc name mere papa ki name pe hai to ko problem to nahi hoge na sir
Jumedeen khan
Aap usi ke name se AdSense account banao jiske name se bank account hai.
ainain
JumE deen khan ,
Mera name md ainain khan hai AdSense kayse approve kare 5din hogaye hai mere plog ko
Jumedeen khan
Ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
Rohit
Kya main samsung j7 smart phone se AdSense aur monitize kar sakta hoon
Jumedeen khan
Kyu nahi kar sakte ho. PC or mobile dono ki same process hai.
Sulman Javed
Mere bank ka title name mere ID CARD k sath nhi milta
Email id ka name ID Card k sath milta hai main AdSense k sath YouTube channel ko jorne k liay kyua krun
Jumedeen khan
Aap ID card me name change karwa sakte ho, iske bare me aap email mitra ki shop par bat karo.
Sulman Javed
Ap muje ye btao k kin cheezon ka match hona lazmi hai
Gmail ID Name
iID Card
Bank Title Name
Example k through samjao
Jumedeen khan
Sirf AdSense account ki detail aapke ban kaccount se match honi chahiye.
Sulman Javed
Youtube channel google AdSense se jorna chahta hun
kya ye mobile k through kia ja skta hai
agar han to kis app par
Jumedeen khan
Ha akr sakte ho. mobile ke chrome browser me YouTube ko open karo or is post ke btaye step follow karo.
Jin Kazama
Mobile pr video manager ka option nhi a rha sab kr lia
apka phone/whatsapp kya hai
Jumedeen Khan
Ye link open karo YouTube.com/my_videos
raju sriwastwa
YouTube kya 100$ hone se pahle payment nahi karta
Jumedeen Khan
Adsense YouTube or site dono par $100 hone par payment karta hai. Ye iski minimum payout hai.
Rakesh Bera
Sir main v apna ek blogging account bnana chahta hu aur AdSense she paisa kamana chahta hu…toh mujhe plz account kholne k liye link dijiye
Jumedeen Khan
Ye link open karo. apni website kaise banaye
Ansari tanveer
AdSense account kaisee banaa naa hai aur minimum kitne viewer per paise milte hai??
Jumedeen Khan
Jab aapke videos par 2000 se jyada views ho jaye tab banana ye post follow karke Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
kailash
youtub me video upload nhi hota sir chenal ka add kaise kre usme
Jumedeen Khan
Ye post padho YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari
Ajinkya
Hello sir maine YouTube par videos upload kar diya he use views bhi mile par AdSense account me total earnings, clicks, kuch bhi nahi dikhraha waha pe aisa likha aa raha he “YouTube earnings will be added to your AdSense payments page before the 15th of the month and included in your payment if your total earnings exceed the payment threshold. Estimated earnings will not be updated to include your YouTube earnings.” iaka matlab kya hota he sir please batayiye.
Jumedeen Khan
Adsense me YouTube earning mahine me ek bar add hoti hai aap 21 ya 1 tarikh ke bad AdSense me YouTube earning dekh sakoge.
ravi
bhai mai addsence par kaise account batao. ye kya h iska kaha se options aayega.
Jumedeen Khan
Ye post padho Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
shashi yadav
Help me bro! Jab mai YouTube me jakar apne computer se video upload karta hu to [ We have encountered unexpected problems. Please follow these steps and try uploading the file again] likha hua aata hai. Jiske karn video upload nhi hota. mujhe kya karna chahiye.
Jumedeen Khan
Ye temprarly error hai. Aap browser ki history dlelete karke ahi se step follow karke vidoe upload karo.
waseem
Sir kiya Pakistan se bhi paise kamaye ja saktay hain
Jumedeen Khan
Ha bilkul kama sakte ho aap kahi par bhi rah kar kama sakte ho.
Nakul das
Kya mai AdSense ke jariye YouTube or blog dono se ek sath paisa kama sakta hun
Jumedeen Khan
ha dono ko ek hi AdSense account se jod sakte ho.
pankaj
m you tube per acc kase bnau or muje jayada pasa kmana h
Jumedeen Khan
Nahi. agar aap apne blog ka kuch content hide karna chahate ho to use kar sakte ho.
kamal pal
ha sir video mai ne upload too kar diye par ye monitize and AdSense account key se kare .thoda details mai mujhe aap baataye please .nai too mai kaamane nai paunga.aur him es mai bahut interest bhi hai.please aap reply dena thank you.
Jumedeen Khan
Ye post follow karo Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Reginald
What’s up, I want to subscribe for this weblog to obtain newest updates,
so where can i ddo it please help out.
Anand
Bhai ye batao ki agar apna video ko hi bar2 dekh kr view badhaya ja sakta h kya koi upay batai?
Jumedeen Khan
Nahi aap apna video khud dekhoge to AdSense aapko ban kar dega. Aap supportmeindia ki AdSense se related post padho.
SAEED SAIYAD
Jumme deen bhai mera sawal ye he ke mene apne blog ke releted ek video banai he use YouTube par upload karu to adsens connect karu .
Abhi mene apne blog ke liye adses applay nahi kiya .
Jumedeen Khan
Pahle aap YouTube par or video upload karo or jab aapke sabhi video par 3000 se jyada views ho jaye to AdSense ke liye apply karna.
pradeep
Bhai sirf view se paise milte hain ya like aur subscribe se bhi
Kitne like par kitne paise milte hain
Jumedeen Khan
na view se paise milte hai or na subscribe se. Paise aapko ads par click milne se milenge.
Rajesh Sharma
Hello Jumedeen khan,
maine apne YouTube chane par ek video upload kiya h us par 1400 veiw h or ab YouTube use copyright bta rha kya kre.
mere pas AdSense ka hosted acount h usse YouTube chanle ko jodne par koi probllem to nhi hongi.
help me bro.
Jumedeen Khan
opyright video ko delete kar do. Isme hi fayda hai warna aap kabhi bhi AdSense use nahi kar paoge.
RAVINDRA SINGH
hi bhai mera blogger AdSense se jode diya hai per code laga bhi diya hai jo AdSense se mila hai aapki post read karke but mere blogger per AdSense ki ads show nhi ho rehi
Jumedeen Khan
ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
RAVINDRA SINGH
hi bhai ji kya haal hai , ek baat mujhe YouTube per mera Playback-based CPM* $ 200 total hai , to mujhe kya milga isma matlab samjhe nhi aa reha bhi plzz betao
Jumedeen Khan
Iska jawab mai aapki pichli comment ke reply me de chuka hu.
RAVINDRA SINGH
hi bhai agar 1000 bar video dekhi gayi 30 jayda sec. per iski income keha show hogi mera yeh sewal tha bhi aur 1000 baar dekhane per paise keha se milgga AdSense se ya YouTube se show keha hoga
Jumedeen Khan
income YouTube.com/analytics par show hogi or paise aapko AdSense dega. kaise dega uske ke liye yaha click kare.
Pradeep chauhan
HUm AdSense account kaise banaye uska procedure batao plz uske baad usse kaise YouTube account se jode
Jumedeen Khan
Ye post padho Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
RAVINDRA SINGH
hi bhai ji ek problam hai jo samjh nhi aa rehi meri YOUTUBE Playback-based CPM* BEHOT hai mtlab paise to dikha rehi per AdSense me to behot kaam dikha rehi hai kyo yeh paise hamko milta hai aur kaise milga aur yeh kya hai
2. aur meri YouTube channal total video 36000 bar open hoye hai aur uska paisa nhi dikhaya kyo sirf $0.89 paise hi dikha rehi hai plzz puri help karo
Jumedeen Khan
1. Nahi cpm ka matlab hota hai ki aapko hazar views par kitne paise mile hai. ye paise hume nahi milte. aapko sirf current earning wale paise milte hai.
2. video se paise kamane ke liye video 3 to 10 minute ka hona jaruri hai. Isse kam time ke video se income na ke barbar hoti hai. kyuki un par perfect ads show nahi ho pate. dusri bat income tabhi hogi jab koi aapki video ko 30 second se jyada timetk dekhega.
Rohit
Hlo sir Mae YouTube Vala Kam skta just ku ki Mae ek photo graphic Hu Mae sadi vivah me photo aur video ka Kam krta hu to ap hme iski puri Jankari de isko started krne ke lea sbse phle kya krna h plz help me
Jumedeen Khan
Rohit is bare me aap supportmeindia ki YouTube wali post padho
Pradeep
If i upload songs of bollywood tollywood to my channel. Kya me paise kama sakta hun.
Jumedeen Khan
Nahi nahi kama sakte. aap kisi or ki video upload nahi kar sakte.
Ahmed
hello bhaiya
mai. iske bare. mai. pora jaan na chata hoon oske baad account bana. plsss. help karo na
pahlay sahi sai sub mlm keeke hi ismai. jana. charo.
take baad mai koi. parayshani. nahoo. to pls help mi bro…
Jumedeen Khan
ye post padho YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
vikram
Sir you tube per AdSense se jodne se pehle kitne video hone caiye kitne view hone jruri hai aur kitne subskriab hone caiye
Jumedeen Khan
5 video se jyada or kam se kam 300 views hone chahiye.
bhagirath rajput
Or bhai mere videos pe abhi 4-5 view hai maine AdSense ke liye apply bhi kar diya hai.
Toh kya isse kuch prblm aayegi AdSense account approved hone me ..?
Kya Mujhe apni video ke view badane chahiye the ?iske baad AdSense ke liye apply karna tha
Jumedeen Khan
Yes aapka AdSense account approve nahi bhi ho sakta hai. ha aapko pahle apne videos par views badhane the.
bhagirath rajput
भाई मैं अभी भी व्यू बड़ा सकता हु ।मैं य कर सकता हु अपने 100 – 200 अभी कर सकता हु । लेकिन ये व्यू मेरी इनकम में जुड़ेंगे या नहीं ? और मेरे इन व्यू से एडसेंस अकाउंट को एप्रूव्ड होने में हेल्प मिलेगी ?
bhagirath rajput
Or bhai mere ads show nahi bhi ho rahe lekin agar mere 1000 view hote hai toh mujhe 1000 view ke 1$ toh melenge hi na..
Or mai ab 1 min se jada ki video upload karta hu toh ads show honge ya nahi .. maine monetize toh kiya hi hai
Jumedeen Khan
1. nahi jab ads show nahi honge top pincome nahi hogi.
2. honge. bas aap copyright video upload mat karna.
bhagirath rajput
Bhai maine monotize bhi kar diya hai or AdSense ke apply bhi kar diya hai .. abhi AdSense account approved nahi hua hai..
Toh mujhe ye batao ki AdSense account approved hone k baad video pe ads show honge ya abhi AdSense approved hone se pehle ?kyonki abhi toh meri video pe ads show nahi ho rahe hai..
Or meri jo video hai wo 1 bhi 1 min ki nahi hai sab 1 min se kam ki hi hai..toh meri video pe ads show honge ya nahi..
Plzz batao bhai
Jumedeen Khan
Video monetize karne se hi ads show hone lag jate hai. video kam se kam 3 minute ki honi chahiye. 1 minute ki par ads show nahi honge.
jitendr
Sir mobile par blogger mai ke niche code pest karna hai par head nahi nahi mil rha.please help me
Jumedeen Khan
head code blogger template me upar se 4-5 vi lines ke bad hota hai. ache se check karo.
satish kumar
me apana you tube pe website banana chahata hu aur uspe video dalana chahta hu jisase ki koi mera video dekhe to mere accuont me pese bane kaya aap mujhe batange.
Jumedeen Khan
Youtube par website nahi channel banaya jata hai. aap YouTube.com par ja kar apni gmail id se log in karo channel ban jayega. ye post padho Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
naman
Informative article, totally what I wanted to
find.
Amit kumar singh
Bhai agar mai dusre site se kisi video ko download karke YouTube par upload karu to kya mujhe profit milega
* agar wo video YouTube par pehle se nahi ho
* aur wo video kuch der bad YouTube par upload ho jaye to kya mujhe profit milega
* (bhai mera ye kehna hai ki agar mai koi serial video channel walo se pehle YouTube pe upload kar du to mujhe profit hoga ki nahi)
please full help about this
Jumedeen Khan
Nahi, aap kisi or ka video upload nahi kar sakte, man leta hu aap kisi or ka video upload kar lete ho. but jaise hi unko aapki harkat ka pata chalega to wo aapke khilap report kar denge or aapka channel hi band ho jayega.
umair
asalam e walaikum bhai YouTube per video monetize kese hogi or AdSense account kese bane ga or wo tube account se kese connect hoga or pakistan me payment kese mile gi plz zara batay ge
Jumedeen Khan
YouTube channel ko monetize karne or AdSense se jodne ke liye aap Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode post padho.
india pakistan me same processing hai. ye post padho Google Adsense Payment Kaise Karta Hai
Selija
Good info. Lucky me I ran across your blog by accident
(stumbleupon). I’ve book marked it for later!
antoni
Hi! This is my first comment here so I just wanted
to give a quick shout out and tell you I genuinely enjoy reading through
your posts.
Pankaj Kumar
Bhai waise main apna website banana chaahta hoon iskeliye pahle sampurn jaankaari prapt kar raha hoon.
Bhai jaise mujhe jin chijo main ruchi hai uske baare main main khud bhi mujhe jaankaari hai bandhiya bandhiya usse sambandhit kitaab padhkar bhi aur net par ussse sambandhit web sites par bhi padkar jaankaarion par underline kiya hai unsab ko main apne website me ekpost main likhna chaahta hoon kya ye thik hai.
Aur yah ki main jin chijo main mujhe suspense hai un chijo ke baare main main website par jaankari padhkar apne post main likha sakta hoon ya nahi
Jumedeen Khan
Aap ki bat mujhe bahut achi lagi ki aap website banane se pahle use ache se samajhna chahate ho. yahi to mai logo ko sikhta hu. but har koi jaldi me hota hai. aap bilkul sahi raste par ja rahe ho. ha kyo nahi padh likh kar hi aadmi bada banta hai. books padho ya internet par jab aap site banao to aapka talent sabse alag hona chahiye.
Pankaj Kumar
You tube par pause kaise milta hai apne likha hai ki yadi koi aapke ads par click karega to aapko income hogi.
Aur yadi nahi bhi karega to aapko 1000 views par 1 dollar milega yaha par 1000 views ka kya MATLAB hai.
Aur dusra yah ki man leta hun ki koi YouTube ka video dekh na chaahta hai to pata kaise lagega ki ads kaha par hai taaki waha click koi kare.
Aur tisara yah ki him kewal video banaayi huwi him upload kar sakte hai ya koi bhi anya website se video download karke bhi upload kar sakte hai ya nahi.
Please batayiye.
Jumedeen Khan
1. maine post me btaya hai ki agar aapki videos ko 30 second se jyada time tak dekhne par 1000 views ke lagbhag $1 to $5 dollar milenge. iska matlab hai ki agar koi aapki vidoe dekhega to 30 second me ads show honge or bahut se ads auplay hote hai. jin par bina click kiye sirf dekhne se income hoti hai.
2. ek ads video me show hota hai or dusa video ke right side me sabse upar show hota hai.
3. aap sirf apni banayi video hi upload kar sakte kisi or ki karoge to aapka AdSense account block ho jayega.
subhash
hello apna banck accunt kese jodana hoga ditels pliz.
Jumedeen Khan
ye post pado Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
tozier
Hi, just wanted to tell you, I loved this post. It was inspiring.
Keep on posting!
amit
Thanks bro. Kya koi free msi webdite banane ka tarika .agar ho to please jaroor batana.
Jumedeen Khan
aap blogger par free website bana sakte ho. Website (Blog) Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye
illegal
Excellent blog here! Also your website loads up very fast!
What host are you using? Can I get your affiliate link to your host?
I wish my site loaded up as fast as yours.
ACUNA
I am really impressed with your writing skills as well as with the layout on your blog.
Is this a paid theme or did you customize it yourself?
Anyway keep up the nice quality writing, it’s rare to see a great blog like this
one these days.
shiv
sir monetize kya hota hey…..
Jumedeen Khan
monetize ka matlab hota hai kisi cheez se paise kamana.
lavern
Hi, I do think this is a great site. I stumbledupon it 😉 I will come back once again since I book marrked it.
Money and freedom is the greatest way to change, may you be rich and continue
to help others.
shawna
Very great post. I just stumbled upon your blog and wanted to say that
I’ve truly enjoyed browsing your blog posts.
In any case I’ll be subscribing to your rss feed and I am hoping
you write once more soon!
Oliva
This is very interesting, You’re a very skilled blogger.
I have joined your rss feed and look forward to
seeking more of your magnificent post. Also, I have shared your site in my social networks!
nitin kumar
How to make adsance account?
Jumedeen khan
ye post pado Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
franzis
Greetings!Very helpful advice in thus particular article!
It is thee little changes that produce thhe largest changes.
Thanks for sharing!
Oren
It is perfect time to make some plans for the future and it’s time to be
happy. I havce read this post and if I could I desire to
suggest you few interesting things or advice.
Maybe you can write next articles referring to this
article. I wish to read more things about it!
Christian
What’s Goingg down i am new too this, I stumbled upon this I’ve found It absolutely useful
and it has aided me out loads. I hope to contribute & heslp other users like its aided me.
Good job.
Jumedeen Khan
You can apply for contributer click here
Bijendra
Hello sif bahut dono bad aaya hu bafis mujhe pata he aap mujhe bhoole nhi honge
1-Sir me apne YouTube channel ki treffic kese badhau abhi jyda views nhi aate hein din me 4-5 aa pate hein
Or sir mere parents bhi mujhpe gussa hote hein me ye kya kam kar rha jisme mere kamai ke rupe kharch ho jate mene unhe samjhane ki kokis ki magar bo kya samjhe gein unhe to internat ke bare me kuch bhi pata nhi
he sir aap mijhe esa tarika btaye jisse me 2017tak 500 subscribe kar lu agar 2017 tak 500 subscribers nhi hue to mujhe mazburan channel chodna padega kyonki mujhse choti do bhehne bhi he unki shadi ke liye paisa v to jodna padega na
2- bro me esa bil kul nhi bol hu ki me channel chod du
Par me apne apko ek din net se paisa kamate hue dekhna chahta hu isse me janta hu ki mere parents ko kitni khusi melegi or mera sabse bada credit sirf aopko milega
Jumedeen Khan
1. ache ache video upload karke or dusre YouTube user se contact karke.
2. agr aap mehanat karoge to 2017 tak 500 to kya 5000 subscriber bhi recieve kar sakte ho.
3. sachi mehanat ka fal fal humesha mitha hota hai. agar aap mehanat karoge to ek day aap net se paise kamane wale ban jaoge.
akhilesh tripathi
android par you tube par video upload karane se paisa kirana mila kase pasta chalega
Jumedeen Khan
YouTube.com/analytics par check karo.
Rao Afjaal
Sir ad ko ager koi close karta hai to fir bhi income hoge kiya ya nahi ya ad ko kholna jaroori .
Subcriber ka kiya labh hai
My
Jumedeen Khan
Nahi close karne se paise nahi milte open karne se milte hai. jab aapki site ko koi subscribe karega to use aapki new post ki notification milti hai jisse wo wapis aapki site par aa sake.
PRATIK
SIR MAINE AAPKI SARI POST PADHI BHOT ACHI HAI. SIR YOUTUBE ME MAINE AAPKI CHANLE DEKHI TO USME DUSRE KI UPLOAD KIYA HUA VIDEO HAI .HUM BHI AISEKAR SHAKTE HAI. AUR ISE INCOME HOTI HAI..
Jumedeen Khan
@Pratik
nahi mere channel me kisi ki bhi video nahi hai. dusre ki video se income nahi kar sakte. aapko khud video bana kar upload karni padegi.
DILIP
SUBSCRIBE BATON ADD KARNE SE KAISE INCOME AATI HE. USKE BARE ME MUJE THODASA BATAYE…
Jumedeen Khan
subscribe button add karne se aapko or jyada log follow kar sakte hai. jisse aapki video ko jyada log dekhte hai isse ads par jyada click hote hai. utni hi jyada aapki income hoti hai.
Pushpendra Singh
You tube par account kese banaye
Jumedeen Khan
YouTube par gmail id se log in karo, bas ban gaya YouTube account. gmail id banane ke liye ye post pado Google Par Gmail Account Kaise Banaye
Jumedeen Khan
I have share some way to related your question you read AdSense related article of this site if you don’t know hindi language then tell me. I can guide you in english.
LIdiya Rai
how to make AdSense account….?
Jumedeen Khan
is site ko apne dosto ke sath. Share kar ke aap meri madad kar sakte hai.
Rajat kumar
Hello brother
Mere pass ek video hai
Mai chahta hu ki mai you tube per upload kru per kaise help me.
Jumedeen Khan
ye post padh kar kar sakte ho YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari
Anupam lalwani
thanx for your advice