Youtube Par Video Upload Kar Ke Paise Kaise Kamaye 2025

Hy friends aaj hum bat karenge YouTub ke bare me ki YouTub se paise kaise kamaye jate hai video upload kar ke. Agar aap bhi internet par yahi search kar rahe ho ki YouTube se paise kaise kamaye to ye post aapke bahut kam ki hai. Is post ko pura read karne ke bad aaj aapki searching puri ho jayegi. Actually YouTub ke bare me aaj har koi kuch na kuch janta hi hai par unme se bahut se new users ko ye pata nahi rahata ki YouTub se hum paise bhi kama sakte hai aap bhi new users hai to ye post jarur read kijiye kyuki is post me aaj hum yahi janenge ki YouTube se paise kaise kamate hai video upload kar ke.

make-money-on-youtube

YouTube se karodo log ghar baithe aasani se lakho rupye kama rahe hai agar aap ye sochte hai ki aesa nahi ho sakta to aap bilkul galat hai kyoki aap bhi aesa kar sakte hai. Uske liye aapko youtub ke kuch rules follow karne honge jinhe follow kar ke aap bhi youtube par apna channel bana kar video upload kar ke paise kama sakte ho. Agar aap apna channel banana chahate hai or paise kamana chahate hai to aap padhte rahiye ye post or janiye youtube se paise kamane ke tarike.

YouTube duniya ki sabse badi video website hai jis par roj karodo log video dekhte hai hajaro logo ne YouTube channel banaya hua hai. Sayad aapne bhi apna channel bana rakkha hoga or us par video bhi upload kiye honge or agar aapne abhi tak channel nahi banaya hai to koi bat nahi kyoki aaj main is post me aapko yahi bata raha hu.

YouTube Se Paise Kaise Kamaye 2025

Agar aapne pahle se hi apna YouTube channel banaya hua hai to shayad ye post aapko pasand na aaye lekin ek bar puri post jarur read kijiye. To chaliye start karte hai ki YouTube channel kaise banate hai.

YouTube channel banane ke liye aapko apni gmail id ki jarurat hogi agar aapne apna gmail account nahi banaya hai to pahle ye post read kar apna gmail account bana lijiye Gmail Account Kaise uske bad aap apna channel bana sakte ho.

How to Make Your Channel on Youtube

YouTube par channel banana simple hai aap is post ke step follow kar 2 minute me apna channel create kar sakte ho.

Step 1:

Sabse pahle apne browser me YouTube.com type kar YouTube website par jaye. YouTube Open hone ke bad Right Side upar People icon par click kare.

People icon par click karne ke bad ek dabba open hoga jaise humne screenshot me bataya hai. Isme setting ke option par click kijiye.

  1. Profile picture par click kare.
  2. Settings par click kare.

Open youtube settings

Step 2:

Ab jo page open ho usme See all my channels or create a new channel par click kare.

  • See all my channels or create a new channel option par click kare.

See all my channels or create a new channel

Step 3:

Ab Create a new channel par click kijiye.

Create a new channel

Step 4:

Create A New Channel par click karne ke bad ek new page open hoga usme google aapse new channel banane ke liye kahega yaha aapko jis name se apna channel banana hai wo name fill kare or create option par click kare

  1. Channel ka name dale
  2. Uske bad Create ke button par click kare.

Create a Brand Account
Step 5:

Create par click karte hi YouTube par aapka channel ban jayega. Ab google aapko channel verify karne ke liye mobile number mangenga.

  1. Apna mobile number add kare.
  2. Verification method choose kare, aap OTP code text message ya call se pana chahate hai.
  3. Continue par click kare.

Verify Your Youtube channel

 Step 6:

Ab jo page khulega usme aapko verify code add karna hai.Aapke phone number par ek code aayega wohi code yaha add karna hai. Code add karke channel verify kar le.

  1. OTP password add kare.
  2. Continue par click kare.

Verify Your Youtube Account

Step 7:

Ab aap apne banaye channel ke homepage par pahuch jaoge, jiska look kuch is tarah ka hoga. Ab bas aapko apne channel par video upload karna hai jiski jankari niche de raha hu.

Your YouTube Channel is Ready

Add channel art par click kar ke aap apne channel par koi bhi image photo add kar sate hai aap ye bad me bhi kar sakte ho. To is tarah aap bhi YouTube par apna channel bana sakte ho.

Ab YouTube par aapka channel to ban gaya hai par ab aapko ye janna hai ki YouTube par video upload kaise karte hai to aaiye jante hai ki YouTube par video upload kaise karte hai.

How to Upload Video to Youtube

Step 1:

Video Upload karne ke liye Right Side me upar Upload icon par click kare.

  1. Top right me Upload icon par click kare.

Upload Video on Youtube Channel

Uske bad aapke samne ek aesi popup window open hogi yaha se aap apni video ko channel par aasani se upload kar sakte ho.

  1. Select files to upload: Yaha par click kar aap apne computer se apni video ko select kar ke ya fir mouse se utha kar yaha patak sakte ho. Jaise hi aap apni video select karoge to video upload honi start ho jayega.
  2. Import:Agar aapki video google photos me hai to aap apni video ko yaha par click kar direct upload kar sakte ho.
  3. Get Started: Get started ke option par click kar ke aap apne cemera se video bana kar upload kar sakte ho.
  4. Aap chahe to mouse cursor se apne PC se video ko utha kar yaha move kar sakte hai.

Upload Video at Youtube

Generally, aap Select files to upload ka option choose kar sakte hai. Ab jaise hi aap vaha click karoge or computer se apni video select karoge to uske turant bad aapki video upload honi shuru ho jayegi jise aap niche page me dekh sakte ho.

Video Uploading on YouTube

Yaha par aap apni video upload hoti huye dekh sakte hai yaha se aap apni video ke bare me likh sakte ho ki aapki video kis tarah ki hai or usme kya hai.

  1. Yaha se aap ye dekh sakte hgai ki aapki video kitne parsent upload ho chuki is page me 4% upload ho chuki hai.
  2. Is option me aap apni video ka name fill kar sakte hai.
  3. Is option me aapko apni video ke bare me 150 words me likhna hai ki aapki ye video kis bare me hai or is video me kya hai.
  4. Yaha par se aap apni video se related tag add kar sakte ho.
  5. Public option me jakar aapko ye set karna hai aapki video ko koun koun dekh sakta hai koun nahi dekh sakta agar aapne ye video sabhi ke liye banai hai public hi rahane dijiye.
  6. Agar aap apni video ke sath koi massage chodna chahate hai to yaha wo massage add kar sakte ho.
  7. Is option me aap apni video ko playlist me add kar sakte ho.
  8. Video upload hone ke bad apni video ke liye niche 3 Thumbnail me se ek ko chun sakte ho.
  9. Apni video ki complete jankari fill karne ke bad publish ke button par click kar dijiye.
  10. Yaha video manager ke option par click kar ke aap ye dekh sakte hai ki aapki video aapke channel par hai ya nahi hai.
  11. Agar aap abhi ek or video upload karna chahate hai to add more videos ke option par click kar ke aesa kar sakte ho.

Video uploading ki adhik jankari ke lyie ye post padhe, YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari.

Jaise hi aap publish ke button par click karoge to video aapke channel par aa jayegai. To friends is tarah aap bhi apne channel par video bana kar use upload bhi kar sakte ho badi aasani se agar fir bhi aapko kuch samajh nahi aaya hai comment me bataye.

To friends ab aapne YouTube channel banana bhi sikh liya hai or us par video upload kaise karte hai ye bhi jan liya hai par aapko ek bat or janni hai ki YouTube par ham jo video upload karte hai unse hamari income kaise hoti hai aaiye jante hai.

How to Earn Money from Uploaded Videos on Youtube?

YouTue videos se earning karne ke liye aapko apna youtube channel monetize karna hoga. Videos ko mnetize karne ke bad aapki video par adsense ads show honge, Inhi advertisement se aapki income hongi.

Youtube channel ko monetize karne ke liye ye post padhe,

Ab aapko ye to pata chal gaya ki kamai kisse hogi but ab sawal ye hai ki hamari income kaise hogi. Actually aapki income YouTube par video se 2 tarah se income hogi.

  • Jab koi user aapki video par show ho rahe ads par click karta hai.
  • Ya fir aapki kamai jab hogi jab aap apni video par kisi affiliate product ka promote karte ho.

YouTube se paise kamane ki jankari ke bare me main already kai articles likh chuka hu jinme se 2 ke link yaha de raha hu, Aapko inme youtube video se paise kamane ki a to z guide mil jayegi.

  1. YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
  2. YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike – Top 10 Ways

To friends is tarah aap youtube par video upload karke income kar sakte ho or agar fir bhi aapko Youtube se paise kamane me koi problem ho rahi hai to aap comment me bata sakte hai.

Agar aapka youtube me interest nahi hai or aap youtube se paise kamana nahi chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi is post me free website blog banane ki details se jankari di gayi hai aap apna blog bana kar usse paise kama sakte ho adhik jankari ke liye comment kare.

I hope aapko YouTube se paise kaise kamaye video upload karne ki jankari achhi lagi hogi agar ha to social media par apne friends ke sath share jarur kare

Reader Interactions

Comments (232)

  1. hi bhai agar 1000 bar video dekhi gayi 30 jayda sec. per iski income keha show hogi mera yeh sewal tha bhi aur 1000 baar dekhane per paise keha se milgga AdSense se ya YouTube se show keha hoga

    • income YouTube.com/analytics par show hogi or paise aapko AdSense dega. kaise dega uske ke liye yaha click kare.

  2. HUm AdSense account kaise banaye uska procedure batao plz uske baad usse kaise YouTube account se jode

  3. hi bhai ji ek problam hai jo samjh nhi aa rehi meri YOUTUBE Play­back-based CPM* BEHOT hai mtlab paise to dikha rehi per AdSense me to behot kaam dikha rehi hai kyo yeh paise hamko milta hai aur kaise milga aur yeh kya hai
    2. aur meri YouTube channal total video 36000 bar open hoye hai aur uska paisa nhi dikhaya kyo sirf $0.89 paise hi dikha rehi hai plzz puri help karo

    • 1. Nahi cpm ka matlab hota hai ki aapko hazar views par kitne paise mile hai. ye paise hume nahi milte. aapko sirf current earning wale paise milte hai.
      2. video se paise kamane ke liye video 3 to 10 minute ka hona jaruri hai. Isse kam time ke video se income na ke barbar hoti hai. kyuki un par perfect ads show nahi ho pate. dusri bat income tabhi hogi jab koi aapki video ko 30 second se jyada timetk dekhega.

  4. Hlo sir Mae YouTube Vala Kam skta just ku ki Mae ek photo graphic Hu Mae sadi vivah me photo aur video ka Kam krta hu to ap hme iski puri Jankari de isko started krne ke lea sbse phle kya krna h plz help me

    • Rohit is bare me aap supportmeindia ki YouTube wali post padho

  5. If i upload songs of bollywood tollywood to my channel. Kya me paise kama sakta hun.

    • Nahi nahi kama sakte. aap kisi or ki video upload nahi kar sakte.

      • hello bhaiya
        mai. iske bare. mai. pora jaan na chata hoon oske baad account bana. plsss. help karo na
        pahlay sahi sai sub mlm keeke hi ismai. jana. charo.
        take baad mai koi. parayshani. nahoo. to pls help mi bro…

  6. Sir you tube per AdSense se jodne se pehle kitne video hone caiye kitne view hone jruri hai aur kitne subskriab hone caiye

    • 5 video se jyada or kam se kam 300 views hone chahiye.

  7. Or bhai mere videos pe abhi 4-5 view hai maine AdSense ke liye apply bhi kar diya hai.
    Toh kya isse kuch prblm aayegi AdSense account approved hone me ..?
    Kya Mujhe apni video ke view badane chahiye the ?iske baad AdSense ke liye apply karna tha

    • Yes aapka AdSense account approve nahi bhi ho sakta hai. ha aapko pahle apne videos par views badhane the.

      • भाई मैं अभी भी व्यू बड़ा सकता हु ।मैं य कर सकता हु अपने 100 – 200 अभी कर सकता हु । लेकिन ये व्यू मेरी इनकम में जुड़ेंगे या नहीं ? और मेरे इन व्यू से एडसेंस अकाउंट को एप्रूव्ड होने में हेल्प मिलेगी ?

      • Or bhai mere ads show nahi bhi ho rahe lekin agar mere 1000 view hote hai toh mujhe 1000 view ke 1$ toh melenge hi na..
        Or mai ab 1 min se jada ki video upload karta hu toh ads show honge ya nahi .. maine monetize toh kiya hi hai

        • 1. nahi jab ads show nahi honge top pincome nahi hogi.
          2. honge. bas aap copyright video upload mat karna.

  8. Bhai maine monotize bhi kar diya hai or AdSense ke apply bhi kar diya hai .. abhi AdSense account approved nahi hua hai..
    Toh mujhe ye batao ki AdSense account approved hone k baad video pe ads show honge ya abhi AdSense approved hone se pehle ?kyonki abhi toh meri video pe ads show nahi ho rahe hai..
    Or meri jo video hai wo 1 bhi 1 min ki nahi hai sab 1 min se kam ki hi hai..toh meri video pe ads show honge ya nahi..
    Plzz batao bhai

    • Video monetize karne se hi ads show hone lag jate hai. video kam se kam 3 minute ki honi chahiye. 1 minute ki par ads show nahi honge.

  9. Sir mobile par blogger mai ke niche code pest karna hai par head nahi nahi mil rha.please help me

    • head code blogger template me upar se 4-5 vi lines ke bad hota hai. ache se check karo.

  10. me apana you tube pe website banana chahata hu aur uspe video dalana chahta hu jisase ki koi mera video dekhe to mere accuont me pese bane kaya aap mujhe batange.

  11. Informative article, totally what I wanted to
    find.

  12. Bhai agar mai dusre site se kisi video ko download karke YouTube par upload karu to kya mujhe profit milega
    * agar wo video YouTube par pehle se nahi ho
    * aur wo video kuch der bad YouTube par upload ho jaye to kya mujhe profit milega
    * (bhai mera ye kehna hai ki agar mai koi serial video channel walo se pehle YouTube pe upload kar du to mujhe profit hoga ki nahi)
    please full help about this

    • Nahi, aap kisi or ka video upload nahi kar sakte, man leta hu aap kisi or ka video upload kar lete ho. but jaise hi unko aapki harkat ka pata chalega to wo aapke khilap report kar denge or aapka channel hi band ho jayega.

  13. asalam e walaikum bhai YouTube per video monetize kese hogi or AdSense account kese bane ga or wo tube account se kese connect hoga or pakistan me payment kese mile gi plz zara batay ge

  14. Good info. Lucky me I ran across your blog by accident
    (stumbleupon). I’ve book marked it for later!

  15. Hi! This is my first comment here so I just wanted
    to give a quick shout out and tell you I genuinely enjoy reading through
    your posts.

  16. Bhai waise main apna website banana chaahta hoon iskeliye pahle sampurn jaankaari prapt kar raha hoon.

    Bhai jaise mujhe jin chijo main ruchi hai uske baare main main khud bhi mujhe jaankaari hai bandhiya bandhiya usse sambandhit kitaab padhkar bhi aur net par ussse sambandhit web sites par bhi padkar jaankaarion par underline kiya hai unsab ko main apne website me ekpost main likhna chaahta hoon kya ye thik hai.

    Aur yah ki main jin chijo main mujhe suspense hai un chijo ke baare main main website par jaankari padhkar apne post main likha sakta hoon ya nahi

    • Aap ki bat mujhe bahut achi lagi ki aap website banane se pahle use ache se samajhna chahate ho. yahi to mai logo ko sikhta hu. but har koi jaldi me hota hai. aap bilkul sahi raste par ja rahe ho. ha kyo nahi padh likh kar hi aadmi bada banta hai. books padho ya internet par jab aap site banao to aapka talent sabse alag hona chahiye.

  17. You tube par pause kaise milta hai apne likha hai ki yadi koi aapke ads par click karega to aapko income hogi.
    Aur yadi nahi bhi karega to aapko 1000 views par 1 dollar milega yaha par 1000 views ka kya MATLAB hai.

    Aur dusra yah ki man leta hun ki koi YouTube ka video dekh na chaahta hai to pata kaise lagega ki ads kaha par hai taaki waha click koi kare.
    Aur tisara yah ki him kewal video banaayi huwi him upload kar sakte hai ya koi bhi anya website se video download karke bhi upload kar sakte hai ya nahi.
    Please batayiye.

    • 1. maine post me btaya hai ki agar aapki videos ko 30 second se jyada time tak dekhne par 1000 views ke lagbhag $1 to $5 dollar milenge. iska matlab hai ki agar koi aapki vidoe dekhega to 30 second me ads show honge or bahut se ads auplay hote hai. jin par bina click kiye sirf dekhne se income hoti hai.
      2. ek ads video me show hota hai or dusa video ke right side me sabse upar show hota hai.
      3. aap sirf apni banayi video hi upload kar sakte kisi or ki karoge to aapka AdSense account block ho jayega.

  18. hello apna banck accunt kese jodana hoga ditels pliz.

  19. Hi, just wanted to tell you, I loved this post. It was inspiring.
    Keep on posting!

  20. Thanks bro. Kya koi free msi webdite banane ka tarika .agar ho to please jaroor batana.