Hy friends aaj hum bat karenge YouTub ke bare me ki YouTub se paise kaise kamaye jate hai video upload kar ke. Agar aap bhi internet par yahi search kar rahe ho ki YouTube se paise kaise kamaye to ye post aapke bahut kam ki hai. Is post ko pura read karne ke bad aaj aapki searching puri ho jayegi. Actually YouTub ke bare me aaj har koi kuch na kuch janta hi hai par unme se bahut se new users ko ye pata nahi rahata ki YouTub se hum paise bhi kama sakte hai aap bhi new users hai to ye post jarur read kijiye kyuki is post me aaj hum yahi janenge ki YouTube se paise kaise kamate hai video upload kar ke.
YouTube se karodo log ghar baithe aasani se lakho rupye kama rahe hai agar aap ye sochte hai ki aesa nahi ho sakta to aap bilkul galat hai kyoki aap bhi aesa kar sakte hai. Uske liye aapko youtub ke kuch rules follow karne honge jinhe follow kar ke aap bhi youtube par apna channel bana kar video upload kar ke paise kama sakte ho. Agar aap apna channel banana chahate hai or paise kamana chahate hai to aap padhte rahiye ye post or janiye youtube se paise kamane ke tarike.
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
- Youtube Ke Top 5 Important Features Jo Har User Ke Liye Useful Hai
YouTube duniya ki sabse badi video website hai jis par roj karodo log video dekhte hai hajaro logo ne YouTube channel banaya hua hai. Sayad aapne bhi apna channel bana rakkha hoga or us par video bhi upload kiye honge or agar aapne abhi tak channel nahi banaya hai to koi bat nahi kyoki aaj main is post me aapko yahi bata raha hu.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye 2025
Agar aapne pahle se hi apna YouTube channel banaya hua hai to shayad ye post aapko pasand na aaye lekin ek bar puri post jarur read kijiye. To chaliye start karte hai ki YouTube channel kaise banate hai.
YouTube channel banane ke liye aapko apni gmail id ki jarurat hogi agar aapne apna gmail account nahi banaya hai to pahle ye post read kar apna gmail account bana lijiye Gmail Account Kaise uske bad aap apna channel bana sakte ho.
How to Make Your Channel on Youtube
YouTube par channel banana simple hai aap is post ke step follow kar 2 minute me apna channel create kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle apne browser me YouTube.com type kar YouTube website par jaye. YouTube Open hone ke bad Right Side upar People icon par click kare.
People icon par click karne ke bad ek dabba open hoga jaise humne screenshot me bataya hai. Isme setting ke option par click kijiye.
- Profile picture par click kare.
- Settings par click kare.
Step 2:
Ab jo page open ho usme See all my channels or create a new channel par click kare.
- See all my channels or create a new channel option par click kare.
Step 3:
Ab Create a new channel par click kijiye.
Step 4:
Create A New Channel par click karne ke bad ek new page open hoga usme google aapse new channel banane ke liye kahega yaha aapko jis name se apna channel banana hai wo name fill kare or create option par click kare
- Channel ka name dale
- Uske bad Create ke button par click kare.
Step 5:
Create par click karte hi YouTube par aapka channel ban jayega. Ab google aapko channel verify karne ke liye mobile number mangenga.
- Apna mobile number add kare.
- Verification method choose kare, aap OTP code text message ya call se pana chahate hai.
- Continue par click kare.
Step 6:
Ab jo page khulega usme aapko verify code add karna hai.Aapke phone number par ek code aayega wohi code yaha add karna hai. Code add karke channel verify kar le.
- OTP password add kare.
- Continue par click kare.
Step 7:
Ab aap apne banaye channel ke homepage par pahuch jaoge, jiska look kuch is tarah ka hoga. Ab bas aapko apne channel par video upload karna hai jiski jankari niche de raha hu.
Add channel art par click kar ke aap apne channel par koi bhi image photo add kar sate hai aap ye bad me bhi kar sakte ho. To is tarah aap bhi YouTube par apna channel bana sakte ho.
Ab YouTube par aapka channel to ban gaya hai par ab aapko ye janna hai ki YouTube par video upload kaise karte hai to aaiye jante hai ki YouTube par video upload kaise karte hai.
How to Upload Video to Youtube
Step 1:
Video Upload karne ke liye Right Side me upar Upload icon par click kare.
- Top right me Upload icon par click kare.
Uske bad aapke samne ek aesi popup window open hogi yaha se aap apni video ko channel par aasani se upload kar sakte ho.
- Select files to upload: Yaha par click kar aap apne computer se apni video ko select kar ke ya fir mouse se utha kar yaha patak sakte ho. Jaise hi aap apni video select karoge to video upload honi start ho jayega.
- Import:Agar aapki video google photos me hai to aap apni video ko yaha par click kar direct upload kar sakte ho.
- Get Started: Get started ke option par click kar ke aap apne cemera se video bana kar upload kar sakte ho.
- Aap chahe to mouse cursor se apne PC se video ko utha kar yaha move kar sakte hai.
Generally, aap Select files to upload ka option choose kar sakte hai. Ab jaise hi aap vaha click karoge or computer se apni video select karoge to uske turant bad aapki video upload honi shuru ho jayegi jise aap niche page me dekh sakte ho.
Yaha par aap apni video upload hoti huye dekh sakte hai yaha se aap apni video ke bare me likh sakte ho ki aapki video kis tarah ki hai or usme kya hai.
- Yaha se aap ye dekh sakte hgai ki aapki video kitne parsent upload ho chuki is page me 4% upload ho chuki hai.
- Is option me aap apni video ka name fill kar sakte hai.
- Is option me aapko apni video ke bare me 150 words me likhna hai ki aapki ye video kis bare me hai or is video me kya hai.
- Yaha par se aap apni video se related tag add kar sakte ho.
- Public option me jakar aapko ye set karna hai aapki video ko koun koun dekh sakta hai koun nahi dekh sakta agar aapne ye video sabhi ke liye banai hai public hi rahane dijiye.
- Agar aap apni video ke sath koi massage chodna chahate hai to yaha wo massage add kar sakte ho.
- Is option me aap apni video ko playlist me add kar sakte ho.
- Video upload hone ke bad apni video ke liye niche 3 Thumbnail me se ek ko chun sakte ho.
- Apni video ki complete jankari fill karne ke bad publish ke button par click kar dijiye.
- Yaha video manager ke option par click kar ke aap ye dekh sakte hai ki aapki video aapke channel par hai ya nahi hai.
- Agar aap abhi ek or video upload karna chahate hai to add more videos ke option par click kar ke aesa kar sakte ho.
Video uploading ki adhik jankari ke lyie ye post padhe, YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari.
Jaise hi aap publish ke button par click karoge to video aapke channel par aa jayegai. To friends is tarah aap bhi apne channel par video bana kar use upload bhi kar sakte ho badi aasani se agar fir bhi aapko kuch samajh nahi aaya hai comment me bataye.
To friends ab aapne YouTube channel banana bhi sikh liya hai or us par video upload kaise karte hai ye bhi jan liya hai par aapko ek bat or janni hai ki YouTube par ham jo video upload karte hai unse hamari income kaise hoti hai aaiye jante hai.
How to Earn Money from Uploaded Videos on Youtube?
YouTue videos se earning karne ke liye aapko apna youtube channel monetize karna hoga. Videos ko mnetize karne ke bad aapki video par adsense ads show honge, Inhi advertisement se aapki income hongi.
Youtube channel ko monetize karne ke liye ye post padhe,
Ab aapko ye to pata chal gaya ki kamai kisse hogi but ab sawal ye hai ki hamari income kaise hogi. Actually aapki income YouTube par video se 2 tarah se income hogi.
- Jab koi user aapki video par show ho rahe ads par click karta hai.
- Ya fir aapki kamai jab hogi jab aap apni video par kisi affiliate product ka promote karte ho.
YouTube se paise kamane ki jankari ke bare me main already kai articles likh chuka hu jinme se 2 ke link yaha de raha hu, Aapko inme youtube video se paise kamane ki a to z guide mil jayegi.
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
- YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike – Top 10 Ways
To friends is tarah aap youtube par video upload karke income kar sakte ho or agar fir bhi aapko Youtube se paise kamane me koi problem ho rahi hai to aap comment me bata sakte hai.
Agar aapka youtube me interest nahi hai or aap youtube se paise kamana nahi chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi is post me free website blog banane ki details se jankari di gayi hai aap apna blog bana kar usse paise kama sakte ho adhik jankari ke liye comment kare.
I hope aapko YouTube se paise kaise kamaye video upload karne ki jankari achhi lagi hogi agar ha to social media par apne friends ke sath share jarur kare
sanjit
mere video pe 107000 view mile hai fir bhi $0.73 hi hai video monitaze v hai
Jumedeen Khan
Iski wajah main aapka video dekh kar hi bta sakta hu.
Sukhsagar
Sir mera name sukhsagar hai mai poochhna chahta hoon ki mai kise tarah ke video upload karun ke mujhe zyada se zyada views mile.
Thankyou sir
Jumedeen Khan
Kisi bhi matter par karo aapko kitne views milenge wo aapka talent btayega. Wese abhi smartphone ke bare me bani videos ko log jayda dekhte hai.
Imran
Sir one click pr kitne pese milte h
Jumedeen Khan
Ye aapki CPC par depend karega. Aapko $0.10 to $5 per click mil sakte hai.
sanjit
two Google account ko ek adseane me jod sakte hai
ha to kaise.
Jumedeen Khan
Jab hum YouTube channel ko AdSense se connect karte hai to wo humse puchta hai ki hume isi gmail id se AdSense par jana hai ya kisi or se aap another email id par click karke apne AdSense wali id se log in kar sakte ho.
sanjit
adseane me nam kaise cheng kare
Jumedeen Khan
Check this post Google Adsense Account Me Payment Address Change Kaise Kare
sanjit
adseane me mera umar 18 se jayda hai
or bank me 16 hai
to koi dikat nahi n hoga
Jumedeen Khan
Yes bank me aapki age 18 year honi chahiye. But aapke pas bank account hai to aap bana sakte ho.
sanjit shah
mera adsean me nam sanjit shah hai
or bank me sanjit kumar shah to koi problm nahi n hoga
Jumedeen Khan
Blikul hogi aap AdSense me apna bank wala name add karo.
hanuman
sir mere ko blog banne ke liye address nahi mil raha h.
so please koi address batai sir.
Jumedeen Khan
Ye post check karo Website or Blog Kaise Banaye Online Paisa Kamane Ke Liye
Jalin
Sir mene YouTube par log in kya tha par bank a c kese dalte hai kuch samaj nahi paye please sir mujhe bank ac kese dalte hai batayi ye
Jumedeen Khan
Iske liye ye post padho Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare Hindi Jankari
sangram ghule
agar hamne YouTube par video monetize kiye aur add show hone lagi par kisine uspe click nhi kiya to kya YouTube hame paise dega
Jumedeen Khan
Nahi.
sangram ghule
matlab YouTube ke add impression ke paise nhi milte kya sirf click karne par hi milte hain
Jumedeen Khan
kitni bar btau ki sirf ad click ke paise milte hai.
Pankaj sahu
Sir me bhi online paisa kamana chahta hu my dream h
Jumedeen Khan
mari make money wali post padho.
Tarun Dagar
Mujha Kuch Khas Samjh Ma Nahi Aya Aap Pic Ka Saath Guide Kar Sakta Ho
Jumedeen Khan
check this post YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Rajeev
monetize account kese banta he plz photo send
Kitne view karne he
Jumedeen Khan
ye post padho Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
vikejl
hi mera naam Vikejl hai aur mera sawal hai ki ye AdSense account kya hai? aur monitize kya hai?
Jumedeen Khan
read our AdSense related articles.
Akshay
Kya ham YouTube ke paise paytm yaa freecharge me nhy daal sakte aur agar daal sakte h to please btaye me kamaye hue paise freecharge yaa paytm m kaise daalu kiu ki muje ghar baide prepaid aur internet recharge kernaa h.
Jumedeen Khan
Nahi YouTube earning google aapke bank account me send karta hai.
altaf hussain
sir video uplode karke kitni inncome huyi ye kese pata kare thank you
Jumedeen Khan
ye post check karo Youtube Account Ki Earning Report Kaise Check Kare
piyush saini
nice article dear can you tell me please how to upload videos which are under 3 party licence. please reply thanks in advance
Jumedeen Khan
Aap video setting me ja kar licence proof option me licence ID dal sakte ho.
shivam
bhai mene YouTube pr vedio uplod bhi kr di monotize bhi kr di mgr merko ye smj m nhi aya ki mujhe pese kese milenge
Jumedeen Khan
Adsense direct aapke bank account me paise send karnega. Ye post padho Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
Raj
Hello sir my name is raj and I have a question mene YouTube par account bana Liya h and videos bhi upload Kar Di h or us par 25 thousands views bhi ho chuke h OK and ab paise kaise or kab milege
Jumedeen Khan
Ye post padho Youtube Videos Ko Monetize or Adsense Se Connect Kaise Kare
babar ansari
sir mera email adress mere name pe hai or mera bank acc name mere papa ki name pe hai to ko problem to nahi hoge na sir
Jumedeen khan
Aap usi ke name se AdSense account banao jiske name se bank account hai.
ainain
JumE deen khan ,
Mera name md ainain khan hai AdSense kayse approve kare 5din hogaye hai mere plog ko
Jumedeen khan
Ye post padho Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare