Hy friends aaj hum bat karenge YouTub ke bare me ki YouTub se paise kaise kamaye jate hai video upload kar ke. Agar aap bhi internet par yahi search kar rahe ho ki YouTube se paise kaise kamaye to ye post aapke bahut kam ki hai. Is post ko pura read karne ke bad aaj aapki searching puri ho jayegi. Actually YouTub ke bare me aaj har koi kuch na kuch janta hi hai par unme se bahut se new users ko ye pata nahi rahata ki YouTub se hum paise bhi kama sakte hai aap bhi new users hai to ye post jarur read kijiye kyuki is post me aaj hum yahi janenge ki YouTube se paise kaise kamate hai video upload kar ke.
YouTube se karodo log ghar baithe aasani se lakho rupye kama rahe hai agar aap ye sochte hai ki aesa nahi ho sakta to aap bilkul galat hai kyoki aap bhi aesa kar sakte hai. Uske liye aapko youtub ke kuch rules follow karne honge jinhe follow kar ke aap bhi youtube par apna channel bana kar video upload kar ke paise kama sakte ho. Agar aap apna channel banana chahate hai or paise kamana chahate hai to aap padhte rahiye ye post or janiye youtube se paise kamane ke tarike.
- Youtube Ke Bare Me 20 Interesting Facts Amazing Jankari Hindi Me
- Youtube Ke Top 5 Important Features Jo Har User Ke Liye Useful Hai
YouTube duniya ki sabse badi video website hai jis par roj karodo log video dekhte hai hajaro logo ne YouTube channel banaya hua hai. Sayad aapne bhi apna channel bana rakkha hoga or us par video bhi upload kiye honge or agar aapne abhi tak channel nahi banaya hai to koi bat nahi kyoki aaj main is post me aapko yahi bata raha hu.
YouTube Se Paise Kaise Kamaye 2025
Agar aapne pahle se hi apna YouTube channel banaya hua hai to shayad ye post aapko pasand na aaye lekin ek bar puri post jarur read kijiye. To chaliye start karte hai ki YouTube channel kaise banate hai.
YouTube channel banane ke liye aapko apni gmail id ki jarurat hogi agar aapne apna gmail account nahi banaya hai to pahle ye post read kar apna gmail account bana lijiye Gmail Account Kaise uske bad aap apna channel bana sakte ho.
How to Make Your Channel on Youtube
YouTube par channel banana simple hai aap is post ke step follow kar 2 minute me apna channel create kar sakte ho.
Step 1:
Sabse pahle apne browser me YouTube.com type kar YouTube website par jaye. YouTube Open hone ke bad Right Side upar People icon par click kare.
People icon par click karne ke bad ek dabba open hoga jaise humne screenshot me bataya hai. Isme setting ke option par click kijiye.
- Profile picture par click kare.
- Settings par click kare.
Step 2:
Ab jo page open ho usme See all my channels or create a new channel par click kare.
- See all my channels or create a new channel option par click kare.
Step 3:
Ab Create a new channel par click kijiye.
Step 4:
Create A New Channel par click karne ke bad ek new page open hoga usme google aapse new channel banane ke liye kahega yaha aapko jis name se apna channel banana hai wo name fill kare or create option par click kare
- Channel ka name dale
- Uske bad Create ke button par click kare.
Step 5:
Create par click karte hi YouTube par aapka channel ban jayega. Ab google aapko channel verify karne ke liye mobile number mangenga.
- Apna mobile number add kare.
- Verification method choose kare, aap OTP code text message ya call se pana chahate hai.
- Continue par click kare.
Step 6:
Ab jo page khulega usme aapko verify code add karna hai.Aapke phone number par ek code aayega wohi code yaha add karna hai. Code add karke channel verify kar le.
- OTP password add kare.
- Continue par click kare.
Step 7:
Ab aap apne banaye channel ke homepage par pahuch jaoge, jiska look kuch is tarah ka hoga. Ab bas aapko apne channel par video upload karna hai jiski jankari niche de raha hu.
Add channel art par click kar ke aap apne channel par koi bhi image photo add kar sate hai aap ye bad me bhi kar sakte ho. To is tarah aap bhi YouTube par apna channel bana sakte ho.
Ab YouTube par aapka channel to ban gaya hai par ab aapko ye janna hai ki YouTube par video upload kaise karte hai to aaiye jante hai ki YouTube par video upload kaise karte hai.
How to Upload Video to Youtube
Step 1:
Video Upload karne ke liye Right Side me upar Upload icon par click kare.
- Top right me Upload icon par click kare.
Uske bad aapke samne ek aesi popup window open hogi yaha se aap apni video ko channel par aasani se upload kar sakte ho.
- Select files to upload: Yaha par click kar aap apne computer se apni video ko select kar ke ya fir mouse se utha kar yaha patak sakte ho. Jaise hi aap apni video select karoge to video upload honi start ho jayega.
- Import:Agar aapki video google photos me hai to aap apni video ko yaha par click kar direct upload kar sakte ho.
- Get Started: Get started ke option par click kar ke aap apne cemera se video bana kar upload kar sakte ho.
- Aap chahe to mouse cursor se apne PC se video ko utha kar yaha move kar sakte hai.
Generally, aap Select files to upload ka option choose kar sakte hai. Ab jaise hi aap vaha click karoge or computer se apni video select karoge to uske turant bad aapki video upload honi shuru ho jayegi jise aap niche page me dekh sakte ho.
Yaha par aap apni video upload hoti huye dekh sakte hai yaha se aap apni video ke bare me likh sakte ho ki aapki video kis tarah ki hai or usme kya hai.
- Yaha se aap ye dekh sakte hgai ki aapki video kitne parsent upload ho chuki is page me 4% upload ho chuki hai.
- Is option me aap apni video ka name fill kar sakte hai.
- Is option me aapko apni video ke bare me 150 words me likhna hai ki aapki ye video kis bare me hai or is video me kya hai.
- Yaha par se aap apni video se related tag add kar sakte ho.
- Public option me jakar aapko ye set karna hai aapki video ko koun koun dekh sakta hai koun nahi dekh sakta agar aapne ye video sabhi ke liye banai hai public hi rahane dijiye.
- Agar aap apni video ke sath koi massage chodna chahate hai to yaha wo massage add kar sakte ho.
- Is option me aap apni video ko playlist me add kar sakte ho.
- Video upload hone ke bad apni video ke liye niche 3 Thumbnail me se ek ko chun sakte ho.
- Apni video ki complete jankari fill karne ke bad publish ke button par click kar dijiye.
- Yaha video manager ke option par click kar ke aap ye dekh sakte hai ki aapki video aapke channel par hai ya nahi hai.
- Agar aap abhi ek or video upload karna chahate hai to add more videos ke option par click kar ke aesa kar sakte ho.
Video uploading ki adhik jankari ke lyie ye post padhe, YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye Hindi Jankari.
Jaise hi aap publish ke button par click karoge to video aapke channel par aa jayegai. To friends is tarah aap bhi apne channel par video bana kar use upload bhi kar sakte ho badi aasani se agar fir bhi aapko kuch samajh nahi aaya hai comment me bataye.
To friends ab aapne YouTube channel banana bhi sikh liya hai or us par video upload kaise karte hai ye bhi jan liya hai par aapko ek bat or janni hai ki YouTube par ham jo video upload karte hai unse hamari income kaise hoti hai aaiye jante hai.
How to Earn Money from Uploaded Videos on Youtube?
YouTue videos se earning karne ke liye aapko apna youtube channel monetize karna hoga. Videos ko mnetize karne ke bad aapki video par adsense ads show honge, Inhi advertisement se aapki income hongi.
Youtube channel ko monetize karne ke liye ye post padhe,
Ab aapko ye to pata chal gaya ki kamai kisse hogi but ab sawal ye hai ki hamari income kaise hogi. Actually aapki income YouTube par video se 2 tarah se income hogi.
- Jab koi user aapki video par show ho rahe ads par click karta hai.
- Ya fir aapki kamai jab hogi jab aap apni video par kisi affiliate product ka promote karte ho.
YouTube se paise kamane ki jankari ke bare me main already kai articles likh chuka hu jinme se 2 ke link yaha de raha hu, Aapko inme youtube video se paise kamane ki a to z guide mil jayegi.
- YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
- YouTube Se Paise Kamane Ke 10 Aasan Tarike – Top 10 Ways
To friends is tarah aap youtube par video upload karke income kar sakte ho or agar fir bhi aapko Youtube se paise kamane me koi problem ho rahi hai to aap comment me bata sakte hai.
Agar aapka youtube me interest nahi hai or aap youtube se paise kamana nahi chahate ho to aap hamari ye post read kijiye. Free Website Blog Kaise Banaye – Complete Guide in Hindi is post me free website blog banane ki details se jankari di gayi hai aap apna blog bana kar usse paise kama sakte ho adhik jankari ke liye comment kare.
I hope aapko YouTube se paise kaise kamaye video upload karne ki jankari achhi lagi hogi agar ha to social media par apne friends ke sath share jarur kare
Mahipal
Me 3 video bnaye h whatsapp status 30 sec k nam se jisme se 1 video 115k tk chala gya h but ab me apna chanal open nhi kr oa rha hu likha aata h “Your account has been permanently disabled” ab me kya kru mera chanal mahipal dabhi nam se h ap video dekh kr btaho konsi galti ki h mene.
Jumedeen khan
Aapne konsi galti hai hai uska google ne aapko mail send kar diya hoga. Mail check karo.
hany
Kia sirf like krne,subcribe krne aor video daykhne se income nhe hoti?
Jumedeen khan
Nahi.
mohammed asim
Sir jab hum you tube account se bank account ku add karenge to bank account hack ho sakta hai kya.
Jumedeen Khan
Nahi.
Bakil kumar
Sir paisa kaha ata hai aur kamane ke liye bank account me paisa at a hai kya sir sir puri jankari de sir please
help me sir
Jumedeen Khan
Puri jankari yaha hai YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi
Utsav
Sir maine channel pe ek vdo upload kiya song ka lekin jb sirf mai us song ka nam dalta hu to search me nhi ata lekin uske sath apne channel ka nam dalta hu to mera song search hota hai.uspe koi vew nhi kya kru sir
Jumedeen Khan
Videos ko sahi se promote karo search me aane lag jayega.
Akash hedau
sir mera ek sawal hi jese mene video upload kiya to sir usme ads kese ayenge help me sir
Jumedeen Khan
Video ko monetize karna hoga. Aap humari youtube wali post padho sab sikh jaoge.
rohit
Sir jaise mera bank account hai but mujhe ye samjh nahi aaya ki jab mai video upload karunga
To mere account pe paisa kaise aayega kyoki aapne Jo account create karna sikhaya hai uspe kahi bhi account no to manga hi nahi….
Jumedeen Khan
Paise aapko youtube nahi google dega jo aapki video par ads show karke earning karega or uska 70% aapko milega. Aapko bank account adsense me add karna hai. Aap humari adsense wali post padho sabki jankari mil jayegi.
shan
asalamailekum bhai
mere current address or bank ka address different h mujhe payment address kya dena chahiye???
Jumedeen Khan
Dono address same hone chahiye.
harish
Upload karne k baad paise kisme jayenge
Jumedeen Khan
Paise direct aapke account me aayenge. Ye check kare Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
PrimaDerm Cream
Excellent information once again. I am looking forward for more updates:)
RAMESH
Sir main ek news channel banana chahta hu, Jo news TV par aati hai usko mein apne andaz se apni voice se bol kar us video ki jagah image dalkr agar upload karu to copyright to nahi hoga.
Jumedeen Khan
No problem.
sunil Kumar
Sir mujhe iska pata kese lagega ki mujhe Kitna paisa aaya h and Mai uss paise ka use kese karunga.
Jumedeen khan
Aap apne bank account me payment le sakte hai. check this post.
Youtube Account Ki Kamai Earning Report Kaise Check Kare
Zuhaib
Bhai jo aapne income ke do tareeke batae hai ek jo add per click kerne vala or dusra product promotion vala ye dusra tareeka mai kaise use ker sakta hu product promote vala
Jumedeen Khan
Dsura tarika tab use kar sakoge jab aapke channel par bahut jyada traffic ho kyuki abhi koi bhi company aapko apne products ka promotion karne ke liye razi nahi hogi.
shubham verma
sir mera youtube channel log in nahi ho rha hai kya karu
jab mai apne youtube per log in karta hu to “unable to access” likh kar aata hai
help me !!
Jumedeen Khan
browser caches and cookies delete kar try karo ho jayega.
aqin
sir direct google adsense pe aply kar do? video upload kar k ya phr kuch views kar k then apply karo ??
Jumedeen Khan
Direct karoge to approve hone me problem hogi kuch views hone ke bad karoge to easily approve ho jayega.
Pawan Kumar
Sir Main Ab Tk 22 Videos Mere Youtube Chnle Pr Dal Chuka Hu
Meri Income Kb Hogi
Total View 2685 Ho Chuke H
AdSense Se Bhi M Jur Chuka Hu
Videos K Samne Dolor Ke Nishan Bhi Aa Rhe h
Lekin Abhi Tk Income Ni Ho Rhi
Jumedeen Khan
Browser abh iviews or badha jab aapke users ad par click karenge to earning hogi.
Hasan ali khan
Bhai me apne channel me apni website kaise add karu kyoki jab bhi mai AdSense ke option me jata hoon to Adsense me website ke option se aage hi nahi ja pata hoon
Jumedeen Khan
ye aapka browser issue hai kisi or browser me try karo.
sanjit
kya ham WordPresse ke trah google blog ko nahi sja sakte hai
Jumedeen Khan
Bilkul but aapko coding aani chahiye.
sanjit
mere chenal ko YouTube se temprolye saspent kar diya gya hai recovar kaise kare
Jumedeen Khan
Youtube team ko report send karo ho sakta hai channel renable kar de.
sanjit
sair kya ham blogar se comement box hta sakte hai
Jumedeen Khan
Yes
adil
Sir kiya youtube ko mai mobile se use krke earn kr skta hu aur hljo step aap ne btae hai kiya ho mobile se youtube channal bn skta hai.
Jumedeen Khan
Yes kar sakte ho same computer ke jaisi process hai video banao or upload karo.
sanjit
mere frinde ka YouTube chenal mere adseane se juda hai,…..frinde ka chenal copyrite ya or koi wajh se band hoga, ……… to mere account me koi problm nahi n hoga
Jumedeen Khan
Aapke channe lar nahi but AdSense account par bad effect pad sakta hai.
shaan tanha
Sir jb him video upload krty hei to hum ko 2 option milty hei video publish key ya private ap batay kye use kry
Jumedeen Khan
Publish option par click karo taki apaki video public tak pahuch sake or sabhi dekh sake.
Jaypal singh
Adsense account kese banate he hepl me
Jumedeen Khan
Check this post Adsense Account Kaise Banaye Step By Step Puri Jankari
niroj
Sir maine vi youtube channel banaya hu lekin mere koi bank account nahi hai me erning money k lia mere paisa kaha jamma hoga? U pais jamma karneke liya kya honi chahiya
Jumedeen Khan
Aapko account khulwana padega.
sanjit
YouTube chenal ko monitaze karte time hamse hamra cuntry puchha jata hai agar ham india ke jgah usa dalgne to kya hmari kamai usa ke hisab se hogi
Jumedeen Khan
Tab aapka AdSense approved hi nahi hoga.
sanjit
mere video pe 126,877 views mila hai fir v $0.76 hi hai.
Jumedeen Khan
Video ki description me apane ek bhi words nahi likha CPC kaha se milegi.