Youtube Subscribe Button Create karna bahut hi simple hai. aapko bas google developer par jana hai. or apne YouTube channel ki di enter karke kuch step follow karne hai. or aapko YouTube subscribe button ka code mil jayega. is subscribe button se aap apne YouTube channel ke subscriber badha sakte ho. chaliye mai aapko iske bare me details se bta deta hu.
Youtube subsribe button create karne ka option google ne google developer diya hua hai. mai aapko uske bare me bta raha hu. YouTube subsribe button banane ke bad aap use blog me add karke bhi apne subscribers badha sakte ho or YouTube se adhik paise kama sakte ho. YouTube se paise kamane ki jankari ke liye Youtube Se Paise Kaise Kamaye Video Upload Kar Ke post pade.
- Online Paise Kaise Kamaye: Internet Se Paise Kamane Ke 20 Tarike
- Adsense Account Ko Approved Karane Ke 20 Tarike Janiye
YouTube Subscribe Button Kaise Banate Hai
Youtube subscribe button banane ke liye aapko niche diye simple step follow karne hai. or aap asani se 1 minute me subscribe button create kar sakte ho. to Sabse pahle aap Google developer par jayiye.
- yaha par apne YouTube channel ki ID enter kare.
- aapko subscribe button nae or photo ke sath dikhana hai to full or sirf subscribe button dikhana hai to default select kare.
- theme yani subscribe button ka color select kare.
- aapke YouTube channel par kitne subscriber hai. wo dikhana hai to default (shown) select kare. or agar nahi dikhane hai to hidden select kare.
- yaha par aap apne YouTube subscribe button ka live preview dekh sakte ho.
- sari setting karne ke bad aap yaha se apne subscribe button ka code copy kar le.
Ab aap is code ko apni website ya blog me add karke YouTube subscribe button laga sakte ho. agar aap apne blog me YouTube subscribe button add karna chahate hai to iski jankari ke liye aap humari YouTube Subscribe Button Blog Me Kaise Add Kare post pad sakte hai.
jitendra
thanks, mene bhi button add kar li, apke dwara batay tarike se bahut hi aasan laga
bheshpratap
sir youtube video ke neeche me share ke just neeche suscribe button kaise add karu plz bro
Mohd Amir
assalawalekum bhai mene youtube pr apna account bnaya h or adsense pr bhi but muje kuch smjh nhi aa rha m aage kya kru plzzz help me …
Jumedeen Khan
Amir adsnese or youtube wali humari baki post padho sabki jankari mil jayegi.
Jumedeen Khan
Check after some times.
Pooja
Sir, meri adsense balance 0.19 he or meri total earning $150 he balance me earning add show ho rahi please help
Jumedeen Khan
Youtube ki earning google me mahine me ek bar add hoti hai. Jo 21 ya 1 tarikh ke bad hoti hai.
rohit
sir kya ham apne bloge mai YouTube subscribe and fb page ka link lagane sai hamare AdSense ads par koi fark padata hai or kya ham AdSense kai ads post k andar nhi laga sakte
Jumedeen Khan
Adsense par koi fark nahi padta.
rakesh
bhai kya hum tv se news record kar ke you tube channel me upload kar sakte he
Jumedeen Khan
Nahi.
Himanshu Grewal
Hello sir,
jb mai subscribe button k code ko copy krne lga to muje error dikhae diya “These aren’t the XSS vulnerabilties you’re looking for” to mai ise kese thik kru?
Jumedeen Khan
Aap fir se try kar sakte the.
namdev
Sr mai google devoloper pr gya lekin jo option apne btaye hai wo aate to hai lekin unpar click hi nahi hota taki mai unhe set kar sku meri kuch smjh nahi aa rha bas chhanel id pr click krta hu to new window khul jaati h
Jumedeen Khan
Aap sahi se step follow karo.
ismail
Mera name ismail hai bhai mein ne create ki hai jo one month ho gaya jisme muje google search console ko virfy karna tha jo code atta hai use tamplet head k niche dal ka save kiya lekin fir bhi verify nahi ho raha please help iski waja se mari blog par tarfic nahi
Jumedeen Khan
Aap google search console se sahi se code copy karo, fir head> ke niche paste karke template save karo. Ye post pado Blog Ko Google Search Engine Se Submit Kaise Karte Hai
Ritik
Hello sir . Mai apki help chahta hu.
Muje ak blog banana chahta hu jis par mai apne mp3 song uplaod krna chahta hu . .mp3 uplaod kese honge free bloag par . . And mere you tube chainnl par AdSense accaunt add kr rkha but AdSense acaunt par hosted account likha hua aa rha h . . .ye kyu aa rha hai . . Nd
Tisra ye ki kya mai isi AdSense accaunt par mera blog ya website attech kar skta hu ya n . .
?? Plzz help me
Jumedeen Khan
first to aap website blog kuch bhi banao usme copyright jankari nahi dal sakte. songs ki site banae ke liye aapko songs company se licence lena padega jo 4-5 lakh me milta hai. so aap free blogger par site banaye or apni khud ki jankari share kare.
YouTube se banaye AdSense account hosted hi hota hai. iska matlab hai ki aap sirf YouTube video par ads dikha sakte ho. apni site par ads dikhane ke liye aapko hosted AdSense ko complete AdSense account banana padega. uske liye ye post pado Apna Adsense Account Approved Kaise Kare 4-5 Din Me
prakash
helllo sir
mere template ke post me date ki jagah tima batata hai me use date me badlana chahta hu please help kijiye aur me apna naam hide karna chahta hu jaise posted by name ise hide ya delete karna chahta hu
Jumedeen Khan
blog ki setting me ja kar time format change karo. posted by ko delete karne ke liye blog ki template me jao or posted by search karke use or uske samne ke link ko delete kar do.
Ravi kumar
Ok bhaiya ek bar mere blog ko aap check karke batao isme aage kya karu jo professional lage.waiting you answer
Jumedeen Khan
aap ye post pad sakte ho. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide
Ravi kumar
mai aapse ye puchhna chah raha hu template change karne se purane savi widget delete ho jayenge kya,
Jumedeen Khan
jo widget aapke new template me hone wo nahi honge. baki ho jayenge. aap widget kas backup le kar template change karo.
Ravi Kumar sahu
Thanks bhaiya, bhaiya mera ek question hai,
agar mai apne blog ka template change kar du to kya sabhi post ya jaise sir maine power by blogger ko remove,mai social like box,subscriber email, any body sabhi widget aur bhi,
change karne se kya-kya deleted hote hai aur kya kya reh jate hai,
please hame details me bataye
Jumedeen Khan
aapke itne sare sawalo ke jawab comment me nahi de sakta. aap ye post pado isme maine sabkuch bataya hai. Blogspot Par Free Blog Banane Ke Bad Kya Kare Full Guide