Youtube Channel Par Subscribers Badhane Ki 20 Best Tips

Youtube  video bana kar online money earn karne ka sabse acha way hai. google ne YouTube par ye service di huyi hai ki aap YouTube par video upload kar ke AdSense ads ke throw online paise kama sakte hai. but uske liye YouTube par aake 5000-10000 subscribers hone chahiye. jo aapke video upload karne par aapki video dekh sake or apne friens ke sath share kar sake. aaj is post me mai aapko YouTube subscribe badhane ke 20 important ways ke bare me bta raha hu. aap inhe follow kar ke apne YouTube channel ke subscribe badha sakte ho.

Youtube Par Subscribers Kaise Badhaye Top 20 Tips

Youtube par 1,00,00,000 se bhi jyada log video upload kar ke paise kama rahe hai. inme se kuch log 1 crore monthly bhi kamate hai. agar aap bhi YouTube se paise kamana chahate ho to maine iske bare me details se btaya hai. aap chae to humari YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi post pad sakte hai or YouTube se paise kamane ki jankari pad sakte hai.

Youtbe par kitne log video upload karte hai or YouTube unhe kitne paise payment karta hai. iske bare me adhik jankari ke liye aap YouTube stats form par ja kar check kar sakte hai.

Agar aapke YouTube channel par 10,000 subscribers hai or aapko video banane ki basic jankari hai  to aap 10,000 to 30,000 per month aasani se kama sakte ho. ab important bat ye hai ki itne sare YouTube subscribers pane ke liye kya kare. apne YouTube channel par 10,000+ subscribers badhane ke liye aapko YouTube par niche diye gaye step follow kar kar video upload karni hai. or aap bahut jaldi apne YouTube channel par subscribers increase hote dekhoge.

  • Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)

Youtube par jyada paise kamane walo me wo log sabse aage hai jo kisi na kisi technology ke bare me jankari ki video banate hai. examply jaise mai supportmeindia ke liye video banata hu. aysi video ko public jyada dekhti hai.

Becoz aaj ke is badlte jamane me log ek jagah par sabkuch ki jankari pana chahate hai. jo ki unhe video me aasani se mil jati hai. aap chahe to humare YouTube channel par blogging related videos dekh sakte hai.

Youtube Par Subscribers Badhane Ke Top 20 Tarike

Agar aapka allready koi YouTube channel hai or aap is waqt YouTube par video upload karne wale person ho to achhi bat hai or agar aapka koi YouTube channel nahi hai to pahle aap apna YouTube channel bana le or use monetize kar le. uske bad ye post pade or apne YouTube subscribe badhane ke bare me sikhe.

Wese agar aap achhi or logo ke kam aane wali video banaoge to log aapko khud be khus subscribe karenge. but is post me mai aapko jo tarike bta raha hu. unhe follow karke aap apne viewers ko or jyada lubha sakte ho.

1. Make Complete Setting Your Youtube Channel

Youtube par work start karne se pahle apne YouTube channel ko complete set up kar le. jaise YouTube banner, video message, verification, custom links etc. isse aapke viewers ko aapke bare me puri jankari milegi. jab koi aapki video dekhega or use aapki video pasand aayegi to aapke channel par jayega or aapke bare me thoda bahut janne ki koshish karega.

Agar use aapke YouTube channel par aapke bare me complete jankari mil jayegi ki aap yaha kyo or kiske liye video upload karte hai to wo aapke bare me jan kar subscribe jarur karega.

Uncomplete channel ko 10% users bhi subscribe karna pasand nahi karte hai. isliye ye meri highly recommend hai ki YouTube par adhik subscribe pane ke liye sabse pahle apne YouTube channel ki complete settings set kare.

2. Personalize Video Thumbnails

Video upload karte time video ke liye video se related koi acchi thumbnail banaye or video par set kare. bahut se new YouTube users ise ignore karte hai. YouTube viewers video thumbnail ko dekh kar bahut jyada dekhna chahate hai.

Video tumbnail ke bare me janne ke liye aap ye post padiye YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye. Ye bat shayad aap bhi folow kar chuke hone. aapne YouTube par video thumbnail dekh kar bahut si video dekhi hongi. to ye step apni video par bhi follow kar sakte ho.

3. Create Youtube Channel Trailer

Youtube ne YouTube users ke liye ek bahut hi acha feature diya hua hai channel trailer add karne ka. isme aap apne channel ke bare me video bana kar set kar sakte hai. ye trailer auto play hota hai. jab koi aapke YouTube channel ko open karega to sabse pahle use ye trailer dikhega. YouTube channel trailer banane ke liye yaha click kare.

Jis tarah new movie release hone par uske bare me short video bana kar trailer bana kar audience ko dikhaya jata hai. jisse log us movie ko jyada like kar sake. same wese hi aap apne YouTube channel ke liye ek shoer trailer bana sakte hai or apne channel par subscribers badha sakte hai.

4. Add Subscribe Button in Video

Add Subscribe Button in Video

Youtube ka ek feature or bhi hai YouTube watermark ka jis se aap apne video me subscribe button add kar sakte ho. isse jab koi aapki video dekhega to wo video me show hone wale subscribe button par click kar ke direct aapke YouTube channel ko subscribe kar sakte ho. iski adhik jankari ke liye ye article follow kare Youtube Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare.

Aapne YouTube par bahut si videos me subscribe button ka option dekha honga. aap iske liye humara YouTube video me subscribe button add karne wala video bhi dekh sakte hai.

5. Create 3-5 Minutes Videos

Aksar dekha gaya hai ki YouTube par 3-5 minutes ke video ko log sabse jyada pasand karte hai or sabse jyada dekhte hai. iski sabse badi wajah hoti hai ki log sochte hai ki sirf 5 minutes ka video hai isme meri kitni MB lagegi. yaha mera matlab ye nahi hai ki aap 1-2v minutes ke hi video banane lago.

Becoz 3 minutes se kam time ke videos par AdSense ads show hone me problem hoti hai or agar aapke video me ads show nahi honge to aapki income kaise hogi.

Jyada long video bana kar apne viewrs ko boring nahi kare or jitna ho sake utne short video me viewers ko samajhane ki koshish kare. isse log aapko jyada pasand karenge.

6. Edit Video Before Upload

Video ko YouTube par upload karne se pahle usme jaruri editing kar le or usme se bina kam ki files ko hata de. isse viewers ko boring nahi hogi. sath hi aap video editing karte samay apne video me extra features bhi add kar sakte hai. jisse aapke visitors video ko or bhi pasand kare.

Video upload karne se pahle editing bahut jaruri hoti hai. agar aapke ek video me bhi bina kam ki jankari mili to log aapko unsubscribe kar sakte hai.

7. Optimize Video Descriptions

Actually YouTube par features option me aysa option hota hai jisme aap ek jagah apne new video ke liye default descriptions add kar sakte hai. so bahut se log ek bar isme apni details likh kar use fir optimize nahi karte hai.

Jisse aapke visitors ko aapke sare videos par ek hi description dekhne ko milti hai. natijan koi ek bar aapke video ki description padne ke bad dubara us par focus nahi kartya hai. so aap har bar video upload karte time video ke bare me jarur likhe.

Slw internet connection use karne wale viewers viseo dekhte time jab video browsing ruk jati hai to video description padna pasand karte hai. ayse me agar aap video desription me video ke bare me or apni website ya dusre videos ke links add kar de to viewers aapke dusre videos par bhi ja skata hai.

8. Use Keyword In Video Title

Video upload karte time video ke title me top keyword use kare. jisse aapki video search engine me achi position me aa sake or aapko jyada viewers mil sake. ayse me aapko jyada audience milenge to aapke channel pa subscribes bhi badhenge.

Youtube video ko bhi aap blog post ki tarah SEO friendly bana sakte hai. jis se aapko search engine se acha result mil sake.

9. Comment on Other Videos

Dusre YouTubers ke videos par commnet kare. jaha tak ho sake latest video par commnet kare. ayse me jab koi aapki commnet ko dekhega to wo aapke YouTube channel par aa sakta hai. or aapko subscribe kar sakta hai. many success YouTubers is tricks ko follow karte hai. aap bhi try kar sakte hai.

Comments ek sabse acha or free tarika hai apne YouTube channel ko viral karne ka. agar aap video banane me ghanto time laga sakte ho to 1-2v hours nikal kar other videos par commnets bhi kar sakte ho.

10. Share Video on Social Media

Youtube par video upload karne ke bad use facebook, google plus, twiiter jaisi social sites par bhi share kare. isse social users ko aapke video ke bare me pata chalega or wo aapke videos dekh sakte hai. aapke YouTube channel ko subscribe kar sakte hai.

Agar aapka koi YouTube channel hai to jahir hai aap facebook, twitter social network use karte honge. to social sites ka fayda uthaiye or apne videos share kar ke apni income increase kijiye.

11. Create Platform on Social Sites

Jab aap YouTube par video upload kar ke paia kamana hi chahate ho to apne YouTube channel ke name se facebook twitter, google+ par account bana le or apni new video ko un par share kare. isse social users aapse social media par direct contact kar sakte hai.

Apne YouTube channel ke liye facebook par page banane ke liye facebook par page kaise banate hai post padiye or apne YouTube channel ke liye google+ par page banane ke liye Google Plus Par Page Kaise Banaye post padiye.

Yha platform se mera matlab sir faccount se nahi hai. aap apne YouTube channel ke liye social site par page bhi bana sakte ho.

12. Ask & Invite Your Friends

aaj kal har koi internet use karta hai or sabka social sites  par account bana hota hai. so aap apne friends ko YouTube channel ko subscribe karne ke liye kah sakte ho.

aap sirf apne friens ko subscribe karne ke liye invite kar sakte ho. ads par click karne ke liye nahi. aysa karne par aapka AdSense accont ban ho sakta hai.

13. Optimize Video Meta Data

Video meta data video ke title, description, thumbnails and tags ko kahte hai. aap jab bhi video upload kare to video ki meta data set kiya kare. aap pahle se upload kiye gaye videos ki bhi meta data optimize kar sakte hai.

Iski adhik jankari ke liye humari YouTube Par Video Upload Kaise Karna Chahiye post padiye. isme aapko video meta data optimize karne ki puri jankari milegi.

Video meta tags editing sabse important hoti hai. ise ignore kar ke aap YouTube par apne video viral nahi kar sakte. so ab tak na ki ho to ab is tips ko follow karna start kar de.

14. Use Youtube Subscribe Button on Your Site

Use Youtube Subscribe Button on Your Site

Agar aapki koi website blog hai to aap usme YouTube subscribe button add kar ke bhi apne YouTube channel par subscribers badha sakte hai. YouTube ne iska option allready diya hua hai.

Aap YouTube subscribe button bana kar use apni website ya blog me add kar sakte hai. isse aapki site ke visitors aapko direct site par subscribe kar sakte hai.

agar aapki koi website ya blog nahi hai to aap humari Website or Blog Kaise Banate Hai Online Paisa Kamane Ke Liye post pad kar agle 5 minutes me apni free website bana sakte hai.

15. Add Subscribe Details Video Ending

Apne viewers ko video ke end me YouTube channel ko subscribe karne ke liye kahne se bhi YouTube channel par subscrib badhaye ja sakte hai. aap jab bhi koi video banao or use edit karo to video ke end me text or voice kaise bhi jaisa aapko best lage. viewsers ko channel subscribe karne ke liye kah sakte hai. YouTube par most popular YouTubers is tips ko follow karte hai.

Jaha tak ho sake video ke last me aap voice me hi ending subscribe message add kare. boecoz text message se jyada voice message par viewers jyada focus karte hai.

16. Focus Your Viewers Interest

Kuch log  lagatar video upload karte rahte hai. ye soch kar ki jab video bahut sare upload karunga to subscribers or viewrs badh jayenge. aysa nahi hai aap bina matlab ki video upload karke YouTube se paise nahi kam sakte hai.

Agar aapko YouTube se paise kamane hai to apne viewers ke interset ke hisab se video bana kar upload karo. iske liye aapko apne subscribers ka interst pata karna hoga. don’t worry YouTube par iska option allready hota hai. aap YouTube analytics par apne viewers ke interest ka pata kar sakte ho ki aapke visitors ko kya pasand hai or kya nahi hai.

Agar aap apne subscribes ke interst ko focus kar ke video bana kar upload karoge to aap 50 videos upload karne se pahle hi 1,000+ subscribers recieve kar loge. becoz ayse me aapko koi unsubscribe nahi karega. or agar aap aysa nahi karenge to subscrbie badhne ki jagah aapke channel par subscrbie kam ho jayenge.

Becoz aapke subscribes ko jab unki pasand ki videos nahi milegi to wo aapke channel ko faltu samajh kar unsubscribe kar denge.

17. Make Partnership With Other Youtubers

Aap YouTube par jaisi bhi jankari ke video bana kar share kar rahe ho. aapko usse related YouTube par or bhi 10-20 channels mil jayenge. aap unke sath partnership kar sakte ho or apne channel par subscribe badha sakte ho. isse aapke sath aapke partner ko bhi fayda hoga so wo aasani se man jayenge.

Jab aap kisi YouTubes ke sath partnership karoge to uske or aapke visitors ek ho jayenge. or isse aapke or uske dono ke channel par subscribe badhenge.

18. Don’t Copy Other Talent

Kabhi bhi kisi or video maker ke video banane ke tarike ko copy na kare. video aap apne hisab se apne tarike se banaye. jisse internet par aapki alag pahchan ban sake or aapko log jyada pasand kare. bahut se log aysa karte hai or aakhir me unhe paise ki jagah YouTube se nirasha milti hai.

Aeyse log aksar isi problem me rahte hai ki itni achi video banane ke bad bhi koi unki video dekhta kyu nahi. unse mai kahna cahunga ki copyright content ko koi bhi visitos pasand nahi karta or search engine bhi block kar deta hai.

Copy karne se aapki video search engine me show nahi hogi or natijan aapko viewers ke name par ek bhi users nahi milega.

19. Add Other Videos

Youtube par video upload karne ke bad usme other videos add kare. jisse aapki videos dekhne ke bad viewers aapki dusri video bhi dekh sake. iske liye aap video editng option par ja kar add a channel option par click karke apni videos ko add kar sakte hai. ye videos video ke right side me show hote hai.

aap chahe to yaha par apni site ka link bhi add kar sakte hai. or apne veiwers ko video se related jankari de kar jyada subscribers prapt kar sakte hai.

20. Create Latest News Videos

Last me mai aapko sabse important trick btane ja raha hu. jo upar di gayi 19 tips se bhi badh kar hai. actually aaj kal har koi new se new janna chahata hai. jiske bare me usne pahle kabhi na suna ho. ayse me agar aap new new news par video bana kar upload karo to log aapko 100% like karenge.

Or aap bahut jaldi YouTube par popular ho jaoge. kyuki log new jankari ki video khud dekhne ke sath sath dusro ko bhi uske bare me btate hai.

Ye ek aysi trick hai jisse aap 6 month se pahle 10,000+ subscribers kama sakte ho. aaj ke is badlte jamane me aapko per day 1000ro new news mil jayegi. so try now and make money online on YouTube.

I hope aapko ye post pasand aayegi. or aapko isme kuch new sikhne ko milegi. to ab is post ko share kar ke apne dosto ke sath sath meri bhi help kijiye.

Becoz jab aap is post ko apne dosto ke sath share karoge to unko to iska pata chalega hi muhe bhi aapki help se or jyada visitors milege. to aap meri help karna chahate hai to abhi post ko share kijiye or ha humare YouTube channel ko subscribe karna na bhoole.

Ye post maine un YouTube users ke liye likhi hai jo mujhse bahut bar subscribers or video par views ke bare me pareshan the. ummid hai un logo ko is post me apne sawalo ke jawab mil jayenge.

Avatar for Jumedeen Khan

About Jumedeen Khan

I'm the founder of this site and we regularly share useful and helpful information here for beginners. ❤️

Reader Interactions

Comments (128)

  1. Avatar for Hiba mobinHiba mobin

    Subscriber kaisy badhya

  2. Avatar for OmkarOmkar

    1k subscribe please support kar ba do

  3. Avatar for AMAN jogiAMAN jogi

    Nice op

  4. Avatar for Ritunjoy daimaryRitunjoy daimary

    Bhai subcribe kaise banana

    • Avatar for ZakaullahZakaullah

      Mere subscribe badha do

  5. Avatar for नीरज दानूनीरज दानू

    यूट्यूब साइकिल आकार बढ़ाने हैं कैसे बढ़ाओ मुझे जो कोड दो जिसमें कोई भी मेरा चैनल देखे तो पहले सब्सक्राइब किए बिना मेरे चैनल को नहीं देख सकता

  6. Avatar for AyushAyush

    Is video mein 200 ke subscriber aana chahie

  7. Avatar for Singar Arun officialSingar Arun official

    मेरा Youtube वीडियो गलरी से डिलेट होगया है हमारी मदत करे

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aap fir se add kar sakte ho featured option me ja kar.

  8. Avatar for kolachiarbazkolachiarbaz

    Bhai subscriber kase badhau

  9. Avatar for mukeshmukesh

    youtube par subscribe kaise badhaye

  10. Avatar for KaranKaran

    Bhai subscriber kase badhau

    • Avatar for SahidSahid

      Subscriber banana chahti ho

      • Avatar for Kuldeep kumavatKuldeep kumavat

        Kumavat
        10k

  11. Avatar for kamalendu murmukamalendu murmu

    Sir ji mera New channel khola hai
    Song mix karta hu New and old song DJ ganne banata hu to jadatar ganne Me copyright ate hai solution kya hai
    Koi bhi ganne me ajata hai to main song keise mix karu bataye

    Aor ak baat ak mobile no se do channel khol sakta hu

    • Avatar for जुमेदीन खानजुमेदीन खान

      किसी और का song इस्तेमाल करोगे तो copyright तो आएगा ही, एक ही solution है song owner से licence खरीद लो

  12. Avatar for Khustar NooraniKhustar Noorani

    nice article ,,,,,,, subscribe badane ke liye

  13. Avatar for Pankaj kumarPankaj kumar

    To cc wale video ko kya kru , delete kar du ya kya karu
    Please help

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      I think copyright video ko delete karna hi better hai. video manager me ja kar dekho video par warning mili hogi.

  14. Avatar for Pankaj kumarPankaj kumar

    Sir, mere video ke title ke niche “cc” ka nishan dikh rha hai , iska kya matlab hai.

    Please help main tension me hu

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Iska matlab aapki video copyright hai.

  15. Avatar for Simran PraveenSimran Praveen

    सर में एक नई youtuber हु तो मुझे बहुत अधिक समस्या आती है पहली बात की में अपनी वीडियो को पहले यूट्यूब पर अपलोड की थी creative कमर्स की वीडियो अपलोड की थी जब मेरे चैनल पर 700 सुबकरिबेर आये तो में वो अपने अपलोड कि हुई वीडियो delet कर दी क्योंकि बहुत सारे यूटुबेर की वीडियो देखी उन्होंने बोला था कि आप की monitization on नही होगी और में अपने voice में वीडियो बनाने लगी जिससे मेरी चैनल पर मेरे सुबकरिबेर काम हो गए और मेरी चैनल पर व्यू नही आ रहे है क्या अब मेरी मोनीतिज़ातों on होगी या नही

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Achi video banao views jarur aayenge.

  16. Avatar for Hasmuddin khanHasmuddin khan

    I love you jumedeen bhaiya aapka post hame bahut achha laga

  17. Avatar for KavitaKavita

    aapko tips kaafi achchi hai ! Start kar diya hai channel aage dekhte hai kya response milta hai

    • Avatar for mahotsavmahotsav

      maine v kiya hai… success 4 life

  18. Avatar for Pankaj KUMARPankaj KUMAR

    Brother 1 mobile par 2 email I’d SE 2 channel or 2 Adsense
    Koi problem to nahi Hoga

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      No problem, but different browser me karna better hai.

  19. Avatar for Shahil KhanShahil Khan

    सर मैंने देखा है की मान लीजीए Entertainment- Topic चैनल को ओपन करते है। तो दूसर चैनल का भी विडियो सो होता है। मै अपने चैनल पर दूसरे चैनल का विडियो कैसे सो कर सकता हू।

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko kuch karne ki jarurat nahi hai. Youtube automatically related videos show karta hai.

    • Avatar for SantoshSantosh

      Youtube mai ad on off karne ka jo option hai konsa add on ya off karna sahi rehta hai

  20. Avatar for priyanshupriyanshu

    hello sir,
    I can’t promote my videos on youtube because an error in my ad word account.
    and that’s error is about billing .
    google aren’t taking my debit cards and he says CVC is wrong .
    please guide me, how can I promote my videos…

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Credit card dusro use karo.

  21. Avatar for princeprince

    Hi sir mene YouTube m channel banaya h technical ka to vo is time theek rhega famous hone K liye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ye aapke talent par depend karta hai.

  22. Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

    No worry ye youtube ki problem hai aap kuch time bad check karoge to sab theek ho jayega.

  23. Avatar for Shebbear khanShebbear khan

    Sir mere chennal par strike aayi h.aor 4 September. Ko htane ki vol rha have. Chennal
    Sir jab se mujh suspnd kiya hai us time ke baad views aor subscribers band ho gye have. Sir pahle jaisa chennal paane ke liye m kya karu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Aapko kis waja se strike mili hai. Aapne policy violation kiya hoga or nahi kiya hai to youtube ko iski report send karo.

    • Avatar for AnilAnil

      sir kitne views hone ke bad adsense se you tube ko add krna chahiye

      • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

        10,000

    • Avatar for samar sidd6samar sidd6

      Sir me salman khan bnna chahu kya kru

      • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

        Kabhi nahi ban sakte, us jaise ya usse behtar ban sakte ho.

  24. Avatar for mohd adnanmohd adnan

    Sir mera YouTube channel suspend ho gaya tha mai phir login kar liya Lekin ad koi videos me nhi aa raha hai kya karu please batayie

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Channel option me ja kar dekho monetize ka option enable hai ya nahi agar hai to videos ko fir se monetize koar ad show hone lag jayegne.

  25. Avatar for RAJURAJU

    SIR , AGAR EK EMAIL ID SE DO CHANNEL BANAYE HO AUR EK CHANEEL KE VIDEO KA LINK DUSRE CHANNEL KE VIDEOS KE DESCRIPTION ME DAALKAR PROMOTE KARE TO KOI PROBLEM HO SAKTI HAI .

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      No problem.

  26. Avatar for Raviranjan kumarRaviranjan kumar

    sir mai comedy video banana chahta hun par …video me sound kaha se add karu ki channel block na ho …or video me koi song add karnA ho to kaha se kare???

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Sound khud banao ya fir youtube music me se choose karo.

  27. Avatar for SumitSumit

    Sir…thanks…bahut achi jankari dete ho aap…. mere youtube channel k analytics mein meri videos k views km bata raha h …..aur analytics m $ jada aur dashboard m $ km bata raha h……aur sir yah bhi batayen ki estimate revnu kya h……kya yahi hamari youtube ki real kamai h…ya real kamai kaha se dekhe

  28. Avatar for Wasudeo ThavkarWasudeo Thavkar

    hello dear mera you tube account google ne suspend kar diya hai kya aap bata sakte ho ki wo permanent or temporary hua hai.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Iska aapko mail mila hoga usme iski jankair hogi.

  29. Avatar for Adhir SinhaAdhir Sinha

    sir mere video pe log dekh rehehe lekin view me me 3 views hei aur bod nehi rahahe

  30. Avatar for pankaj kumarpankaj kumar

    meine bhi ek YouTube chanel bnaya thnxs

  31. Avatar for RakeshRakesh

    bhai mera YouTube pe account hai,,,,,,&….usme 12,564 rupay bhi show kar raha hai…ab vo paisa mujhe kaise milega

  32. Avatar for SalmanSalman

    Bhai mere AdSense account me balnce nhi show kr rha h jb ki mere YouTube account me dikha rha h or na hi address verify ka koi option aa rha h batao yar ki kru address ek dm shi fil kya h

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense me aapki earning next month 1 tarikh ke bad add hogi.

  33. Avatar for narayan sawantnarayan sawant

    Har Video upload karne ke bad monetztion karna padta hai kya sir. kya 1bar hi monetztion karna padta hai
    video sarch me ane ke liye kya karna padega

  34. Avatar for narayan sawantnarayan sawant

    Sir mera youtub ac monetion veryfi g AdSense ho gaya sab kuch aksath kiya sirf 6 viwe the or 1hi vidio hai koi prablem to nahi ayegi sir dusra sawal ah hai mera video dusare log kis nam se sirch kar sakte hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Adsense approved ho gaya hai to koi problem nahi hai. Aapne jo video ka title diya hai usse search kar sakte hai.

  35. Avatar for Abhishek rajputAbhishek rajput

    Sir Koi v add pr click na kre or videos ko 1000 views mila to kuch earn hoga ya 0 incom …plz reply

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Koi video ko pura dekhga to earning hogi kyuki video me video ads bhi show hote hai.

  36. Avatar for satendra singhsatendra singh

    Sir mere channel ke video sab logo tak nhi ja rahe hai aur koi views bhi nahi bad rahe hain aisa kyon sir

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      video manager me jao or video ki privacy setting me public set karo.

      • Avatar for satendra singhsatendra singh

        Hello sir twitter se paise kaise kamate hai uske liye kya karna padega sir

  37. Avatar for satendra singhsatendra singh

    Hello sir mere subscribe ghat kyo rahe hai sir main subscribers.com me ja kr badaya tha lekin wo sab do din ke andar sab ghat gaye aisa kyon sir (all india speed) channel hai mera

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Wo sab fake subscriber the isiliye kam ho rahe hai kyuki jin logo ne aapka channel subscribe nahi kiya hai wo unsubscribe to karenge hi.

  38. Avatar for AshishAshish

    Sir mai ye janana chahta hu ki monitize karne ke liye kitne view hone chaiye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      2000 to 3000 views

  39. Avatar for DevilalDevilal

    hello sir
    mere YouTube channel hai or AdSense se bhi jood diya hai problame yehai ki Moblie par AdSense ke add dikhai nahi de rahe or computer par dika rahe hai yaisa kyu please sir mujhe bataye.

    • Avatar for Jumedeen khanJumedeen khan

      Mobile me aap YouTube apps use karo or use update karo.

  40. Avatar for satishsatish

    meri channle pe 12000+ subcribe hai aur me 1 month me 4 video upload karta hu to meri income 2000 aspas hi hoti hai

    • Avatar for swatiswati

      hi.mai v new youtube p aayi hu.kya ap mujhe bta skte ho .itne subscriber kaise laya apne.koi shortcut way hai?

  41. Avatar for pkrajputpkrajput

    Sir Maine 1.50minute ki video upload ki hai aur Maine usse monitize bhi kar diya hai aur AdSense se bhi jod diya hai jisme dollar ka Nissan bhi hai sir iske bad kya karna hai mujhe pls pls help me

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Ab kuch nahi karna hai. Or website box me kisi or ki site ka link add mat karo.

  42. Avatar for RajRaj

    Technosys data solution company 450-500 page type krne kaa 20,000 ₹de rahi hai kya ye sahi baat hai reply soon

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Raj jaha tak mujhe inke bare me pata hai to ye aapke sath chitting karte hai. Ye aapko time ke hisab se paise deti hai or time par kaam na hone par 40% paise deti hai. Jaise aapko 20,000 ka kaam diya 15 gay me complete karne ka but wo kaam hota hai 30 dino ka so aap use 15 day me nahi kar sakoge. or aapko sirf 5-7 hazar rupees milenge. Or ho sakta hai ye aapko paise na bhi de.

  43. Avatar for Jitendra singhJitendra singh

    Sir YouTube par kitne view rahte to paise milte hai or mere YouTube account mai kitna belnce hai kase jane and YouTube par ads kaise lagate hai

  44. Avatar for Umesh ChandraUmesh Chandra

    अच्छी जानकारी मिली
    धन्यवाद

  45. Avatar for amit singhamit singh

    AdSense achievement
    Lifetime ad impressions: 1,000

    Congratulations! On January 31, 2016 you reached a lifetime ad impressions achievement. Learn more

    is ka kya mtlb hai

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      31 january, 2016 ko aapki sabse jyada income huyi hai or aapne AdSense ke rules nahi thode hai isliye AdSense aapko badhai de raha hai.

      • Avatar for amit singhamit singh

        par AdSense account me income to na ke bara bar show karte hai.

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          jab koi ads par click karega tabhi income hogi.

      • Avatar for DevDev

        sr.. Mere do dought h.. 1 for example Agr muje pizza bnana ata h or me you tube pe pizza bna kr video upload kru to kya ye copyright hoga jabki you tube pr pehle hi boht c pizza topic p video bani hui ho…2 Kya hmari video pr add show hone k liye ye jaruri h ki video pr kam se kam 5000 Subscribe ya view ho

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          1. nahi kyuki aapki vdie me voise, aapka tarika or sabkuch alag hoga.
          2. Nahi aapki videos par 1 views se hi ads show hone lag jate hai. But aapko AdSense account banane ke liye 4-5 videos par total 2000-3000 views hone ki jarurat padti hai.

          • Avatar for Javed KhanJaved Khan

            Assalamo Alekum Bro Mera Naam Javed Khan Hai Main Sirf Ye Janna Chahata Hu Ki Mujhe Ek Mail Aya Hai Vo Chahata Hai Ki Main Uske Channel Ke Sath Partnership Kar Lu Uske 339 Subscriber Hai Aur Mere 507 To Sir Main Ye Karu Kaise Kya Ye Youtube Channel Ki Settings Se Hoga Ya Kisi Aur Tarha Aur Main Kitne Logo Ke Sath Partnership Kar Sakta Hu Please Help Me Bro

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Youtube par aap ek dusre ke channel ko promote kar sakte ho. baki dono channel ek sath partership nahi kar sakte.

          • Avatar for Javed KhanJaved Khan

            But Bro Ye Hoga Kaise Please Details Main Batao Kya Ye Channel Setting Se Hoga Aur Agar Wo Mujhe Kare Main Unko Na Karu To Kitne Channel Se Main Apna Channel Promote Kar Sakta Hu Aur Kaise

          • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

            Aap apne channel ke home page or vides me ek dusre ke channel or videos ka link add kar sakte hai. Jaise hum video me cards add karte hai usme aap uske video ka link add kar sakte ho.

  46. Avatar for amit singhamit singh

    xyz.com ye mere site hai is par maine ads lagaya hua hai.AdSense ka.aap dekho kahi koi kami ho to batao.

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aapne ek page me 2 hi ads lagaye hai. bilkul sahi hai. aap iske alawa 2-3 links add bhi laga sakte ho.

      • Avatar for satendra Singhsatendra Singh

        Sir video banane ke liye kaun se software hai sir jisse ham achhi video bna kr YouTube pr upload kr sake sir (all india speed) channel me sir

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          camtasia studio

  47. Avatar for surajsuraj

    hello sir mey suraj mey online paisa kmana chahta hu mera blog ac h

  48. Avatar for devdev

    bhyi aap mere kehne ka matlab smgh nhi paa rhe ho me plz bhyi me kam word me smghane ki koshis karunga bhyi apke 1 jawab se meri site tarakki kar skti he me complete seo tips smgh liye or use follow b kiya he
    ab suno me ye kehna chahta hu ki mene aaj koi post dali wo meri serch engine me 2 ya 3 hours ago me aa jati he yaha koi prblm nhi prlm yaha ki mene jis post ko aaj dala he or uske title me aaj ki date dali hui he ab me aaj hi sham ko kal wali date dalke udate kar deta hu to wo kal search engine me show to hogi par aaj wali post me title me mene jo date dali wohi search me title me show ho rhi he par mene to usko aaj sham ko title me date kal ki dal b di thi to kal wali hi date search engine me show krti wo aaj wali hi date chalti rehti he wo kese change ho jaya kare wo bataiye aap plz bhayi meri baat smgho agar nhi to plz aap apka contact no mughe fb par send kardo me sirf 2 minute apse baat karunga phir apko smgh aa jayega ki me kya kehna chahta hu plz broo plz

  49. Avatar for kamleshkamlesh

    WordPress par mere blog ka adress bhi shift ho jayrga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha sabkuch shift ho jayega.

  50. Avatar for kamleshkamlesh

    mujhe apna blog address hai jo woh adress mujhe WordPress par shift karna hai kaise kare

  51. Avatar for vijay singhvijay singh

    Adsense review kaise karta he?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      AdSense robot aapki site par check karta hai ki aap kahi se copy ki jankari to share nahi karte hai. or aapki site par di gayi jankari sahi hai ya galat, agar aapne hacking ya kisi ke khilap post me galat shabd use kiye to AdSense use pad kar aapko ban kar sakta hai.

  52. Avatar for prakashprakash

    hello sir
    mujhe AdSense ke bare me puchna hai ki mai apna AdSense account jaldi kaise bana sakta hu aap mijhe full detail me bata sakte hai ki me AdSense account kaha se banana shuru karu aur kab tak ban jayega agar ban jayega toh mujhe kaise pata chalega ki mera AdSense account ban chuka hai aur me ads kab laga sakta hu please sir meri help kijiye

  53. Avatar for vijay singh panwarvijay singh panwar

    Bhai koi aisi trick he jis se pehle daale hue dusri company ke ads. Ke code ek saath delete ho jaye..

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      Nahi aysi koi tricks nahi hai. aapko sare code delete karne hi padenge.

  54. Avatar for Deepak ShrivastavDeepak Shrivastav

    Aapka blog jb blogger par tha tb aap konsi template use karte the or mujhe ap mobile friendly templates ke liye achhhi websites bataiye plz?
    mujhe apna template change krne hai kyuki ye mobile friendly nhi hai or ek bat or jb template change kru to ads ko remove krke kru ya fir ads ko rehne du isse koi problem to nhi hogi

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      maine gooyaabitemplates ki minma 3 templates use ki thi. bina ads code delete kiye change kar sakte ho.

  55. Avatar for Vijay singhVijay singh

    Bhai ek doubt he mene AdSense ke form me jo address diya tha ab hamara address change ho gaya he..
    To kya ab me AdSense me diya hua address change nhi kar sakta kya?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      agar avialable ho to kar sakte ho. har ek AdSense user address change nahi kar sakta. jiske AdSense account me available ho wohi kar sakta hai. aap AdSense setting mai jao or payee profile par click karo. yaha edit ka option ho to kar sakte ho.

  56. Avatar for devdev

    bhyi plz aap 1 baar meri prblm smghne ki kosis karo
    1. agar mene 2 din phle wali post ko aaj update kardu to jo post title me aaj ki date dali wo change nhi hoti he agar aaj wo chnage nhi hoti he to meri aaj dali hui post ki koi value nhi kyo wo jo post he sirf aaj ke liye he
    agar wo apke kehen ke mutabik agar do din baad post me date change hoti he do din baad aaj wali post date show karegi or koi purane date ki post kyo padna chehega agar search engine me usi din ki date ki post ublabdh he or isi trah do din baad udate karega meri title date ko to meri post ki kabi b value nhi rhegi

    mere saral sabdo me phle wali post ko aaj update karu ya yestarday ko update kardu to post ttitle change hokar aaj search me aa jana chhiye or aise ate b he uske liye mughe kya karna padega
    or jab tak meri prblm solve nhi hogi to bhyi aap hi batao me q dobara puchunga hi..
    or plz ans iska jarur dena chahe naraz b ho jao mughe manjoor he par apki help liye me ange nhi ja paugga

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      aap kahna ye chahate ho ki agar aap koi post ko update karo to wo 2 din bad search me aayegi. so purani post ko kon padna chahega. to dev jaruri nahi hai ki aapki post 2 din bad show ho. post search me 10 minute se pahle bhi aa sakti hai. Blog Post Ko Jaldi Search Me Kaise Laye – Killer Tips post me main apni post ka screen shot diya hua hai jisme 10 minutes se bhi kam time me meri post search me show ho rahi hai.
      agar aap white hate SEO ko follow karoge to aapki post bhi itni jalid searech me aayegi. bilkul agar blog SEO par focus nahi karoge to aapki post kabhi jaldi search me nahi aayegi.

  57. Avatar for Chahakradhari kumarChahakradhari kumar

    bhaiya aaj mare AdSense account me 2 Notifications mila .

    1. AdSense achievement
    Lifetime ad impressions:100,000 Congratulations! On January 24, 2016 you reached a lifetime ad impressions achievement.

    2. Up to 50% predicted increase in weekly earnings.
    You’re currently not opted in to show Gambling & Betting category ads. Ads from this category do not violate any AdSense content guidelines.

    in sb ka kya matlab hai…..?

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      1. January 24, 2016 ko aapki ab tak ki sabse jyada income huyi hai. aapne AdSense ke rules nahi tode hai. show AdSense aapko nayi kamyabi ke liye badhai de rahi hai.
      2. aapne AdSense par gaming ke ads block kar rakhe hai. agar aap chahe to unhe enable kar sakte hai. or apni site par cricket ke ads dikha sakte hai.

  58. Avatar for vijay singh panwarvijay singh panwar

    Acha!! Ab samaj me aaya 10$ hone ke baad post aati he na

  59. Avatar for vijay singh panwarvijay singh panwar

    Iska matlab me apne blog par AdSense ke ads laga sakta hu

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ha laga sakte ho.

  60. Avatar for vijay singh panwarvijay singh panwar

    Congratulations!
    Your Google AdSense application has been approved. You’ll soon begin to see relevant Google ads appear on YouTube.com/channel/UCtM0kdvJtJj-zORPYZhjOEg.
    Please note:
    Your AdSense account only allows you to monetize the content that you create on AdSense host partner sites. 
    To track the performance of your new Google ads and access more AdSense features, sign in to your AdSense account.
    If you later decide that you’d also like to implement AdSense on a domain that you registered yourself, we ask that you provide us with the URL where you plan to show ads. To submit this one-time review request form, follow the steps described in this help article.
    Sincerely,
    The Google AdSense Team
    This message was sent from a notification-only email address that does not accept incoming email. Please do not reply to this message. If you have any questions, please visit the Google AdSense Help Center to find answers to frequently asked questions.

    Bhai ye mail aaya he ab kya karu..??? PLz bataye

    • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

      ab adsense.com par jao or log in karo. fir settings gear icon>>settings par click karo. ab left side sidebar me sitemanagemet par click karke apni site ka url add karo. uske bad AdSense aapki site ka review karega. or aapki site par ads show hone lag jayenge.

      • Avatar for satendrasatendra

        Hello sir mere YouTube ke 3000 views ho gaye hai aur sir 110 subscribe ho gaye hai lekin absence me Ek bhi dollar show nhi ho raha hai aur socialblade. Com me dekhta hoon to waha pr 17 dollar show ho raha hai aisa kyo sir

        • Avatar for Jumedeen KhanJumedeen Khan

          AdSense me YouTube ki eaerning month me ek bar show hoti hai.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

I need help with ...