What is video SEO? Videos ka search engine optimization karna maximum views ke liye bahut jaruri hai but YouTube videos ko online content ki tarah most popular nahi banaya ja sakta. Bahut se digital marketing experts ne video SEO ke bare me details se btaya hai. Yaha main aapko unme se YouTube videos ko SEO friendly banane ki kuch best important video SEO tips & tricks bta raha hu jinse aap videos ko easily viral kar sakte ho.
2024 HubSpot servey ke anusar video SEO ko online content ki tarah setup nahi kiya ja sakta. Video SEO or content SEO me different hai or dono ke liye alag alag formulas istemal karne hote hai. Agar aap logo par videos ka big impact dalna chahate ho or unhe attract karna chahate ho to aapko kuch alag tips follow karni hogi.
Agar koi bhi aapki videos nahi dekhta hai or na hi search engine me aapki video top par show hoti hai to don’t worry is post me btaye tips follow kar ke aap apne videos ko popular bana sakte ho. Uske bad aapki videos search engine results me bhi top par show hongi or sabhi aapki videos ko dekhna pasand karenge.
Youtube Top Video SEO Tips, Techniques and Best Practices in Hindi
Youtube Videos Ko SEO Friendly Kaise Banaye? Search engine optimization (SEO) video ke liye particularly important hai. Isse aap search engine se maximum results prapt kar sakte hai. Main yaha aapko professionals and digital marketing experts ki btayi gayi video SEO tips me se top best tips ke bare me bta raha hu.
1. Quality Content Always Boost Your Video SEO
High quality videos google search engine me better search ranking pane ka badhiya tariak hai. Aap jitni badhiya video banoge aapke videos ki utni jyada search rank hogi.
Expert ka kahna hai ki website blog ke liye uska design bahut importance rakhta hai. Adhure design wali sites par koi bhi visit karna pasand nahi karta hai.
Theek wese hi videos ke liye bhi unka cover, thumbnail bahut importance rakhta hai. Ek crappy video kabhi bhi search engine me achhi rank nahi bana sakta. Adhure videos ya without editing kiye gaye videos ko 10% people bhi dekhna pasand nahi karte hai.
High bounce rate or good search ranking ke liye video ko awesome banao or itna attractive bana do ki user video ko full dekhe bina nahi rahe sake.
2. Don’t West Time in Making Bad Videos
Youtube video experts ka kahna hai ki ek achha video sirf kuch hi seconds me bahut sare views kama leta hai. Jabki ek bad videos kafi time bad bhi kuch hi views kama pata hai.
Ek important bat google search engines bhi bad videos ko index nahi karta. Matlab unki search ranking 0% hoti hai. Main kahna ye chahata hu ki 10 bad videos banane me time west karne se achha hai 1 good video banao. Uski search ranki bhi achi hogi or users bhi use dekhna pasand karenge.
3. Grav Views Much as Possible:
Sirf badhiya video create karne se use search result me top par nahi laya ja sakta. Aapko chahiye ki video publish karne ke bad use social media or other source se promote kare. I mean video par viewers badhaye.
Ek aesa video jis par bahut kam viewers ho fir chahe wo kitna bhi better video kyu na ho uski search engine me no.1 position ban pana mushkil hai. Kahne ka matlab ye hai ki jis video ko uswers unlike kar de use search engine bhi like nahi karta.
4. Product Review Good for Vodeo SEO:
Ye bat to clear hai ki “high quality video” video SEO ke liye sabse jyada important hai or views increase karne ka y ek matra tarika hai. But kuch video expert ka kahna hai ki product reviews par bane videos ko audience jyada dekhte hai.
Kisi kaam ko kaise kare, kya kiss tarh se kare, ye kaise hota hai, ye sahi hai ya galat jaise how to series wale matters par video banaye. Aaj ke time me mostly users har bat ko samajhne ke liye video dekhna chahate hai. So baki topics se review wale video jyada or short time me popular ho sakte hai.
Isse aapki video engagement increase hogi or jis video par viewers ka engage jyada hota hai use search engine good ranking deta hai.
5. Blog or Posts for Maximum Video SEO:
Alexa.com ki rank ke anusar YouTube United States of America (USA) and world me second most popular website hai. First number popular website Google.com hai. Kyuki google par traffic bahut jyada hai. Video SEO expert ka kahna hai ki iski mai google ke blog or websites hai jin par har samay new content share kiya jata hai.
Agar aap apni website or blog ki post content me video ko embedded karke unhe or jyada SEO friendly bana sakte ho.
Jab aap YouTube par koi video upload karo to uske sath apne blog par video ke bare me ek post likh kar bhi share kare. Aap us page me video ko mention karne ke sath uska link bhi add kar sakte ho or sabse achi bat aap posts me video ke bare me clearly likh sakte ho or high keywords istemal kar skate ho.
Aap apne YouTube channel ke liye specialy website bana le or uske liye perfect domain bhi buy kar le. Domain authority ek most search ranking factor hai. Isme koi shaq nahi hai. Apne blog domain ki authority increase kare ye aapke videos ko google me top par lane me help karegi.
6. Make Goals for Your Channel:
Without mission ke koi bhi kaam karna bekar hai. Agar aap bina kisi goal ke koi work start kar rahe ho to aapke pas us kaam ko karne ke liye koi ideas nahi honge. Simple words me agar humare pas koi lakshay hi nahi hai to hume us kaam ko karne me koi interest nahi hoga.
Examples, ek person without goals different category ki videos upload karta hai or sirf ek category ki videos upload karta hai. Dono me se ek kuch time bad kaam karna chord degaa kyuki ek din uske pas topics to bahut honge but public support nahi hoga.
Second jo ek topics par video create karta hai uske pas public support jyada hoga. Examples ke liye aap Abhishek Misra ko dekh sakte hai jo ki social reformer hai or mostly social mis conceptions par video banate hai. aaj unke channel par aaj ke time 80,000 ke someting subscribe hai.
7. Post Teasers on Your Sites and Other Platform:
I know long videos humesha better ho sakte hai but agar main aapko personal suggestion dena chahu to main kahna chahunga ki aap apne YouTube videos or channel ke liye short teasers banaye or use social media or apni website par share kare.
Mera kahne ka matlab aapko bilkul wese hi apne channel ka promotion karna hai jaise movies ka promotion uska trailer release karke kiya jata hai.
Short promotional video banao jisme full videos dekhna ka message add karo or sath hi uswers ko channel subscriber karne, other videos dekhne jaise alert message add karo.
Aapko ek aesa teaser banana chahiye jisme aapko apne YouTube channel ke bare me or uski description ke bare me likhna chahiye ki aap is par kis tarah ki videos upload karte ho or logo ko aapke videos dekhne se kya fayda hoga.
8. Do Not Work Alone, Mention Something Similiar Videos:
“जिस तरह अकेला चन्ना भाड नहीं भोड़ सकता” wese hi aap bhi akele famous nahi ban sakte. Sirf apne liye kaam mat karo or only khud kie videos ko promote karne ke sath sath apne jaise dusre logo ke videos ka bhi promotion karo.
Aap dusre users ke videos ko apne blog me add kar sakte hai or unke bare me apne channel par video dal sakte hai. Aapke aesa karne par wo bhi aapke bare me jarur likhenge or isse aapko free or witohut promoting ke kuch quality traffic mil jayega.
Isse aapko backlinks milenge jo search rank ke liye important hai. Sabse achhi bat google is tarah ki partnering ko pasand karta hai or isse aapki search rank boost hoti hai or sath hi isse domain authority boost hoti hai.
9. Post to your Site First, Youtube Later:
Most popular website MOZ.com ke anusar video ko YouTube par upload karne se pahle site par uske bare me content likhna jyada better hota hai.
10. Optimize Video Title, Description and Tags with Keywords:
Jab aap video ka SEO karne baitho to aapko extra effort karne chahiye. Websites content ko SEO friendly banane ke liye post title, description and tags me keywords use karte hai. Youtube video me bhi aap aesa kar sakte ho.
Iske bare me adhik jankari ke liye aap humari Youtube Videos Ko Google Search Me Top Par Lane Ki 7 Best Tips Is post me video ko search engine me top par lane ki best SEO tips btayi gayi hai. Video search engine optimizing ke liye ye bahut hi jaruri factor hai.
11. Use Minimum 5 Words in Video Title:
Video ke title me kam se kam five words hone jaruri hai or inme targeting keywords ka istemal karna bhi jaruri hai. I mean aap jis keywords par video bana rahe ho wo keywords title me jarur hona chahiye.
Ek dusra achha tarika hai ki aap video file name me bhi keywords add kare. Isse aapko video optimization me help milegi.
Jaise aap “Youtube SEO Tutorial in Hindi” par video upload kar rahe ho to aap us video file ko “Youtube SEO Hindi Tutorial Video mp4” Name de sakte ho.
12. Add Minimum 250 Words in Video Description:
Aapke video ki better search rank ke liye video description me kam se kam 250 words me video ke bare me likhna chahiye or usme 4-5 bar main keyword ka istemal kiya jana chahiye.
First 25 words me pahla keywords add hona chahiye. Yaad rahe isse jyada time keywords add karne se aapke video ki search rank up hone ki bajaye ulti down ho jayegi or video search engine me index nahi ho sakega.
13. Tag Your Competitors Channels:
Video tag karte time aapke man me ye khyal jarur aata hoga ki aapko kis type or category ke channel or videos tag karne chahiye.
Actually, iska simple sa jawab hai. Hum jin channels ko apne videos me tag karte hai. Usse hume fayda ye hota hai ki jab koi user un channel ke videos ko dekhta hai to YouTube sidebar me humare videos show hote hai. Ab aap samajh gaye honge ki aapko kis tarah ke channel tag karne hai.
Agar nahi to mai naapko bta du ki hume bilkul humare jaise videos wale channel yani competitor ko tag karna chahiye. Isse jab koi aapke videos se related unke video ko play karega to sidebar me aapki videos show hogi or wo aapke video me jyada interest lega.
14. Long Vidoe Always Better for Video SEO:
Kuch experts ke anusar long video YouTube search ranking ko increase karne me jyada faydemand hote hai. Long video se aapko higher search ranking milti hai.
Longer video shorter video se humesha behtar hota hai. Ye search engine ke liye bhi better hota hai. Example ke liye aap kisi topic ko google me search karo or videos par select karo aapko long videos top par dikhayi denge.
15. Add Subtitle to Social Media Video:
Jab aap social media par video ko share karo to video ke title se share mat karo balki usme kuch subheadings bhi add karo. Jab koi user social websites par aapki video dekhta hai to wo video ka title jarur check karta hai.
Ho sakta hai wo aapke title ko dekh kar video ko leave kar de but agar aap subtitles add karoge to use 3-4 titles me se koi ek jarur pasand aa sakta hai or wo aapke YouTube channel par visit kar sakta hai.
16. Create Custom Video Thumbnails:
Aapko main ek bat bta du agar aapke video ki thumbnail better nahi hai to video kitna bhi better ho use koi bhi dekhna pasand nahi karega. Expert kahte hai ki thumbnail video make up ka kaam karte hai or isse video jyada attractive lagta hai.
Aap video upload karne ke bad usme default ya custom thumbnail set kar sakte hai. Mostly colorful thumbnail se achha aap white and simple thumbnail create kare.
17. Trancribe Your Videos Audio:
Google video ko hi index nahi karta hai balki aapke video ki voice, audio ko bhi crawl karta hai. Video ki audio me relevant keywords use karne chahiye or bajaye boring voice ke simple or aasani se samajh aane wali voice record kare.
Youtube par pahle se auto caption feature hota hai. But mujhe nahi lagta ki ye effective hota hai behtar hoga ki aap custom caption create kare.
18. Add Calls to Action at the End of Video:
Mostly people jo YouTube par videos upload karte hai bahut sari practices ko miss kar dete hai. Kuch tips aesi hai jo aapko short work se long benefit de sakti hai. Video creating me call action feature very important hai. Users par iska sabse jyada impact padta hai.
Video banate time video ke first or last me calls to action add kare. Users ko apna channel subscribe, share and other videos dekhne ke bare me request kare. Ya fir aap video ke end me user ko apni website ka link de kar visit karne ke liye kah sakte hai.
19. Add Metadata to Your Video Sitemap:
Aap apne videos content ke bare me google ko information dene ke liye video sitemap use kar sakte ho. Aap apne YouTube channel ke liye video sitemap banaye or jab bhi koi new video upload kare to us video ka metadata video sitemap me add kare.
Isse google ko aapke videos ko index and crawl karne me aasani hogi. Iske bare me adhik jankari ke liye aap Google Video Sitemap page par visit kare. Ye sitemap HTML me hota hai or isme video titles, descriptions and tags submit hote hai. Ise aap search console me bhi submit kar sakte hai.
20. Check Out Similar Videos for Ideas:
Sirf aapko hi nahi bahut se logo ko ye problem hoti hai ki unhe koi matter jaldi se samajh nahi aata. Agar aap meri is post ko padhne ke bad bhi na samajh paye to aapko chahiye ki aap already highly rank wale videos dekhe or unse ideas le.
Aap jab bhi kisi top ranking video ko search kare to uske title se pahle or bad me (“) common laga le is tarah, “How to Make Your Video SEO Friendly, Complete Guide”
Similarly, Aese top high rank wale videos ko dekhiye jo aapke video keywords par bana ho or pata kijiye ki aapke or uske videos me kya fark hai. Aesa us video me kya hai jo uski search rank aapke video se better hai. Also check video title, description and tags.
Uske bad un videos se idea le or unki tricks ko achhe se samajh kar aap apne video ko optimize kare or use search engine friendly bananye.
Conclusion,
Finally, maine yaha aapko jo bhi video SEO tips btayi hai. Wo video marketer ki btayi huyi tips me se most important hai. Aap inhe follow karke apne videos or YouTube channel ko easily google search engine me top ranking me la sakte ho.
In my experience, Main aapko sirf itna kahunga ki quality videos create karna visitors or search engine dono ke liye better hai. Agar aap is tips ko follow kar lo to aapke YouTube channel ki ranking itni better hogi ki aapke channel par daily lakho viewers honge.
By the way, maine YouTube ke bare me or bhi bahut si post likhi hai agar aapko ye post pasand aaye to humari YouTube wali dusri post bhi padhe or humare Youtube Channel ko subscribe jarur kare.
Bahut achchha post hai jumedeen bhai.
Hi,bhai hum jo channel ka name soch rahe hai wo kisi or ka bhi to nahi hai kaise pata kare
youtube par search karke dekh lo aur username bhi check kar lo
youtube.com/yourchannelname
type se.Bahut hi achhe jankari Hai
Bahut Hi best Jankari Hai
Sir mere video mein view nahi aa rahe hain
Ye poat padho Youtube Videos Par Views Kaise Badhaye 10 Best Tips in Hindi
Example-
Maine Domain Nahi khareeda par Mera blogspot wala blog AdSense Se Approved hogaya. ab Kya mai YouTube Bhi Isi AdSense Se Use kar Sakta Hu.
Nahi aapke pas hosted AdSense account hai jo aap blogspot ya YouTube ek par use kar sakte ho dono par use karne ke liye domain le kar AdSense ko fully approve karana hoga.
Kamal ki jankari hai sir. YouTube videos rank karne ke baary me bahut jaga padha hai lekin samjh nahi aata . aap ne bahut easily samjhaya hai. i hope ab successfully karlunga.
Thanks.
Thankew So much sir yad se Karna ok
Sir apne bataya nahi aap meri video apne blog pe share karenge ya nahi
Sunaina mai jab YouTube ke bare me post likhunga to aapki related videos ko add kar dunga.
Thankew so much sir Aap mere YouTube Chanel me se koi se bhi video select karke share kar sakte hai mene URL comments me attached kardiya hai
Ap check karle konsi video helpful hai
Sari videos mobile tutorial hai
Sir kya aap mere video apne blog per share karenge agar aap ESA karte hai to me apni video description me apki wapsite link add karungi ESE hum 1 dusre ki help kar paenge
I m waiting for your answer
Aapki video agar helpful hogi or mere readers ko unse help milti hai to jarur karunga.
mene aaapko pucha tha ki meri channel kesi hai to aap ne kaha tha ki achi hai ab mere 57 subscribers hai 2 week main
per mere channel ka name dalu YouTube k search bar to channel 10-15 page tak bhi nahi hai
mene sab seo or channel keyword diye hai uska koy upay hai
Aapne YouTube videos ko koi SEO nahi kiya bro kahne me or karne me bahut antar hota hai. Karoge to result jarur milega. Second aapke channel ka name On hindi hai jo bahut si videos ke title me mil jayega ise change karo or koi achha sabse alag name choose karo.
bhai name to change nahi kar sakta or seo mere hisab se kiya hai aur subscribers bhi aa rahe hai thank you for suuggestion
As your wish, humara kaam reader ko sahi rasta dikhane ka hai aage wo kya apnata hai ye us par depend karta hai.
Achi information hai bhai, new user ho help mikegi is se….
1-khan ji post ke neeche jo social sharing icons hai apke iske liye kaun sa plugin install karna padega?
2-left side me sumome ka jo icon hai usme se sumome ke icon ko kaise remove kiya hai.. mere me last me sumome ka icon bhi show ho raha hai.
1. social warfare.
2. Sumome plugin ki setting me ja kar icon ke option me hide select karo.
sir sumome ka icon hide nahi ho raha… setting me jakar badge me icon ko hidden kar diya maine right side se to icon hide ho gaya but left side me facebook,google+,twitter…. ke neeche bhi sumome ka icon aa raha hai… plz sir bata dijiye ki isko kaise hide karu.
aapne mujhe ye bataya ki “Sumome plugin ki setting me ja kar icon ke option me hide select karo.” but icon hide karne ka option kaha se milega ??
free plan me Share icon hide nahi kar sakte. iske liye aapko sumome buy karna hoga.
aap premium plugin use kar rahe ho social warfare ka? maine install kar ke apnin website me lagaya but social icon show nahi ho rahe.. sirf share likh ke aa raha last me buss
Aap mobile me dekh rahe ho isiliye. free plugin bhi use kar sakte ho.
Very useful mujhe aapki is post main ek bat vahut aachhi lagi sir ki apne liye kaam mat karo kabhi dusro ke liye bhi karo … nice thinking ..or ha post thodi jadha badi bhi lagi mujhe….
BHAI MUJHE ISH POST KI BAHUT JARUR THI THANKU BROTHER MEIN APSE KEHNA CHAHUNGA MEIN APKI BAJAH SE YOUTUBE SE EARNINGS KARNE LAGA HU MEIN MAXIMUM $5 DOLLER PAR DAY KAMANE LAGA MEIN APKA BAHUT ABHARI HU.
Welcome raj, its my pleasure.
बहुत ही उम्दा ….. बहुत ही सुन्दर प्रस्तुति …. Thanks for sharing this!! 🙂 🙂
Bhai mera AdSense account approvel ho gya hai but o bol RHA hai ki site cheq ki jaa rhi hai Esme 3 din lag shkta hai but 5 din ho gye hai abhi tk whi msg show kr RHA hai.
So help me
Deepak first aap AdSense ke liye apply tabhi kiya karo jab aapka blog AdSense ke liye ready ho. Check this post Blog Banane Ke Bad Adsense Ke Liye Apply Kab Kare
bhai jaldi bataye mere site ke posts ke url me date bhi hai lekin ab main chahta hu ki sirf post name show ho. Lekin problem yeh hai ki aisa karne par old url se agar koi user aata hai toh 404 error aa jayega plz koi solution bataye taki main old url new url par redirect kar saku WordPress use kar raha hu. Simple redirect plugin mere WordPress version ke sath compatiable nahi hai koi aur tarika batao plz
Maine is post me .htaccess file se kisi bhi url ko 302 redirect karne ke bare me btaya hai ye tarika follow karo WordPress Blog Par Affiliate Link Cloak Kaise Kare Without Plugin
nice post plz tell me agar me aapko blog ke jaisa comment box apne blog par lagana chahun toh kya karna padega mera blog blogger par hai
Ansar iaapka blog blogger par hai or hum blogger par WordPress ka comment box nahi laga sakte.
Awesome bro maine apki sabhi YouTube articles ki note book bhi banaya hoon jise offline read karta hoon aur bhot kuch sikhne ko mila keep it up hame apse bhot umeed hai aage bhi hamari madad karte rahoge.
Welcome tanveer i will try this.