Kya aap YouTube partner hai or bar bar videos ko monetize karne se pareshan hai and aapko har bar video upload karne par video monetization karna padta hai ? Agar haa to aaj main aapko aesi janakri bta raha hu jisse aap apne YouTube channel ke all videos ko ek sath monetize kar sakte ho or aapko bar bar video monetize karne ki jarurat nahi padegi.
Bahut se YouTube users ko har bar video upload karne ke sath sath video ko monetize karne ki problem hoti hai but agar aap chaho to ek bar me hi sabhi video ko monetize kar sakte ho or fir aapko video uploading ke time videos monetization karne ki jarurat nahi padegi.
How to monetize YouTube all videos in one time in hindi? Iske liye aapke pas 2 option hai ek aap video manager par ja kar sabhi video ko monetize kar sakte ho. Second aap YouTube deafualt uploading setting me ja kar sabhi videos ko already monetize kar sakte ho.
Isse aapko new video upload karne par use monetize karne ki jarurat nahi padegi weo automatically apne aap monetize ho jayega.
- Youtube Se Video Download Kaise Kare (Bina Kisi Sofware Ke)
- Youtube Videos Me Subscribe Button Kaise Add Kare
Sath hi aap all videos ke liye ek bar me hi video monetization settings, video description and other setting set kar sakte ho. Isse aapko har bar video upload karne par uski setting nahi karni padegi.
Maine iske bare me already Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare post me detailse se information di huyi hai.
Table of Contents
Youtube Videos Ko Eb Bar Me Monetize Kaise Kare – Video Monetization
Jaisa ki maine aapko upar btaya hai ki aapke pas iske 2 tarike hai ek aap video manager se all videos ko monetize kar sakte ho second aap video uploading default setting me ja kar sakte ho. Maine dono ke bare me aapko details se bta raha hu.
1. Video Manager Par All Videos Ko Monetize Kaise Kare ?
Iske liye aap YouTube.com par jaye or left side sidebar ke top par menu par click karke My Channel par click kare or Video Manger par click kar ke sahi videos ko monetize kare.
Step 1:
- Go to YouTube.com and click on menu icon in left sidebar.
- Ab My Channel par click kare.
- Ab Video manager par click kare.
Step 2:
Ab aapke samne aapke sare videos ki list show hogi. Yaha se aap sabhi videos ko ek sath monetize kar sakte ho.
- Sabhi videos ko mark kare.
- Action pae select kare.
- Ab monetize par click kare.
Ab monetization processing hogi or kuch second bad aapke sare videos monetize ho jayenge or “Videos successfully updated” ka message show hoga. Agar aapke kisi video me koi mistake hogi to wo monetize nahi hoga or errors show hoga.
Aapke total kitne videos hai or kitne monetize huye hai se aap pata laga sakte hai. uske bad aap check kare ki kis video ke samne dollar ka green icon nahi hai. Wo videos monetize nahi hua hoga or uske samne copyrighted video ka alert likha hoga.
2. Youtube Channel Me Video Ki Default Monetize Settings Kaise Kare ?
Iske liye aap YouTube channel setting me ja kar sabhi videos ko pahle se monetize karne ki setting kar sakte ho iske bad aapko bar bar new video upload karne par use monetize nahi karna padega.
- Left sidebar me channel par click kare.
- Upload defaults par click kare.
- Monetization ke samne Monetize with ads par tick kare.
- Ab ad formats ke samne aapko video par jis type ke ads dikhane hai w ochoose kare. Aap video par Overlay in-video ads, Skippable video ads, Sponsored cards etc. ads format select kar sakte ho.
Video uploading default setting set karne ke bad top par jaye or right side me blue color ke save button par click karke settings save kare.
Finally, I hope aapko ye post pasand aayegi or aapko bar bar video monetization ki problem nahi hogi. Actually, Is tarah se aap apne sabhi video ko ek sath or ek bar me pahle se monetize kar sakte ho.
Ye tips un new YouTube user ke liye bahut important hai jo bar bar video uploading ke time video monetization se pareshan hai or jinko YouTube ki is settings ke bare me pata nahi hai.
Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media par apne dosto ke sath share jarur kare.
narayan sawant
1 Sir maine 10 mahine pahale youtub ac khola kucha video monetization hai kuch kiye nahi lekin view 13000 se jada he our apaka blog padhkar hi khola tha lekin aage kya karna chahiye samaz me nahi aaraha he 2 muze our video aplod karna he sabko pahale our naye sabko ak sath monetization karu kya muze bar bar na karna padhe 3 monetization adsense veryfit in sabko no se pahale dusare tisare no se batao o mai karu 4 wiev 13000 he kya muze income hue hogi agar hogi to bank account no kaise ad karu 5 mai naye videos ke liye Internet se photos leke meri avaz me videos bana sakata Hu kya 6 1000 wiew pe andase kitani income hogi
Jumedeen Khan
1. Aapko youtube par or video upload kanre chahiye.
2. YouTube Par Sabhi Videos Ko Ek Sath Monetize Kaise Kare
3. Youtube Account Ki Kamai Earning Report Kaise Check Kare
4. Adsense Me Apna Bank Account Kaise Add Kare
kamal khan
Sir, aap photo me number dene ke liye konsa software use karte ho.
aur computer ki screen kaise record kare
Jumedeen Khan
Photoshop
Reshu Kumari
Bro please help me
1) videos ko share karne ke liye WhatsApp or Facebook page par kewal videos ke url link likh Kar bhejenge ya uske sath kuchh or likhe
2) yadi hum ek video WhatsApp Facebook par bhej diye or log us ek video ko bar bar Dekhenge or bar bar agar click bhi ho to kya wase me claim lag sakta hai. To fir views kaise bdhaye
3 ) bro Maine abhi pin verify nhi ki hai to Kya ek do(1, to 2) channel or bna sakte hai?
4) bro Mobile se multiple channels kaise manage Karte hai
5) Kya affiliate, blog, PayPal, Dailymotion etc. Par account website par n jakr balki unke mobile application install karke bna sakte hai
Bro sawal ki jawaab jarur dijiyega please help me bro ignore mat Kare .
Jumedeen Khan
1. Video link ke sath ye bhi likho ki video me hai kya.
2. no probelm koi bhi bina interest bar bar click nahi karega.
3. Yes.
4. same process hai. Main iske bare me article share kar chuka hu.
5. yes.
6. Bilkul dunga par jab koi galat rasta apnata hai to dukh hota hai. Aap youtube par traffic badhao uske bad affiliate ke bare me sochna tha but aap bahut jald kamana chahati ho problem hogi. ye sab chord kar video banane or un par views badhane me dhyan do adsense se hi bahut kama logi.
Reshu Kumari
Sorry bro!
Mai abhi affiliate account ke bare me padh Kar or sawal Kar confirm ho Rahi thi taki aage koi problem n aye. Bro aapki marji se hi bnaungi.
1) bro mere channel par 300 subscriber hai prantu 100 hi active hai Baki unsubscribe ho gaye to mai Alag Alag category ke liye Alag Alag channel bnana chahti hu to kya ek sath 4 or 5 channel bnakar Adsense se connect Kar Sakti hu ya channel bnane ke bich kuchh samay ka antral hota hai Kya koi niyam bhi Lagu hai jaise ki koi problem hoga. Aagar samaye antral hota hai to kitne din ka?
2) abhi pin verify nhi hui hai to kya purane wale channel ki name or icon change Kar sakte hai koi problem hoga?
Jumedeen Khan
1. No problem bana sakti ho.
2. kar sakte ho no problem.
Jaldi se $10 earn kar address verify kar le.
Laxmi
Sir maine new YouTube channel bnaya hai , sb kuch kiya hai jaise aapne btaya BT ye ni samj aaraha ki kaise pta chalega ki mere YouTube channel know praise milenge ya nai
Jumedeen Khan
Milega apa jitna achha kaam karogi utna praise milega. Apne aap par wishwas rakh kar kaam karo.
Pankaj
Mere video k same green $ that lekin ab apne aap hat gaya phir se green $ kaise laye , monetization disable bats raha h mai google AdSense se jod chuka hu please help
Jumedeen Khan
Video manager par jao or koi video ke samne copyright warning ho to us video ko delete kar baki videos ko monetize karo ho jayega.
sahadev
sir
1mai YouTube pr upload karta hu
to atomic monetize ho jata hai esse koi problems to nai hogi
2 AdSense approve ho gaya lekin
$ icon green kyu nahi hota
3 sir apka coment Ka javab dene Ka
time kya hai
Jumedeen Khan
Aap chaho to autmatically monetize band kar sakte ho iske bare me maine Youtube Par Video Upload Karne Ki Defaults Setting Kaise Kare
Aap channel >> monetization option par jao or check karo ki channel AdSense se connect hai uske bad adsense.com par log in karke dekho AdSense par log in kar pate ho ya nahi. kar pate ho to video manager me jao or sabhi videos ko fir se monetize karo.
amit jadhao
Sir, meri account AdSense approved ho gaya hai pr abhi bhi jo dollar sign hai green nahi hua pls thoda bataiyega…pls.. thnks…
Jumedeen Khan
Adsense approved hone ke bad dollar ka icon green hoga.
amit jadhao
Maine apna YouTube account banaya hai or uspar apna video upload kiya par mera video monetize enable nahi hua. Video ke aage dollar ka sign aya par green nahi hua. adsense form bhi pending me hai… dollar ka sign green karne ke liye kya karu… pls jankari dijiyega … thanks…
Jumedeen Khan
Adsense approved hone ke bad aapki videos monetize hongi.
Junaid
Jumedeen bro mene apke YouTube Chanel per ye pucha tha ki mere ki meri video per add show nahi horahe video monitize bhi kardiya or dollar logo bhi show horaha hai to apne kaha screenshot send Karo fir mene apke email per screen shot send kardiya junaidj95@gmail.com
Se but apka koi reply nahi aya to please check karke btae me kya karu……..???????
Jumedeen Khan
Main jald hi aapko reply karunga.
narayan sawant
Sir Eak youtub chainal me alag alag subject ke vidio dal sakta hu kya our sab video ke wive milkar AdSense count karta hai kya 100 dolar ke liye
Jumedeen Khan
haa kar sakte ho.
tariq ali
sir mujhi Google AdSense Ka account chahea plzzz help me
Jumedeen Khan
ap YouTube ya google ke throw AdSense account banao.
extrabass360
khan sahab bro agar mere YouTube Chanel ki earning yearly 100 dollar nahi hoti hai to Jo pichli earning hai wo dubegi to nahi na
Jumedeen Khan
Nahi aapki puri earning aapko milegi chae isme kitna bhi time lage.
Manoj Singh
hello jumedeen bhai
pahle to sorry bhaijaan apke article nhi pad saka aj time mila to pada bahut hi badiya baat bati h YouTube ke bare me
apse mujhe puchna h ki mene do video banye h ek to study se related or dusara technology se or dono hi video mene alag alag YouTube account me submit kiye ab ap ye bataye ki dono ke liye mujhe alag alag AdSense account banane padege kya pls reply
Jumedeen Khan
Der se hi sahi aap humari site par aaye to sahi. Aapko dono hi video ek hi YouTube channel me upload karne hai har video ke liye alag AdSense account banane ki jarurat nahi hai.
naseem kassar
Sir sitemap kaise submit karte hai please explain kar ke bata dijiye
Jumedeen Khan
e post check karo Blog Ke Sitemap Ko Google Search Console Me Submit Kaise Kare
naseem kassar
Sir maine apne blog ko google search console me submit kar diya hai aur ab search results me jaldi laane ke liye mujhe kya karna hai
Aut google search console me bahut sare menus hai unse kya kam hota hai mera matlab hum blog ko search console me submit katne ke baad waha par kya kya kar saktr hai
Jumedeen Khan
Bas ab aap blog par badiya post likho.
Ab aap search console me blog sitemap bhi submit kare.
naseem kassar
Ok thank u sir mere sabhi confusion door ho gye ab aapka saath rahega to mai achhe se blpging seekh jaunga sir ab maine ek blpg bana liya hai aur mai aapse ye jaanan chahta hu ki hum blog par blog ki default template ke alava bhi kpi aur template use kar sakte hai kya jaise aapne apni WordPress ki post me bahut se prkaar ke plug in ka use karne ke baare me bataya hai kya sise plug in blogger par bhi use kar sakte hai.?
Aur sir mujhe aisi sites ke naam bata dijiyr jaha se mai achhe achhe keyword search kar sakuai aapka bahut bahut shukra gujaar hu ki aapne meri sabhi confusion ko door kar diya
Jumedeen Khan
Nahi aap plugin ko blogger me use nahi kar sakte.
Google sabse badi site hai keywords search karne ke liye fir bhi aap keyword planner tool ka istemal kar sakte hai.
naseem kassar
Sir ek baat bataiye mai bahut confuse hu post me keywords use karne se hume kya kya faayde hote hai
Jumedeen Khan
Isse humari post google me top position par show hoti hai or hume google se jyada traffic milta hai.
mo naseem
Lekin sir mai kin kin URLs ko blpck karu please kuch idea dijiye
Aur ek baat mai aapse puchhna chahta hu sabhi kehte hai ki ppst me ya YouTube me keyqord ka use kare aakhir keyword ke use karne par kis tarah income hoti hai
Adsense ke ads par click karne se ya keyword ke use karne se mai iss baat ko samajh nahi paa raha hu
Jumedeen Khan
Abhi mere pas koi low CPC URLs wali list nahi hai jab to bta dunga. income ads par click karne par hoti hai.
mo naseem
Sir maine kaafi blogger ki YouTube se related post padhi hai sabhi ne ye kaha hai ki un sabhi url ko block kar do jo Apko kam CPC dete hai aur un sabhi ne kisi bhi url ki CPC website keywordspy.com par check karne ke liye kaha tha aur maine iski video YouTube par bhi dekhi unhone bhi yahi kiya kam CPC wale url ko block kar diya same maine bhi aisa hi kiya sabhi low CPC aur ad networks ko block kar diya par meri YouTube channel ki CPC increase hone k bajay decrease ho gayi pehle mere channel ki per day income 0.20 – 0.40$ thi par jab se maine url aur ad networks ko block kiya hai meri income 0.10 hi re gayi hai aur mere channel ke views perday 300 ++ hai aur mera channel 1 saal purana hai sir please help kijiye aap hi meri help kar sakte hai.
Jumedeen Khan
Aap low CPC ke chacker me kuch High CPC url ko bhi block kar diya hai unhe unblock karo.
Raj
Bhai mein apse ye janna chahta hu estimated revenue earnings $200 h mein ise payble earning mein kese add karu taki mujhe payment mil sake
Jumedeen Khan
Hum AdSense me manually ye nahi kar sakte. Estimate earning ek anumalit earning hoti hai or payable earning humari real income hoti hai. Aap ek kaam karo adsense.com par ja kart right side me setting icon par click karke payments par click karo .Ab iska screenshot le kar contact forum me send karo. Main dekh kar btaunga ki kya problem hai.
Raj
Hi brother me janna chahta hu meri YouTube earnings kuch is prakar h
Your estimated revenue
$200.94
But problem he ye jab me AdSense par earning Check kart a hu to usme
Payble earnings
$80.68
or meine 17 September ko payment method bhi add kar chuka tha jab mere YouTube par $100 tha and google 21 ko payment karta he par mujhe abhi tak payment nahi mila mujhe kuch samjh nahi a raha h payble earning 80 doller kyon dik rahi he jabki meri estimated revenue $200 h abhi
Jumedeen Khan
Raj Payble earnings me $100 hone ke bad hi aapko payment milega. Agar AdSense se aapko payment send kiya jayega to aapko uska mail mil jata hai or aap AdSense par payment option par check kar sakte ho ki aapko google ne payment send kiya hai ya nahi or kitni tarikh ko kiya hai.
ROSHAN
sir YouTube pr ek copywrite strike aa jaye to earning bnd ho jaye gi kya
Jumedeen Khan
yes isse aapka channel band bhi ho sakta hai .Aesi video ko delete kar do or nect time aesa nahi karna hai.
PRADIP
bhai maine dusri english site par dekha tha ki YouTube me 25 views par $1 kama shakte ho .to kya ah sach hai ha to bataiye kaise kama shakte hai 25 VIEWS par $1
Jumedeen Khan
Usi post par puri details padho iske kuch rules bhi honge.
jinal
YouTube ke video fb page me kaise share karna hota hai me dairect share karta hu to fb ac me share hota hai muje fb page me share karna hai to kaise karna hai…
Jumedeen khan
First aap facebook page ko open karke upar check karo ki acting as me page ka name hai. Uske bad video ka link page par share karo.
Md Arshad Noor
Jumedeen bhai
bahut achhi jankari share ki hai apne ..
Thanks for share this….
Kuldeep
Hello sir, Sir mere blog ka alexa rank daily badata hi ja raha hai. Jabki maine alexa widget bhi laga rakha hai or alexa toolbar bhi install kar rakhi hai or mere blog ke pageview bhi pehle se gain hue hai. Pehle 3300000 so 94,61,000 par pahunch gaya hai. Sir aap ye batayiye ki problem kahan aa rahi hai or mere se kya galti hue hai.
Jumedeen khan
Aapki site par jitna logo ka interest badhega a;exa rank utni hi better hogi.